View Single Post
Re: Bilakhti kahaniyoN ka SACH....!
Old
  (#2)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Re: Bilakhti kahaniyoN ka SACH....! - 7th April 2006, 10:57 AM

Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
Adaab phir se ...

har kahaNi apne maiN rakhti kayi raaz hai... dard sabke alag alag sabke alag sur sabke alag saaz hai,,, par koi dekhe kaise kisi ke jahaaN maiN .. ghum hai har koi apne toot-te aamaan maiN ... dekh ke ye sab kabhi to aaNsouN baheNge... do bol kisi ko apne pan ke kaheNge ... par sehmi yahaN sabki aawaaz hai ... sach har kahani apne maiN rakhti kayi raaz hai ...

°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°

Cheekhte panno, bilakhti kahaniyoN ka sach..
Dhundhli lakeeroN mitTi nishaaniyoN ka sach…

Beeti zindgi waqt se pehle,waqt ki hi maar se…
Gali yadoN ki, bachpan ki nadaaniyoN ka sach

Bik chuke zameer yahaN, insaaN ki baat kya…
Ghulam taaqateN, Kursi ki DalaaliyoN ka sach…

Mehfooz kahaN izzat ghar ki gharon se Nikal…
Tadapti ruh liye phirti, luti jawaaniyoN ka sach…

Mohabbat ki suni raaheN, soona ‘saccha_pyar’…
Na samjha sake koi, badhti betabiyoN ka sach…

Aur

Tamasha hai lakhoN ke liye bikharte armaaN..
Kharidaar jism ke, Bikti deewaaniyoN ka sach…


Cheekhte panno, bilakhti kahaniyoN ka sach..


°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°

Kunal Gautam :- 07-04-2006

Kunal Ji
Aapke shirshak ne akarshit kar mujhe in pantiyon ko parhne ka avsar diya. Isse likhney ke liye mera dhanyavaad sweekaar karein. Bahaut accha laga aapko parhkar.

"Bik chuke zameer yahaN, insaaN ki baat kya…
Ghulam taaqateN, Kursi ki DalaaliyoN ka sach…"

Yeh sach mein hee sach hai.

aapka
vipin


विपिन


   
Reply With Quote