View Single Post
Old
  (#10)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
4th January 2011, 12:00 PM

Janu manu ji Salaam

Kaise hain aap..mauf kijiyega kal ki bajaay aaj jawaab de rahaa hoon..

Shaayri se pehle main yeh khaoonga ke mujhe puuraane geetoN ka bohot shauq tha..school ke dinoN ki baad hai hum bhai behan chotTiyoN mein naniyaal apne GaanV Rander jayaa karte the..ek din jab dopher ko sab so rahe the tau maine apne baDe mamujaan (Allah unko jannat ataa farmaaye)..unki meiz ke daraaz ki chaanbeen shuru karr di..aur haath lagi ek patli se puuraani si kitaab..uspe likha tha..."Meer ki shaayri"..aur main palang parr leTe huee paDhne lagaa..zyadaa tau yaad nahi lekin mujhe jo sher behad pasand aaye the woh kuch aisee the.....

jaata hai aasmaaN liye kuche mein yaar ke
aata hai jee bharaa dar-o-deewaar dekh kar,
socha tha usse miliye tau kya kya na kahenge,
dekha use tau reh gaye nachaar dekh kar.

yeh thi shuruuaat..

mere ghar mein kisi ko likhne ka shauq nahi hai...sunne ka bohot hai..aur khaas karr meri ammi aur choTe bhai ko..ek dost hai mera jo ke unn dino..stage acting mein mukaam haasil karne ke liye struggle karr raha tha..he was an active member of NCPA. Woh bohot acchi shayri kehta thaa..kabhi uski khud ki tau kabhi dosre shayaron ki..ussne bhi kaafi muttaacir kiya mujhe...phir maine socha ke kyoN ka acche acche shayaroN ko paDha jaaye..tau unn dino internet was not a necessaty..aur jitni kitaabein thi woh urdu mein maujood thi...tabb apni galati ka ehsaas hua..galati yeh ke mere choTe bhai ko Quraan paDhaane ke liye jab janaab ghar mein aaya karte the..tau meri ammi chahti thi ke main unse urdu ki taleem haasil karoon..lekin kyoN ke mein jawaan ho gaya thai i guess i was in 11th those days..bacchoN ki tarah padhne mein sharm mehsoos hoti thi..janaab jee ghar ke ek darwaaze se daakhil hote the tau main doosre darwaaze se khaarij hota tha..lekin..abb afsos hota hai...aaj bhi mujhe urdu paDhna likhna nahi aata..

phir hua Calcutta mein job Transfer ka maslaa..unnhi dinoN Shayri.com ko join kiya..kuch dost bane..aur maine yeh mehsoos kiya ke Urdu Zubaan ka istemaal Mumbai se zyaada Calcutta mein hai..kuch waqt ke baad "Ghazal Transport" ke Owner Janaab "Munnavar Rana" sahab se ek choTi si mulaakaat huee..unka nephew mera dost tha..woh unki shayri ki kitaabein kabhi kabhaar de jaata aur mein padhta thaa..kaafi gehra asar hua uska mujh parr..unki ek ghazal hai..


Sab ke kehne se iraada nahi badlaa jaata,
Harr saheli se dupatta nahi badlaa jaata.

Humke shaayar hai siyaasat nahi aati humko,
humse muunh dekh ke lehjaa nahi badlaa jaata.

aisaa lagta hai ke woh bhuul gaya hai humko,
abb kabhi khiDki ka parDaa nahi badlaa jaata.

jab rulaaya hai tau hasne pe na majboor karo,
roz bimaar ka nuskhaa nahi badlaa jaata.

ghum se fursat hi kahaan hai ke tujhe yaad karoon,
itne laaseN hai tau kaandha nahi badlaa jataa.

Umr ek talkh haqeeqat hai "Munnavvar" phir bhi,
jitne tum badle ho utnaa nahi badlaa jaata.

SDC join karne ke baad main apne khayaaloN parr zyaada dhyaan dene laga kabhi kabhi unhe likh leta aur phir koshish karta sher bunne ki aap yeh keh sakte hain ke..yahaaN par thoDa badlaav aaya aur shayri ko sanjeedgi se paDhne samjhne lagaa main...lekin abb bhi seekh raha hoon...phir gum-e-rozgaar ne zindagi ke kuch saal churaa liye aur uske baad..abba ka inteqaal huaa..mein Dubai mein tha aur sad-afsos hai ke apne walid sahaab ke aakhri safar mein unke saath nahi tha...sirf phone parr hi gharwaaloN se Ro Ro karr baat karr payaa main....iss haadse ka kaafi asar hua aur mein dard bhari shaayri hi likhta thaa...phir ammi ki tabiyat na-saaz rehne laagi..mijaaz mein kaafi tabdili aa gayee thi unke.. uss waqt tak chaar bacchoN mein se kisi ki bhi shaadi nahi huee thi..aur itni baDi zimmedaari akele nibhaana asaan tau nahi hai...phir kuch waqt baad maine shaadi ke liye haan kardi..aur ammi ke chehre par khushi jhalakne lagi..Allah ka karam aur app logoN ki dua hai ke meri Begum iss kadar ghar mein sabse mill-jhull ke rehti hai ke main aur mera bhai ek taraf aur poori ladies team ek taraf...shaadi huee tau zimmedaariyaN daaman se lipaT gayee...lekin behnoN ki bhi shaadi baaki thi..aur beshaq yeh meri hi responsibility thi ke unke ghar bass jaaye..yeh bhi ek pareshaani thi aur shayri-e-dard jaari rahi...phir baDi behan ki shaadi ho gayee..aisa mehsoos hua ke kuch haasil karr paya hoon zindagi mein..dheere dheere waqt bohot kam nikaal pataa thaa..kaam ki wajah se..aur aaj bhi wohi haal hai..

subha hoti hai shaam hoti hai,
zindagi yuuN hi tamaam hoti hai.

lekin jo waqt SDC par guzraa jo dostoN ne himmat afzaayee ki aur rahbaree ki uske bina shayri se juDe rehna shaayad mushkil tha. Yahaan se bohot kuch seekha hai, aur umeed hai ke aage bhi seekhta rahoonga..chaliye filhaal chataa hoon..bohot lambi kahaani ho gayee..apna khayaal rakhiyega..


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote