View Single Post
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
4th February 2013, 04:46 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Hmmmmmmmm 60 views and only one reply...not bad...chalo kisi ko tou ghazal per kuch theek laga...maiN tou is impression me thi ke shayed itni bakwaas hai ke koi is per kuch kehna hi nahi chahta..

Anyway sab se pehe tou aapka bohat bohat shukriyaH aap ghazal per aaye ...ghazal ki pasandegi ke liye dusra shukriyah...

ab rahi baat is sher ki


Na cheda karo apni aankhoN se humko
Gaye jaaN se hum ,adaa hai tumhaari

is sher meiN shayer yeh kehna chahta hai ke "tum mujhe apni ankhoN se mat cheda karo, tumhari tou adaa hai, per koi is adaa se ghayal hoker jaan se jaa raha hai.."

ab yahaan jaaN se jaana ka matlab yeh nahi ke sach me shayer mar gaya.....(sach me marr gayi tou sdc kaun sambhalega.....kidding..)

poetic language me ayse words use karte haiN...taaki situation ki gehraayi samjha sakeiN...

just a poetic language bro...

Ek example deti huuN


Amar akber anthony movie me ek gaana hai parda hai parda , us me ek stanza hai

Khuda Ka Shukra Hai, Chehara Nazar To Aaya Hai
Haya Ka Rang Nigaahon Pe, Phir Bhi Chhaya Hai
Kisiki Jaan Jaati Hai, Kisiko Sharm Aati Hai
Koi Aansoo Bahata Hai, To Koi Muskurata Hai


Ab isme me wahi situation hai....ab isme kisi ki jaan chali gayi tou gaana kaun gaa raha hai...

hope u r getting my point.....


chaliye aapka hi ek sher lete haiN

ZubaaN khole binaa hi Tum se Haal-e-Dil bayaaN kar dooN,
Jhukii NazroN se hote haiN, kayee Israar Posheedah.


ab isme aap kehnna chahtay haiN ke bina zubaaN khole baat ho sakti hai..lekiN practically yeh mumkin nahi...baat karne ke liye zubaaN kholna zaruri hai...per shayri me mumkin hai......U see..everything is possible in shayri..

NEXT:


Mohabbat me furqat ka aalam na pucho
Ke gin gin sitaare woH raateiN guzaari


Is sher me aapne kahA "woh" word uljha hua hai...behr ke mutalliq ya khayaal ke ...aapne bataya nahi...

mera andaza hai "woh" ka wazn 1 ya 2..dono mumkin hai...

Khair koi baat buri lagi ho to sorry.....I was only trying to defend myself...

Ek baar phir bohat bohat shukriyaH...


Zainy saahiba.... mujhe aapki kisi bhi baat ka bura nahi lagaa... jab shaayar se koi sawaal kartaa hai to dekhaa jaae wo khud ek tarah ki gustaakhi hotii hai... isi tarah agar shaayar jab uski baat ka jawaab detaa hai, to sawaal karne waale ko bura maanne ka koi sawaal hi paida nahi hona chahiye..

Main sher apne tareeqe se samjahne ki koshish kar raha tha... Asal me aapke examples dekhe maine, aur aapka nazariyta bhi dekhaa, ab sher samajh me aaya mere ...

shukriyaa bahot bahot aapka....


Shaad...
   
Reply With Quote