View Single Post
Old
  (#145)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
15th April 2015, 10:56 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Interview ka ye daur bahot rangeen rang me rangaa huaa hai Madhuu ji.....

bahot khsuhi ho rahii hai aapke baare me jaan kar ham sab ko.....

chand sawaal aur pesh karnaa chahungaa......


1) insaan ki zindgee me wo koi na koii nashaa zarooor karta ahai, aapko kyaa lagtaa hai shaayri ya sukhan bhi ek nasha hai ya nahii.

2) ghazal kaa bandish me honaa zyaada acchaa hai ya nazm kaa aazaad hona... aapko kya lagta hai..

3) Gam-e-jaanaa afzal hai yaa Gam-e-duniyaa......

4) har insaan ki zindgee me koi waaqeya ya haadsaa zaroor hotaa hai jiskii wajah se uske kadam ladkhadaa ke ya to maikade ki taraf mud jaate hain ya Shaayriii ki taraf... aapke hisaab se is baat me kitnaa wazn hai, aur sahii raastaa kon sa hai....

and last but not the least..............

5) shaad ki 5 khaas baaten bataaiye......

Filhaal ijaazat....


mukhlis.....
Adaab shaad ji...
aapke sawalon ke jawabon ke sath..hazir hoon main...

1.koi bhi nasha kyon kiya jata hai,jyadatar khud ko kisi dukh kisi takleef se door rakhne ke liye..aisa hee suna hai maine to...ki us thode se vaqt me insaan duniya ki sab mushkilein bhool jata hai...ek shayar se poochein to bhi yahi jawaab aayega ki jab dil me jahaan bhar ka dard hota hai to bas ek hee cheez sukoon deti hai vo hai shayri...jjisme apne jazbaat apni tadap apna dard apna dil sab nikal ke rakh deta hai shayar....aur yakeenan uske baad uska dil halka ho jata hai......
aisa mujhe lagta hai..aur isiliye shayri ek nashe se kam nahi jiski ek shayar ko hamesha zaroorat hoti hai .

2..baat to bahut achchi ki aapne par bahut sochne par bhi yahi kahta hai mera dil ki dono ka koi comparison nahi hai...likhne wala kisme achcha likh sakta hai ye uske upar hai.....fir bhi apna nazariya share kar rahi hoon main..

ghazal me bandishein hain par unhi bandishon se uski pahchaan hai..uski mithaas hai..jo use khaas banati hai..har couplet khud me complete hota hai..jab ki ghazal ki theme ek hee ho tab bhi...ek hee rythm me hone se use likhna asaan hota hai..aur kahna bhi...aisa mujhe lagta hai
kuch ashaar likh kar shayar dil ki sari baatein likh leta hai...

Vahiin nazm me aisi koi pabandi nahi na maqte ki na matle ki na ashaar ki..nazm ke verse individually complete nahi hote..ek doosre se interlinked hote hain..aur mujhe lagta hai ek theme par likhi ek nazm me kai emotions ek sath asani se cover nahi kiye ja sakte..jaisa ki ghazal me hota hai..

Ye meri personal views hain ho sakta hai main galat hoon..shuruaat nazm se hee ki hai maine par fir bhi ghazal se mujhe zyada lagaaw hai.....

3...apke sawaal jitne dilchasp hote hain utane hee ghahre bhi..

Mujhe lagta hai..gam e jana achcha hai...gam e duniya se...
shayri me ghazal ke lihaaz se dekhein to muhabbat ke kai rang..jjisme dard bhi shamil hai..zyadatar dekhne ko milte hain..jana se mile gam aap shayri ke zariye duniya ko suna sakte hain aur apna aur duniya ka dil bahla sakte hain.....
par duniya ka sataya shayad shayri se bhi na bahal paye..duniya ke gam me kadwahat zyada hoti hai..
.pyaar me dard bhi ho to vo shayri me aur bhi rang bhar deta hai..........

4...jee vajah farmaya koi na koi hadsa aisa hota hai jab sukoon ki talaash me bhagta hai insaan..vaise kai baar shaukiya taur par bhi shuru hoti hain aisi aadtein jo baad me gam ki aandhi se nashe par aakar hee rukti hain...
aisi soorat me maikde ki taraf jane se kahiin behtar hai shayriii..ek taraf maikhana jo sirf tabahi ki taraf le jata hai...hasil kuch nahi hai vhaan jakar...
doosri taraf shayri jo ek creativity hai..jo banti to aapke ap e jazbaaton ke rang se hai..par apke sath sath sunne wale ki rooh tak pahunchti hai aur kahne wale aur sunne wale dono ko sukoon deti hai...
to aisi cheez jisse kuch hasil bhi nahi hota aur dard mitane ka vaham bhar hota hai..jjab ki aadmi khud mit jata hai...
usse to kahiin achchi shayri jise kahkar dard kam bhi hota hai aur aap logon ke dilon me zinda bhi rahte hain.....

5...hmmm last one...shaad ki 5 khaas batein...
achcha kiya ye sawaal poocha aapne par mujhe koi narazgi nahi hai aur na hee koi bhadaas nikal kar dil halka karna hai....
ye mauka hai jab main tah e dil se aapka shukriya ada kar sakoon..
1.shaad ko maine kahaniyon aur ghazalon me jitna padha hai..Usse yakeenan bahut avhche writer hain isme koi shak nahi...aur sab is baat ko jante bhi hain yahaan..

2.doosri baat jo maine dekhi hai vo hai sabki post par aapke hausla badhate huye comments...chahe koi naya ho ya purana...sdc members ko aapka sath aur pyaar barabar milta hai.....isse sdc ke liye aapka lagaaw bhi saaf jhalkta hai..

3...mujhe khushi hai is baat ki.. jab bhi maine shayri se juda koi bhi sawaal kiya hai aapse ya jab bhi kahiin ataki hoon...aapne apna keemti vaqt nikaal kar meri madad ki...mera hausla badaya aur yakeen dilaya ki main likh sakti hoon..

4.halan ki abhi bhi kuch din baki hai par abhi tak Is interview thread ke dauran aapne jis tarah mera sath diya hai vo kabile tareef hai...thread ko padhne ka time nikalne ke sath sath sawaal sochne ka vaqt bhi nikala aapne...aur ye yakeen bhi kiya ki main unke jawaab de paungi...is baat ke liye bahut bahut shukriya shaad jee..isse aapki teaching quality samne aati hai..aur judgement karne ki art bhi.....

5...akhiri baat ki bahut achche insaan bhi hain aap,aur achche dost bhi.....aur beshak bahut hazir jawaab bhi....jo kisi ko bhi speechless kar de.....
aage bhi aapke sath ki umeed rahegi mujhe.

Isi tarah hamesha khush mijaz rahiye...apni shayri aur dosti se logon ke dilon me jagah banaye rakhiye.....

UmMeed hai sawaalon ke jawab achche lagege aapko.....

Aate rahiye...
duaon ke sath..
madhu...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 15th April 2015 at 11:03 PM..
   
Reply With Quote