View Single Post
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th September 2015, 10:47 AM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Haazreen-e-mehfil ko mera adaab !

dosto, pesh kar raha huuN beh'r meiN apni pehli koshish. Ummid hai aapko pasand aayegii. ismeiN islaaH ki zaruurat hai, isliye usaatza hazraat se darkhwast hai ke islaaH zaruur kkareiN, bil khasuus beh'r pe.




Daastaan-e-gHam kahii to aap bhi ruswaa huye
Aap hee batalaaiye, wo ehed saare kyaa huye

Baarhaa mujh ko nigaaheiN hausla deti rahiiN
vasl ki shab ka gumaaN Tha raaz saare vaa huye

Kyaa huyii taqseer aakhir iss dil-e-beemaar se
YuN muqaabil baiThkar wo kyun hain afsurda huye

Thay marasim barmala ko_ii chupii baateiN na thii
Aaj bhi ho luuN mukhaatib un se be-pardaa huye

Raahat-e-jaaN na mili ruswaaiyoN ke sheher meiN
Baais-e-taskeen Thay jo, aur gHam afzaa huye

Aashna ko gHam mile goya gHiza milne lagii
gHamzada ki iss adaa pe log dildada huye

waahhh janaab waahh..... behad haseeb matlaa se aaghaaz karte hue aapne anjaam tak abkhubii pahuchaaya hai Saagar saahab.... aapki is ghazal ko padh kar ham yaqeen maniye aapke mureeedd ho gaye..... kyaa khoob likhte hain aap.... bahut shaandaar.......... likhte rahiye...
duaaon ki darkhaast.....

Shaad....


Shaad...

Last edited by Madhu 14; 28th September 2015 at 10:50 AM..
   
Reply With Quote