Thread: Maa'n
View Single Post
Old
  (#4)
Rashmi sharma
volunteer
Rashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud ofRashmi sharma has much to be proud of
 
Rashmi sharma's Avatar
 
Offline
Posts: 723
Join Date: May 2010
Location: chandigarh
Rep Power: 24
20th July 2010, 09:07 PM

Quote:
Originally Posted by amj22224 View Post
Apney jazbaat ankh mein rakh lo
Bus yehi baat ankh mein rakh lo

Zindagi to safar hai sehra ka
Thori barsaat ankh mein rakh lo

Din se jana地 kabhi chhupa k mujhey
Sirf ik raat ankh mein rakh lo

Main hu地 mehwar tumhari chahat ka
Tum meri zaat ankh mein rakh lo

Jin se khwabo地 mein rang bhar jae地
Aisey lamhaat ankh mein rakh lo

Shahi hum se wafa parasto地 ki
Koi to baat ankh mein rakh lo

By:Yaseen Shahi
..................................
Samandar kya kare地 ge qatra-e-shabnam chura lae地
Jo mumkin ho to zakhm-e-hijr ka marham chura lae地

Tumhara sath hai to aik bus apna hi jeewan kyu地
Jaha地 walo地 ki sari umr aao hum chura lae地

Baharo地 k chaley janey khiza地 aney ka dar na ho
Koi aisa muhabbat ka naya mausam chura lae地

Khabar ho neend ki paryo地 na hi khwabo地 ki devi ko
Tumhe地 palko地 ki doli mein bitha kar hum chura lae地

Hame地 jazbaat k sehra ko bhi sairab karna hai
Kisi tootey huey insa地 ki chashm-e-num chura lae地

Sada ki muskurahat un k honto地 pe sajanay ko
Chalo shahi zara chupkay se un k ghum chura lae地

By:Yaseen Shahi
#############

"Unbreakable thoughts"

Main apni soch ki har soch mein yehi sochu地
Na janay tujh se aqeedat ka kon sa bandhan
Hai chahto地 ka ta誕luq ya dosti ki girah
Ya koi rishta-e-subh-e-azal hai rooho地 ka
K raat din teri socho地 mein mast rehta hu地
Main teri yaad k unmit naqoosh mein dooba
You地 tere pyar ki mojo地 mien mast rehta hu地
Tere khyal ko meraj-e-ashiqi samjhu地
Tere jamal ko meraj-e-shayri samjhu地
Tere wisal ko meraj-e-zindagi samjhu地
Magar main subh-o-masa soch soch kar sochu地
K tera hijr bhi aey ga aik din akhir
To mere zehn ki sub kehkashae地 toote地 gi
Na tere qurb k lamhaat laut pae地 ge
Na teri yaad ki ye kashtia地 hi doobe地 gi
Magar main husn-e-azal se sada dua go hu地
Mere khuda mere dil ki ye iltija sun le
K ab ki baar jo lamhat-e-qurb-e-yaar ae地
Tamam aalam-e-mojood bhi gawahi de
Hum aik doosaray ko dekhtay rahe地 shahi
Na dharkano地 ki sada tak hame地 sunai de
Mujhe jo qurb ki lazzat se ashna kar de
Wo raat lakho地 baras pe muheet ho jaey
Tu aisi subho k sooraj ko andha kar dena
Jo mere yaar ko mujh se chhura k le jaey.

By:Yaseen Shahi
good efforts......./....../......../......./......./
   
Reply With Quote