View Single Post
Old
  (#10)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
29th February 2008, 05:38 PM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
aapke hukum kii taameel karte huye ees Khel ko maiN aage baRhaataa huuN..

sarhadeiN.. !

to sarhadeiN ke baare meN maiN itanaa hi kahuNgaa ki yeh kabhee aapsii pyaar ko baaNT nahiiN saktii..

sarhad lafz par sey aik ek geet yaad aa gayaa.. paNchhi nadiyaaN pavan ke jhoNke.. koii sarhad na iNhe roke.. sarhadeiN iNsaasoN ke liye haiN.. socho tumne aur maiNe kyaa paayaa iNsaaN hoke..!

aglaa lafz>> Khat

Khat ............

pehly zamany ki baat hai jab bijli k alaat na howa kerty thy tab log apny sandes "patr" matlab "khat" k zariye bhaija kerty thy , asaan lafzon mai ager is ki tareef ki jaey to kaha jata hai " khat Adhi Mulaqat "

aik premi ka haal dosry premi tak to pahunch jata hai lakin adhoora. uthy howy mann mai her sawal ko poocha nhi jata kuch mehsoos bhi kya jata hai or kuch ka jawab dekhy hi mil jata hai , isliye khat matlab patr ko adhoori mulaqat kaha jata hai .

Khat aik beta apny maan baap ko likha hai jab who sekron meel dool baitha unko yad ker rha hota hai , mager ajkal khat to lagta hai jaisy asaar e qadeema ki kuch cheezon mai se aik hai , bijli ka patr to ankh k jhimatny se bhi pehly pahuch jata hai or khat 1 din se bhi zyada lag jata hai ager doori zyada ho to 7 din bhi lag jaty hain . or intazar mai baithy maan , baap , behn , bhai , rishty daar , premi ya premika aisy hoty hain jaisy sooli per latky hon .... bijli k alat ne zindagi to asaan bana dee mager who uns who mohabbat who suroor ab nhi raha ..................kya khayal hai dosto ?

agal shabd ............uns (Mohabat )
Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote