View Single Post
Old
  (#77)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
12th July 2015, 02:25 PM



Rajender ji Namaskar ,

Aap kafi spirtualy inclined haiN tau aap se spirtuality se jude kuch sanjeeda sawaal ker raha huN :
1. Zindagi mein detatched attachment ka kitna mahatva hai or is tarah ki life jee pana kitna kathin hai ya saral hai.

2.Zindagee ek safar hai aur humein us safar ki miyad (span oflife)umr ke roop mein meili hai Agar gehraee mein dekhein tau humari zindagee ek picture ki tarah chal rahi aur hum sab ko role mile hain ( jaise pita,putr, bhai behn , pati pani vagarah) aur prabhu humari picture ka director hai . Hum apne role ko kaise bakhoobi nibhate hut is zinagee ke ko safar ko tay kareiN jara is pe raushni daaleiN,


3 Jab humara kuch hai hi nahiN tau hum kyon itna moh maya mein per ke pareshan ho jaate haiN aur saree zindagi competetion , jealousy aur consumtion mein nikal dete haiN .

4. Aaj kal ke log kehte hain bus zindagee enjoy karo..Eat drink and be merry , for tomorrow thy shall die..app ka kya kehna hai is baare meiN

Sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote