View Single Post
Old
  (#26)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
19th October 2008, 01:07 AM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !


aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye

Kshitiz Ji,
Aapki Gazal hume pasand aayi....Ek sachai hai ismain ...ab to jab aaina dekhenge aapki yeh nagme ek bar yaad jaroor karenge ....

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye


hume yeh linc jyada pasand aayi ..........

Humari taraf se ek sher arz hai ...

unke khayalon mein kuchh yun doobe rahtey hain
Aaina hum dekhte hain aur nazar woh aate hain


sayad aapko pasand aaye


Daad Dilse kabool kijiye ...Khus rahiye
ab ijaazat dijiye

Diya



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya

Last edited by Diya_Jale; 19th October 2008 at 01:21 AM..
   
Reply With Quote