View Single Post
Old
  (#4)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
24th September 2015, 08:08 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Haazreen-e-mehfil ko mera adaab !

dosto, pesh kar raha huuN beh'r meiN apni pehli koshish. Ummid hai aapko pasand aayegii. ismeiN islaaH ki zaruurat hai, isliye usaatza hazraat se darkhwast hai ke islaaH zaruur kkareiN, bil khasuus beh'r pe.




Daastaan-e-gHam kahii to aap bhi ruswaa huye
Aap hee batalaaiye, wo ehed saare kyaa huye

Baarhaa mujh ko nigaaheiN hausla deti rahiiN
vasl ki shab ka gumaaN Tha raaz saare vaa huye

Kyaa huyii taqseer aakhir iss dil-e-beemaar se
YuN muqaabil baiThkar wo kyun hain afsurda huye

Thay marasim barmala ko_ii chupii baateiN na thii
Aaj bhi ho luuN mukhaatib un se be-pardaa huye

Raahat-e-jaaN na mili ruswaaiyoN ke sheher meiN
Baais-e-taskeen Thay jo, aur gHam afzaa huye

Aashna ko gHam mile goya gHiza milne lagii
gHamzada ki iss adaa pe log dildada huye
Wah Janaab Bahut khoob Bahut khoob !!

Meri jaanib se daad qubool farmaiyeGaa janaab har sher umdaa aur har misre ko aapne badi baariki se buna hai aapki ghazal par mehnat saaf nazr aa rahi hai. Yun to har sher la jawaab hai par 4th sher ki saani ek baar doobaara dekh le shayad thodi atak rahi hai....

Khoobsurat Matle se shuruaat ki hai aapne aur rawaangi behad umdaa hai is kalaam ki ek sher jo dil azeez raha aur jis par dil daraaz taur par muqarrar raha use bayaan kar raha hoon..

Thay marasim barmala ko_ii chupii baateiN na thii
Aaj bhi ho luuN mukhaatib un se be-pardaa huye


kaamyaab ahle-qalam ka dastoor raha hai ki vo daad khud loot le aur aapne vo kaam kar dikhaaya hai dar-haqeeqat banayangi ko mehfil mein rakhte rahiYeGaa

Aapse ek aur darkhwaast karna chahunga ki agar aap mushkil alfaazon ka translation bhi de paaye aur humhare aur dost jo urdu ke gehre alfaazon se rubaruu nahi hai unhe bhi iska lutf mil paayegaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें

Last edited by Qasid; 24th September 2015 at 09:55 AM..
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote