View Single Post
Mera vaada hai main so jaaungi
Old
  (#1)
karan q
Registered User
karan q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of lightkaran q is a glorious beacon of light
 
Offline
Posts: 1,098
Join Date: Jun 2004
Location: 238, Jagriti Enclave - Delhi
Rep Power: 26
Mera vaada hai main so jaaungi - 17th November 2005, 11:40 PM

one more part of my novel......... just a poetry

Naazuki:---

Kaash ki koi ped hota neendon ka , kaash ke koi ped hota sapno ka, jab jee me aata tod laati, kabhi gehri neenden kabhi kacchi neenden,her tarah ke sapne,phir main bhi roz soya karti magar afsos neendon ka ped nahi, ek gehri behoshi hai,or shor bhari khamoshi hai, Na neenden hain na sapne hain bas raaten hain kisi ke intzaar waali, so jaag jaag ker kat jaati hain….

Augar Mujhe sulaana hai to
Chaand or taaron ki godi me sulaa do,
Burf ka bistar banwa do,
Baarish ka sangeet chala do
Baadal ki chadar oodha do,
Or hawaa se thapki dilaa do
Aankhon ke samander ko sookhwa do,
Mera waada hai main so jaaungi

Augar mujhe sulaana hai to,
aankhon me kuch khwaab chupa do
Kuch der mera maatha dabwa do,
Phoolon se kuch khushbu laa do
Kuch suraj se aag mangaa do
Pedon se chaiyaan karwa do
Or phir jalti raat bujha do
Mera vaada hai main so jaaungi

Phir niche likha thaa:-
Alvida e raat,hum phir milte hain.aaj phir tune khud ko maar kar subha ko zindgi de di
Kal phir ujaala marr kar tujhe zindgi de dega,tu phir chali aana magar yaad se mere liye le aana thodi neend , or sapne, or jee bhar ker sulaana mujhko kabhi na jagaana mujhko

NaaZuki :- ek adhoora naam
Ek adhoori kavita


Fainsle Qayamat taq multavee ho gaye
Sach kahe na gaye to shayri ho gaye

Mai or samander,do gehre khwaab khuda ke.....
  Send a message via Yahoo to karan q  
Reply With Quote