View Single Post
Old
  (#82)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Talking 16th September 2014, 08:10 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post


Waise aap ki baat to ek dum waajib hai Sanjay ji. Shayari bhi meri mohabbat hai aur begham bhi.

Waise ye shikayat to zaroor kayee baar ho chuki hai ki shayari mein ulajh kar main parivaar ko kam waqt de raha hoon, aur kaafi had tak ye shikayat waajib bhi hai. Ya is nainsaafi ka bhi ilzaam lagta rehta hai ki jab main parivaar ke saath hota hoon to achaanak beech beech mein shayari ki duniya mein kho jaata hoon. Ye ilzaam bhi sahi hai. Aur jab bhi main mulzim ke katghare mein khud ko kharha paata hoon to aainda "sudhar jaane" ka waada kar ke kuchh waqt ki "parole" le leta hoon. Magar afsos! wo waada ziayada dinon tak barkaraar naheen reh paata aur kuchh samay baad hi toot jaata hai, jis par main "contempt of court" ka doshi bhi ban jaata hoon

Magar jis faisle ke baare mein aap ne sawaal kiya hai, "ki ya to main rahoongi ya shayari", ji is faisle se abhi tak bacha hua hoon. Begham ne aisi shart naheen rakkhi hai ab tak. Shayad is liye kyunki shayari ke alaawa mujh mein aur bhi kayee saare "aib" hain, jo ki begham ki "hit list" mein hain. abhi tak unhi "aibon" ko ek ek kar door kar ke un ko tasalli de raha hoon, aur abhi tak shayari ka number naheen aaya hai to ab ye soch raha hoon ki kuchh aib bacha kar rakhta hoon, jab tak wo rahenge, shayad tab tak shayari mehfooz rahe

Abhi tak is naazuk muamale par mera tajurba aur meri samajh itni si hi hai

Mujhe Sanjay ji ke interview ka be-sabri se intezaar hai ki un se is masle ko suljhaane ka "guru mantra" seekh sakoon
i support zarraa saheb's suggestion... Next interview should be of our dearest Sanjay jee!


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote