Thread: Wa Ye Qismat.
View Single Post
Wa Ye Qismat.
Old
  (#1)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
Wa Ye Qismat. - 7th December 2003, 11:48 PM

Doston

eitbaar sajid is daur ke voh shayer hain jin se mein behad muttassir hoon.
ek aur ghazal un ki aap doston se share ker raha hoon.

JO KHAYAL THEY NA QAYAS THEY VOHI LOAG MUJH SE BICHAR GAEY
JO MOHABBATON KI ASAAS THEY VOHI LOAG MUJH SE BICHAR GAEY

JINHEN MAANTA HI NAHEEN YEH DIL VOHI LOAG HAIN MERE HAMSAFAR
MUJHE HAR TARAH SE JO RAAS THEY VOHI LAOG MUJH SE BICHAR GAEY

MUJHE LAMHA BHAR KI RAFAQATON KE SARAAB AUR SATAAEYEN GEY
MERI UMR BHAR KI JO PYAAS THEY VOHI LOAG MUJH SE BICHAR GAEY

YEH KHAYAL SAARE HAIN AARZI YEH GULAAB SAARE HAIN KAGHAZI
GUL E AARZU KI JO BAAS THEY VOHI LOAG MUJH SE BICHAR GAEY

JINHEN KER SAKA NA QABOOL MEIN, VOH SHAREEK E RAH E SAFAR HUEY
JO MERI TALAB MERI AAS THEY VOHI LOAG MUJH SE BICHAR GAEY

MERI DHARKANON KE QAREEB THEY, MERI CHAH THEY MERA KHUAAB THEY
VOH JO ROAZ O SHAB MERE PAAS THEY VOHI LOAG MUJH SE BICHAR GAEY

musharrafhusain
   
Reply With Quote