View Single Post
wo gul hai gul khilana chaahta hai
Old
  (#1)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
wo gul hai gul khilana chaahta hai - 12th January 2013, 02:30 AM

eyk haliki phulki ghazal sdc ke ahbaab ki nazr


wo mujh ko warghalaanaa chaahta hai
diye ki lao baRhaana chaahta hai

mujhe uNgli thamana chaahta hai
magar pahloo bachana chaahta hai

mujhey pal pal jalana chaahta hai
sazaa bhi shaaeraanah chaahta hai

jisey who toRtaa hai muskuraa kar
usee dil me Thekaanah chaahta hai

wo rakhta hai nazar tirchee hamesha
magar pakka nishaana chaahta hai

wo qaatil hai ye sab hi jaantey hain
usey phir bhi zamaanah chaahta hai

merey pahloo me baithaa hai khafa saa
wo har dhab se sataanaa chaahta hai

mujhe baahoN me apni qaid kar ke
paseene me nahana chaahta hai

bahaaroN ka pata detaa hai maosam
koyi ab muskuraana chaahta hai

mujhe paighaam detaa hai nazar sey
wo gul hai gul khilana chaahta hai

ye dil bas husn ka rasiya nahi jee
adaa bhi kaaferaanah chaahta hai

naya hai daor aor hassas teywar
naye charkey lagaana chaahta hai

masoodhassaas
kuwait

Last edited by zainy; 12th January 2013 at 07:52 AM..
   
Reply With Quote