View Single Post
Old
  (#9)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
26th October 2006, 11:06 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab yaaraan-e-mehfil

maut ki chaahat kam hi logoN ko hoti hai, kuch log kehte haiN ke "jaan hai to jahaan hai" mujhe is baat se ittefaaq nahiiN, maut hi ek aisi shay hai duniya meiN jo apne chaahne waaloN ki ummiidoN pe har baar kharaa utar ke dikhaati hai

is nazm ka tassavvur maine kayi saal pehle kiya tha aur waqt ke saath saath iske DhaaNche meiN bohat tabdiiliiyaaN bhi aayiiN aur shaayad aage bhi aayeNgii, ye kisi haal meiN bhi muqammal nahiiN hai, aaj mann hua ke post karuuN to kar raha huuN, ummiid hai aapko qaabil-e-ga'ur lagegi



nazm ka unvaan hai "zaroorat"


mula'iizaa farmaayeN :



nijaat qaid-e-Gham se mujhko dilaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi


tere dar pe maiN badii aas liye aayaa huuN
ashk aaNkhoN meiN haiN TuuTa hua dil laya huuN
suna hai dard ke maaroN ko panaah milti hai
dil ke zakhmoN ki tere paas davaa milti hai

mujhe vo jaam de ke pee ke dam nikal jaaye
taDap rahi hai jaan kuch sukuun mil jaaye
maiN ziNdagi se ab nibaah kar nahiiN sakta
maiN roz-roz,lamha-lamha mar nahiiN sakta


maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye
tavvaqo'aat* se daaman ko chuDaaya hi nahiiN
dil ne us shaKhs ki yaadoN ko bhulaaya hi nahiiN

tavvaqo'aat = Expectations , UmmiideiN



maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati


jaan dene ke ilaawaa ko_ii chaara hi nahiiN
ab mera ziNdagii ke saath guzaara hi nahiiN
meri saaNsoN ka diyaa aaj bhujhaa de saaqi
maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi

maiN haath joDta huuN zahar pilaa de saaqi...................


apni aaraa se zaruur nawaazeiN


shukriya
maikash

maikash ji adaab!!


aapki tehreer ka jawaab nahi...

aap jo bhi likhte hain...aisa steek likhte hain..padne mein saroor aa jatahai....
maine pehle ye subah padi..toh achhi lagi..soch shaam ko aaker itminaan se padenge.....Ek oomda kism ki chhez padne ko mili...

maine bacchoN ki tarah dard ko paalaa dil meiN
muddatoN zakhm-e-mohabbat ko saNbhaala dil meiN
dil ke tuKdoN ki khalish ab nahiiN sahi jaati
mujhse haalaat yeh apni ab nahiiN dekhii jaati

ismein ahsaas ki aisi h=jhalak hai...ki dil,ko chhoo si jaati hai....


maine choDa tha zamaana jisey paane ke liye
usii ne choD diya mujhko, zamaane ke liye


waah...bahoot hi oomda dear....

kya kahein kya na kahein......bahoot khoob janaab


harash
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote