Thread: Hi
View Single Post
Old
  (#2)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
9th April 2009, 02:46 PM

Hi nidhi ji,
mai 4.5 years baad reply kar raha hu,coz aapne starting me kaha k 'please reply, sooner aur later'

to mohterma mai yahi kehna chahunga k 'a' ka pyaar to sachha hai, par 'b' ka pyaar shayad 'c' k liye sachha nahi hai,
sachha pyaar hamesha doosre ko khush dekhna chahta hai, chahe wo usko mile ya na mile.. Jaise radha ka aur meera ka tha krishan ji se...

Duniya me bahut he kam khushnaseeb hote hain jinko sachhe pyaar k badle sachha pyaar milta hai...

Aur aajkal to duniya bahut he ajeeb si ho gayi hai...
Dekhne sun ne me bahut he ajeeb-2 kissey aate hain...

Lagta hai jaise narak se nikal kar yaha aa gaye ho...

Neways to sawaal hai ki 'a' ko kya karna chahiye...

Mai to yahi kahunga ki ek baar 'b' se saaf-2 baat karni chahiye usko...
B agar a ko pyaar nahi karta to A ko B ki zindagi se dur chale jana chahiye aur apni family aur apne future pe dhyaan dena chahiye...
Aur sachha pyaar dooriyo se kabhi kam nahi hota...

BHAGWAAN JO B KARTE HAIN ACHHE K LIYE KARTE HAIN...

Ho sakta hai B deserve na karta ho A ko...
Aur bhawaan ne A k liye koi aisa banaya ho jo A ko deserve kare...

B ki nazar me A sirf ek jariya hai C ko paane k liye aur jab D aaya to B, A ko bhool gaya...

Mujhe is pyaar ko Radha ya meera ka pyaar nahi kehna chahiye...
Kyunki krishan ji ne dono k pyaar ko samjha tha...
Yaha aisa kuch nazar nahi aata aapki story se...


Behtari isi me hai k B ko bhool jaaye...
Aur apne future pe dhyaan diya jaaye...

Kehte hai k Ram ji aur Seeta ji ka pyaar sachha tha... Par meri nazar me Ram ji ne praja k liye Sita ji ko vanvaas kyu diya, agar unka pyaar sachha tha... Jabki Agnipariksha b Sita ji ne de daali thi...

Meri Nazar me sachhe Pyaar ki jo buniyaad hai wo hai VISHWAAS, agar trust he nahi hai ek doosre pe to pyaar kaha se hoga... ?

Aapki story me A ko B par poora trust hai, jabki use pata hai ki B C ko chahta hai, par B ka vishvaas se koi lena dena nahi hai, coz aapki story k according uski bhi C se ladai ya misundrstnding ho jati hai...

Aapki story me A ek sachhe pyaar ki jeeti jaagti misaal hai,
par B ka sachhe pyaar se koi lena dena nahi hai, wo to C ko paane k liye kabhi A ko use karta hai kabhi D ko...

Sachhe pyaar me kisi third person ko involve nahi kiya jata...
Jaisa ki B kar raha hai...

Overall mera kehna to yahi hai ki Agar bhagwaan ne A ki kismat me Kuch achha likha hai to A ko SACHHA PYAAR JARUR MILEGA...
Uske liye chahe Khud bhagwaan ko Duniya me aana pade...

Lekin agar Kismat me kuch achha nahi likha hai to A ko chahiye ki wo apne rishto pe dhyaan de future pe dhyaan de, kabhi kisi ka dil na dukhaye, apni udaasi se kisi ko udaas na kare kyunki A se na jaane kitne logo ko kya-2 expectations hongi..
Agar A sabke saath achha karegi to KHUDA B USKE NASEEB KO KHUSHNASEEB KARNE K LIYE MAJBOOR HO JAYEGA...

NOTE : upar likha hua sab meri personal feelings hain.. Jaruri nahi ki sabhi meri baat se ittefaaq rakhte ho...

KOI HURT HUA HO TO DIL SE SORRY ...
   
Reply With Quote