Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna
sdc ki purkhuloos mehfil ko Sagar Aashna ka adaab !
Ek arse baad sdc pe aana hua hai.
KahiN par ek unwaan tha 'kya kya yeh barsaat bahaa kar nikli hai'. Uss par ek chhoti si koshish pesh kar raha huN, iss ummeed ke sath ke koi kami beshi hone ki surat meiN mehfil se rehnumaayi milegii.
Gar che dil se jaan judaa kar niklii hai
Tiri Khamoshii aas jagaa kar niklii hai
Kal tak jin ko poochh hawaayeiN chalti thiiN
Aandhii unki khaak uDaa kar niklii hai
Koyii toh iss baar rahii hai majboori
Warna woh kab aaNkh churaa kar niklii hai
Parwaane kii jaan toh niklii hai lekin
Mehfil bhar meiN aag lagaa kar niklii hai
ArmaaN thay kuchh, aur makaaN bhi thaa mera
Kya kya yeh barsaat bahaa kar niklii hai
|
der se aane ki muaafi chaahta hoon par yeh sher tesri baar padhi aur phirse dil pe nashtar se chale...khudaa aapki kalam aur shayri mein yunhi izaafaa karta rahe...