View Single Post
Ghazal: 'Maikash saahab ke nazr!'
Old
  (#1)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
Ghazal: 'Maikash saahab ke nazr!' - 22nd September 2006, 12:01 PM

[color=royal blue]yaaraan-e-mehfil:

Ghazal liKhate Likhate kaafi waqt guzar gaya hai aur kaam kuchh baRh gay hai tau sochaa kee ab ek 'break' liya jaaye, Par break lene se pahle 'Ghaalib' jee kee zameen par likhi huii yeH gahzal 'Maikash saahab' nazr karta huuN... phir bhi ummeed raKhata huuN kee aap sabhi dost ise paRheN ge aur apni besh-qeematii raa'ey se zaroor navaazeNge.

*****************************************
Matla arz hai:-

1)dard de na Shifaa kare koii,
yaar aisa huaa kare koii..

Sher:-

2)na mila kaaenaat meiN tujh sa,
kaaSh! tujh sa huaa kare koii..

3)jism ho jaayeNge judaa to kyaa,
rooh kaise judaa kare koii..

qitaa:-

4)ai Khudaa tere dar pe aa pahuNche,
door kab tak rahaa kare koii..

5)sar jhukaata hai jo tire aage,
kaise us ka buraa kare koii..

Sher:-

6)hai yeh aadam mureed-e-shaitaaN kyoN,
ho sake to bhalaa kare koii..

7)kar sake tau wafa karay duniya,
na kisii par jafaa kare koii..

Maqta arz hai:-

8)gardishoN meiN sitaare hoN'Ghaafil',
kyaa kahe aur kyaa kare koii..

Shifa: cure
Mureed-e-ShaitaaN: Shaitaan ka chela,

-Mayank 'Ghaafil'
[/color]
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote