View Single Post
Old
  (#2)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
20th July 2015, 11:27 AM

Quote:
Originally Posted by B.G.M. View Post

aaj maiN aap ke liye ik bahut hi Hassaas nazm,
jo ik deegar meHfil meN moHtarmaa Zaahidah Ra'ees Raajii ne kuChh arse qabl
pesh kee thii, le kar haazir hu'aa huuN
Nazm mujhe be-Had pasand hai, aur ummeed hai kih aap ko bhi pasand aayegi
maiN yeh nazm Madu ji ki nazr kartaa huuN.

------------------------------------------



Nazm

agar tum dard ke seHra meN mera saath de dete
Gham-e-duniya ke tufaanoN meN apnaa haath de dete

Shab-e-Hastii ki tanhaa`ii meN ko`ii aasraa dete
chalo, jhuTaa sahii, par zindagi kaa Hauslah dete

YaqeeN jaano, kih yeh eHsaan mujh par umr bhar rehtaa
tumhaaraa qarz ban kar mere uupar umr bhar rehtaa

magar, tum ne tau Khud-Gharzii ki aisi inteHaa kar dee
GhamoN ki bheeR meN, ik aur Gham ki ibteda kar dee

Bhalaa, aise ta`lluq ko nibhaanaa kaun chaahegaa?
Shikastah ghar ki deevaareN bachaanaa kaun chaahegaa?

tumheN ham, aah! aadhe raaste meN ChhoR dete haiN
tumhaari reh-guzar se apni raaheN mo`R lete haiN!


~Zaahidah Ra`ees Raaji


=================================================



+

bahut sundar nazm share ki hai janaab aapne



Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote