View Single Post
Re: aaj main MARNE ja raha hun....
Old
  (#40)
ruhani
Registered User
ruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the roughruhani is a jewel in the rough
 
ruhani's Avatar
 
Offline
Posts: 1,499
Join Date: Feb 2005
Location: punjab
Rep Power: 23
Re: aaj main MARNE ja raha hun.... - 28th May 2005, 04:11 PM

Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
Andheron se hath mila.. ujale se door ja raha hun...
Honton se jam gira, ashko main milne ja raha hun...

Safar-e-jindgi qaliil*sa, tanhai ki umra tawiil** mili...
Tufuuliyat-o-khurd** chor, kabra main sajne ja raha hun ...

* chota, **lambi, *** bachpan aur jawani..


Sehra-e-gham main angaron pe thande sukoon ki chah...
Bhagh-o-bahar* se ajnabi, haar tasweer pe jadne ja raha hun...

*pholon se saja basant mausam


Mukkamal jahan ka khitiz, nazron ka dhoka tha bas...
Pyar-o-ranj-e-mehfil bhula, jhakmon ko silne ja raha hun...

Mehboob se umeeden rakh thi, yaagnaah* kab peeche rahe...
Dard-o-gham se karah*, rakh main khilne ja raha hun ..

* rishtedaar **cheekh,


Kaazib* aawazon se na roko mujhe ey kaazib duniya walon...
“saccha_pyar”-e-jahan dekh, aaj main marne ja raha hun...

*jhoote



kunal
dearest kunal,
aaj tumhara yeh ehsaas ab samjh sakti hoon. shayad aaj se kuch waqt pehle tak itna gehrai se tumhein samjh nahi payi thi. aaj na jaane aapna gamn tumhare gamn ke aage pheeka sa lagta hai. u know wat we really fewll deep into our depth of sorrows bt once we come to know abt others it seems tht ours is nthing in frnt of tht person. dard hi dard har ek alfaas se beyaan hota hai aur cheeta hai dil har ek alfaaz.khush raho aur dua hai aainda aisa kuch padne ko na mile dost. itna gamn ki halaq se nahi utar raha. kya likhu, aah karu ki wah karu, kuch samajh mein nahi aa raha. dua hai us khuda se ki khushiyon se daman bhar de tumhari jholi mein. take care n may god bless u with his finnest glitters.
------------------------------------------------------------------------------------

humari zindaghi mein dekho,aise bhi hai mukaam aaye
ki aapno se zaada, begaane humare kaam aaye!

khuda ne banta sabko hi,jab khushiyan aur gamn
humare hisse tabhi yaaron,gamn hi gamn tamam aaye!

chor rahe hai hum duniya,afsoos rahega itna magar
ki jeewan mein aaj talak hum na kisi ke kaam aaye!

iss gam_e_but ki laash ko,dafnata kaun hai khuda
aaj khud hi aapne haaton,aapni lash dafna aaye!

aapna kaha humne jinko,gamnom mein akela chor gaye
begaane they jo wo "jas" ko, kandha dene tamam aaye!



mera aashiyaan tha wahan jahan toofanon ka theekana tha,
ek naadan dil tha aur ek bedard zamana tha!
na jaane kyu ussi pal mil gaya ek dard naya,
jab kisi roz mere labon ka muskurana tha!

*****************************

Kutch bayani ho ehsaason ki…..
Kutch kahani ho jasbaaton ki….
Ek paaq bazm jahan ho sirf pyar…..
Dhoondte hain koi aisa manzar yaar….

Karein ek dooje se har koi lagaav….
Koi kare shikayat koi de sujaav
Naazim kare hifaazat-e-pyar…
Dhoondte hain koi aisa manzar yaar….

Buzurgoon ki kahawaat hai…
Fal-e-intezaar meetha hai….
Kehte hain Jas- Nal- Aman….
Thoda sa, bus thoda sa intezaar….

   
Reply With Quote