Quote:
Originally Posted by maikasH
taslee'maat masood bhai
aapki inaayat hai bhai jo mujh na'ehl ko itni izzat se nawaaz rahe haiN go aapke lehje meiN jo taQalluf nazar aaya voh zara sa chubh raha hai bara-e-mehr'baani paraaya na samjheiN
aapki daad aur duaayeiN sar-aaNkhoN par
khuda ne chaaha aur tabiyat ne saath diya to aage baat hoti rahegi
rab raakha
maikash
|
aadaab
maikash bhai ... takalluf ka dar aanaa eyk amr e fitree thaa aouwal ki ham donon me kabhi koi mokhaatebat na huyi is liye eyk dosrey ke taqreeban mezaaj naa aashnaa hain ,,,,,, doosreey baat ,,,,, main hun bhi to luknow ke atraaf kaa
to aisaa ho jaanaa koi baeed az qeyaas baat nahi ...... waisy main apnet rab ka shukr adaa jarta ahun ki main har shaayir ko apnaa samajhtaa thaa hun is waastey aap bhi merey apney hain ,,, taaham abhi to guftagoo ka aaghaaz hai shaayad ham be takallufee ki tamaam hodood phalaaNg jaayen
.... bahar haal main aap ko dobarah is qadar khoobsoorat nacr pe mobaarak baad detaa hun ... sacchi me aap is ke mustahiq hain
masood