View Single Post
Old
  (#75)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
27th July 2011, 03:15 PM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post

Sawaal ye aayaa hai ki ………………………………….
URDU ADAB KIYAA HAI ?
Is baarey me agar tafseel likhee jaaye aor us pe daleel de ke hawaalaa bhi diyaa jaaye to baat bahot lambee ho jaaye gee ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
ab us tafseel ko na main likh hi saktaa hun aor na itnee tafseel ka time hi hai ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Bahot hi mukhtacar baat ye ho gee ki pahley ye pataa lagaa liyaa jaye ki ADAB kiyaa hotaa hai us ke baad us ko zabaan se jod diyaa jaaye kiun ki ADAB ADAB hotaa hai aor har zabaan me ADAB hotaa hai
ADAB kisee eyk zabaan me nahi har zabaan me paayaa jaataa hai shart ye hai ki us zabaan ki rasmul khat( font style ) paayi jaatee ho
Is liye bahot achhi baat ye hai ki mukhtacar andaaz me jaan liyaa jaaye ki ADAB kiya ahai
Ji haan ,,,,,,,,,,,,,,,,, adab ,,,,,,,,,,,, koi aisee tahreer yaa guftagoo jis me zabaan ke osool ko mokammal bartaa gayaa ho usey adab kahtey hain ……
Ab ye arbi farsee urdu hindee English bangla tamil koi bhi zabaan me ho saktaa hai …..
isee tarah … ADAB me nazm aor nacr donon shaamil hain is liye chaahe wo ghazal ho yaa nazm marciyah ho yaa macnavi rubaayi ho yaa qitaa waghairah waghairah …. aor chaahe wo afsaanah ho yaa naavil mokaalmah ho yaa mobaahecah mazmoon ho yaa khat yaa phir baahamee baat cheet waghairah waghairah sab hi ADAB maaney jaayen gey shart yahee hai ki us me ZABAAN ke osool ko bartaa gayaa ho
Ab agar main is roshnee me dekhoon to mahsoos hotaa hai ki is site pe honey waalee har tahreer agar ZABAAN ke osool ko barat ke pesh ki gayee hai to who ADAB hai
Aor ye ADAB ka ibtedaayi hissa hai balki is ko shart kahaa jaaye to zeyaadah behtar ho gaa
Warnah bahot se logon ne sirf zabaan ke osool ko barat lene ko ADAB nahi maanaa hai balki ye bhi shart lagaayee hai ki ZABAAN ke osool ko barat ke is khaas andaaz se pesh kiyaa jaanaa ki wo sunney yaa parhney waale pe acar andaaz ho jaaye tab wo adab ho gaa
aor isee bunyaad pe us ko FONOON E LATEEFAH me shumaar kiyaa jaaye gaa
Akheer me eyk baat ye bhi kahtaa chaloon ki ADAB KIYAA HAI is baarey me ye meri apnee raaye hai is se zeyaadah kuchh nahi


shukriya masood saheb

aapne apna qeemati waqt nikaal kar apni ra'i se nawaaza


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote