Ae Mere Khuda -
8th May 2013, 01:19 AM
ab toh mere khuda mujhe jalwa dikhaaiye
apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye
kuch keh rahi hain aap se seene ki dhadkanein
mera nahi to dil ka kaha maan jaaiye
main jaanta hoon tu bada rahamat-navaaz hai
sab ke dilon pe raham ka jaadu jagaaiye
muddat se tishnagi hai tumhaare jamaal ki
noor-e-kamaal se zara parda uthaaiye...</3
|