Quote:
Originally Posted by sameer'shaad'
Behad khushi hui aaj aapko is thread pe dekhkar..
Aur. Aapki is koshish ki jitni tareef ki jaae kamm hai..
Do zer aur Do pesh ki misaalen gar bura na maneN to. Batana chahunga..
Amrin...
Jo ki ek naam hai magar do zer ka example hai..
Do pesh ke sabse acche misaalen hain..
Kun. Faya kun..
Kuch aur yaad aaya. To bataunga..
Thankss
|
appki di huwi pehli miCal se to maiN bilkul bhi waqif nahi hoN , mager do pesh waali miCaal per mera aik sawal hai kun faya kun arabic ka hi alfaaz haiN na
ager aisa hai to kiya urdu maiN inko aisy nahi likhty ?
كُنْ فَيَكُونُ
yeh to aisy huwa kaf pesh non "kun" fa zabar ya zabar kaf pesh wao sakin non per jazm "Fayakoon" or ager aisa hai to phir yeh do pesh ki miCaal kaisy huwi ?
barahy karam ager iski Vizahat ker daiN to appki karam nawazi ho gi or hamary e'lm mai izaafa ho ga
Taalib e Elm
Mujeeb