Quote:
Originally Posted by sajid_ghayel
Sabhi se kehdo, na chheDe un ko , huye jo un ke, ghulaam saahib
Magar ye poocheN, zaroor poocheN, woh kaun haiN kya hai naam sahib
Bichhad gaye haiN jo aap mujh se, to lag raha hai, mai mar raha huN
Jo jaa rahe the, to kar hi dete , ye zindagi bhi tamaam sahib
Kabhi na socha tha aisa hoga, safar me woh bhi mukaam aaya
Chalo chale ab, khatam safar hai, kare na mujhko salaam sahib
Tumhe khabar bhi hai kya ganwaaya, hamaare daaman me kya hai baaqi
Lutayee humne, yeh zindagi hai, khushi hai hum pe haraam sahib
Mile jo mujhse to phir woh keh du, kaha tha pehle kabhi jo unse
Rahey wafa phir, meri zaroorat, kare na mujhse kalaam sahib
Yeh zakhm saare to bhar gaye hai, udaas karte magar nishaa.N hai
Jisey ghazal tum, samajh rahe ho, woh meri tanha hai shaam sahib
Sajid Ghayel
|
As Salam Alykom Sajid Bhaee! Sub'hanAllah! Sub'hanAllah!
Dilkash buhat dilkash! Qaayil ho chukay hayn aapkay fun kay! Bayhad ehsaasaon wa dard say labrayz ayk dum rawaan dawaan ghazal! Daad aapki paysh e nazar kerna chaahoongaa qaboul farmayayn!
Duagoh
Ahmad