Thread: mila
View Single Post
mila
Old
  (#1)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
mila - 3rd February 2013, 10:04 PM

ek ghazal pesh karta hu aapki khidmat me....
qafiye ki self imposed bandish liye huye hai,,,jo kuch logo ko turunt apparent hoga....
ab aapke hawaale karta hu cheer phad ke liye
ab aap miliye(to meet) to aapki rai mile(to get) , abstract ideas ki milawaT hai ( to mix) is ghazal me......aur bhi bahut saare ...to receive...to want...to discover etc etc etc,....
jyada logic ki baat koi na kare to accha ,halanki koi dabaoo nahi iska...ek puzzle ki tarah is suna jaaye.
aaiye miliye...

Jo raasta mila muhje vo kaun sa mila
Muskil bahut hisaab hai kuch khoya ya mila

Milkar na aaya khwaab mujhe raat bhar koi
Kya gesuoo ka rang andheron me aa mila?

OoDe tamaam chehre vo nikla naqaab se
Mil to gaya par is tarah milkar bhi kya mila

Khud par kiya gumaan laga haath kuch nahi
Jis par tha aitbaar vo auro se jaa mila

Sabka yakeen karke tujhe mil gaya sukoon
Tera yakeen karke bhala mujko kya mila

Dushmam nahi tha taak me so dost par bani
Dushman bhi mera dekhiye kya kaam ka mila

Teri hai gar ye zidd to ye zidd ki hi haar hai
Le abto mere jaam se tu jaam laa mila

Last edited by zidd; 3rd February 2013 at 10:07 PM..
   
Reply With Quote