View Single Post
Re: Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
Old
  (#15)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
Re: Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar - 22nd March 2006, 09:40 PM

Quote:
Originally posted by masoomshayer
bahut dard main raha hoon aur kayee din tak kuch post nahee kiya. is site pe ane ke baad pahale baar huya tha ki itne din main alag raha bas parhta raha par kewal parhte rahane bhee achha laga

aaj apne pinzre ko khud hee tor ke ek nazm laya hoon jo parhnege ise batayenge bhee mujhe kaisee kahee hai aisee ummed hai mujhe agar bata diya to eeenam mera hoga na bataya to shikayate nahee par aise main udas rahoonga ummeed karata hoon udas hone ka haq nahee cheena jayega pichle 15 dino main pahlee nazm
Anil


Na tujhe hee raha yad maine bhee bhula diya
Too hee kah de kaise ban sakta tha phir yadgar
Mere pyar ka woh pur sukoon junoon
Tera shabnam ke katre sa woh masoom pyar
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Mere kadmon ke naksh sahil kee ret par bakaya to hain
In ko sizda na kar ibadat se inka rishta naheen hai
Inke peeche gayee too to milegee bas ek bhatkan
too jan le meree rahguzar kisee manzil se wabasta naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too bahut udas hai mujh ko kho kar maine mana
Meree hokar bhee soch to yahan kya badal jata
Meree bastee main zindgee kuch yoon jeete hain log
Tera pyar khudkashi karta tera husn dhal jata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Aj teree palkon pe mera kajal to nazar ata hai
Tab shayad tere khayalon main mera aks bhee na rahata
To mujhse is andaz main miltee ki kho jatee mujhse
Tere wazood pe kaheen mera naksh bhee na rahata
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Udas kyon hai tujhe koyee taj mahal na somp saka
Pyar kewal yadgar ho jaye kafee naheen
Khusboo kee tarah har taraf faile to pyar kahiye
Tere gesoo orh ke agar so jaye kafee naheen
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Taj mahal kaya hai ek shanshah ka junoon
Tera aur mera is junoon main koyee hissa naheen hai
Kal zinadgee kaya thee ek kahanee thee
Aj hayat hayat hai koyee kissa naheen hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Too kisee aur kee anjuman main hai hai to sahee
Too kisee aur kee nazar main hai hai to sahee
Tajmahal main naheen to na sahee itna hee bahut hai
Too kisee ghar main hai hai to sahee
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tujhe ek imarat naseeb ho gayee warna
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe ghar naheen milta
Too game zindgee se ghabra ke chahe to mar bhee saktee hai
Yahan woh bhee jee rahe hain jinhe zahar naheen milta
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Tajmahal ek kafas(pinzara) hai tera ghar tera nigehban
Phir kis khayal main kho gayee too kis liye mayoos hai
Too yahan kaid naheen mumtaz kee rooh ki manind
too yaha rahtee hai too yahan mahfoos(safe) hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Muhabbat yadgar hai ki naheen sochne ka waqt kahan
Aj mahfoos hona hee masala e hayat hai
Mian naheen tere hamrah to kya itna hee bahut hai
Koyee tere sath hai too kisee ke sath hai
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar

Ek udasee se palkon pe ansoon kab thaharte hain
Ek gam ke sawan se ankhon main badal naheen bante
sahil kee ret par kuch gharonde banaye hamne kafee hai
Sahil kee ret se kabhee taj mahal naheen bante
Rahne de zid mujhe main koyee shahjahan talash na kar
Anil
bahut khub dil ko ek baar bhi choo gaye apke alfaz anil ji.
yuhi apna dard hamesha bantna.mein nahi janti apke dukh ka karan lekin bas yhi kahugi aap jaldi se khush ho jao apko deroin khushiya mile.
sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote