View Single Post
naya jumla
Old
  (#71)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
naya jumla - 6th July 2014, 01:43 AM

DostoN

Aadaab

is baar hum ek lafz naheen balki ek jumle ya phrase par ghaur kareNge

ye jumla hai "daar-o-rasan" ya "rasan-o-daar" jis par aap ko koyee sher, qit'ta, rubaaee, nazm ya kuchh aur jise shayari kaha ja sake kehna hai...saath hi saath SDC style guftagoo aur gap shap bhi

"daar-o-rasan" means "gallows and noose" .... yaanee phaaNsee dene ke apparatus ko kehte haiN

"daar" means gallows ... wo structure (usually wooden) jis ke oopar rassee baaNdh kar phaaNsee di jaatee hai aur jis par phaaNsee diye jaane waale shakhs ko kharhaa karaaya jaata hai.

"rasan" means rope ya rassee .... jis se noose ya phaNda banaaya jaata hai phaaNsee dene ke liye.

kyunki kehte hain ki "a picture speaks a thousand words"' to is link meiN daar-o-rasan ki picture dekh sakte haiN

http://fc08.deviantart.net/fs70/f/20...sh-d56fvo3.jpg


is khatarnaak se lagne waale jumle ka istemaal shayari meiN kaafee dekhne ko milta hai ...aur bade hi khoobsurat aur asardaar aashaar bane haiN is jumle ko le kar

uataad shora ke kuchh khoobsurat aur pur-asar aashaar dekhte haiN in jumloN par ...


DAAR-O-RASAN

qad-o-gesoo meiN qais-o-kohkan ki aazmaaish hai
jahaaN hum haiN wahaaN daar-o-rasan ki aazmaaish hai
-ghalib

teg munsif ho jahaaN daar-o-rasan hoN shaahid
begunah kaun hai us shahar meiN qaatil ke siwa
-ali sardaar jaafri

sabhi dareeda dahan ab badan dareeda hue
supurd-e-daar-o-rasan saare sar qasheeda hue
-faraz, nazm "mohasira" se

ailaan-e-haq meiN khatra-e-daar-o-rasan to hai
lekin sawaal ye hai ke daar-o-rasan ke baad
-kaifi azmi


RASAN-O-DAAR

aaj kyooN un meiN naheeN jurrat-e-taazeer ke hum
muntazir kab se khade haiN rasan-o-daar ke paas
-wamik jaunpuri

tamaam shahar meiN kya ek bhi naheeN mansoor
kaheNge kya rasan-o-daar aao sach boleiN
-qateel shifai

ye to tay hai ki jiye jaayeNge har haal meiN hum
un ke lab par rasan-o-daar ki baateiN hi sahi
-NM


to is hafte hum "daar-o-rasan" ya "rasan-o-daar" par shayari kar ke in jumloN par ghaur kareNge. in do jumloN meiN se jis ka bhi istemaal kareiN apne qalaam meiN ... guzaarish hai ki jumloN ko mukammal taur par hi istemaal kareiN ... daar alag aur rasan alag istemaal na karein (us se phaansi dene
meiN bhi mushkil aayegi ) this request is just to have some consistency within the activity, that's all.

(just to be clear, lafz "daar" akele bhi istemaal ho sakta hai aur us par bhi laajawaab sher kahe gaye haiN, but in this activity we will focus on the complete phrase)

ye silsila hum chalaayeNge Friday 11th Juky ki midnight tak, i.e. for the next 6 days

sabhi members se guzaarish hai ki sawaal, jawaab, comments aur shayari ka silsila banaye rakheiN jis se humein ek doosre se seekhne ko mile

kyuNki kuchh members ne pichhlee dafa diye gaye lafz ki digital taqti ki farmaaish ki thi .... to mere hisaab se in jumloN ki taqti hai ...

daar-o-rasan = 2X12
rasan-o-daar = 11221
(X = flexible between 1 or 2)

any other opinion on the taqti can also be discussed

chaliye, to intezaar kis baat ka .... kooch karte haiN daar-o-rasan ki or

duaoN ke saath
Zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote