View Single Post
Old
  (#607)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
19th August 2014, 01:00 PM

[QUOTE=zarraa;465428]
Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
jab sabaa bhii azaab lagne lagii
ye qafas aashiyaanaa lagne lagaa

wwaaahh bahaut khoob !! khoob maani ka khel khela Aadeil bhai !! mere interpretation mein is mein cause and effect ka khel hai jis ki 2 sooratein nazar aa hai hain (1) oola ka phenomenon is the cause and the saani ka phenomenon is the effect (i.e.oola ki baat se saani ki baat paida huwee hai) (2) both these 2 phenomena of oola and saani are the twin effects of a third cause which is left to the reader's imagination

pata naheen, may be I have completely mis interpreted the deeper meaning, par jo bhi hai laajawaab hai !!! dheron dheron daad !!!

naye naye ashiyaane ko maiN saraab samjhaa
qafas qafas-aaraa* samjhe maiN to azaab samjhaa


ek bahaut hi zabardast aur falsafaanaa sher se nawaaza hai Aadeil bhai !! mazmoon bilkul saaf hai aur maani bhi takreeban ayaan hi hai (90% tak) ... bas saani ke interpretation mein halka sa atak gaya hoon.... sawaal jo mere man mein hai ki "qafas qafas-aaraa samjhe" - in alfaaz mein qafas-aaraa ka qafas ke mutalliq kya rawaiyya pinhaan hai, jis par shayar react kar raha hai by saying "maiN to azaab samjha" ? haalaanki main ne 1-2 hypothesis form ki hain, but why speculate when the master craftsman of this sher is there with us !!! ek baar phir se dheron daad !!!



(*one who decorates cage)

jabiin-e-khaaksii meN ek jabiin-e-saNg bhii aisa
yahaaN nazr-e-qafas jaaN aur safhaa-e-dahr dikhaataa hai



Wwwaaahhh !!! Bahaut khoob !! Is sher ne lafz-e-jabeen ki guftagu ko bhi munawaar kiya tha aur ab lafz-e-qafas ki charcha ko bhi darakshaan kar raha hai !! Tah e dil se daad Aadeil bhai !!


/QUOTE]


Phir se bahaut bahaut si daad Aadeil bhai ... mere commets oopar red font mein hain ....
waaaaaahhhh!!! Zarraasaab,

pehle sher pe aapne bilkul sahi farmaayaa... jaise aapne hamaare dil kii baat paRh li ho..

dusre sher meN.. maiN samajhta tha ki qafas qafas-aaraa samjhe pe doubt zaroor hoga

ye sher ko ek aam aadmi kii nazar se paRhenge to bilkul saamaanya baat baahar aati hai...
hum jab nayaa ghar kharidte haiN to humse zyaadaa jazbaati hamaare dost aur qaribii ho jaate haiN .. aur hamaare saath wo bhi use sajaane lagte haiN... ab iisme kaii baateN kahi hai..
ki vaise bhii mere liye to ye nayaa aashyaanaa ek saraab (illusion) hai.. magar kuch aise bhii log hote haiN jo ki use iis liye sajaane aaye haiN kyuN ki unko rashk hai mujhse aur wo samajhte haiN ki ye mere liye qafas banne wala hai.. per maiN to jaantaa hi hooN ki ye mera azaab hai.

maine koshish kii hai sher ke maanee bataane kii.. aapke sujhaav ka intezaar rahega...

aapka maskoor..... Adil



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote