View Single Post
Kunaal ji se Gufatgu ka silsilla (01.10.2015)
Old
  (#1)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Smile Kunaal ji se Gufatgu ka silsilla (01.10.2015) - 1st October 2015, 10:25 AM

Namaskaar Dosto

guftagu ke silsilley ko aage badatey haiN aur aaj ham jis shayar ko aap sabse milwane ja rhe haiN, wo sdc ke 11 saal purane member hain, unhone bahut khoobsurat gazaloN se sdc ki bazm ko sajaya hai. aaj ham es shayar ko enhi ki jubaani jaanege.

dosto enko ham usi din se padte aaye hain jab se hamne SDC join ki hai, enki shayri ki tareef karne ke liye mere paas alfaazoN ki kami hai..enki shayari apne aap meiN aik misaal hai...enki aik khaas rachna ki kuch panktiyaa aap sabki khidmat meiN hazir hai. es rachna ko padkar aap jaan hi jaogey ki maiN kis ki baat kar rhi hu

In nigahoN main jo intzaar hai…
Mujhe bhi bas usi se pyar hai..
Khwab ki duniya main hi sahi…
Koi to hai jo mera dildaar hai…

In nigahoN main jo intzaar hai…

Uski har ada mujhe hai bulati…
Meri bekrari yuN hai badhati…
Har waqt bas ek dhun hai sunati…
Kehti hai tu hi to mera yaar hai…

In nigahoN maiN jo inzaar hai…


ji dosto sahi pehchana aapne



~~~KUNAAL Jii~~~


aik baar phir wahi shiqayat hai aapse...ham aapse thoda sa aur waqt chahte haiN, kuch waqt pehle to gayab hi thy sdc se...ab pehle se kuch regular hue to hai par jaise ham chahte hai vaise nahi hamne ense bahut request ki hai ki regular ho jayeN...umeed hai hamari baat ki laaj rakhNge

to enko vapis laane ka yehi aik zariya nazar aaya hame, ham chahte thy ki es umda shayar ko hamare sabhi member jaane bhi aur padey bhi, esi liye ham enko jaise taise pakad laaye hai ki aapko ab regular aana bhi hoga aur sabhi dosto se aik mahina regular baat-cheet bhi karni hogi

ji dosto, es mahine ham enhi se baat kareNge, ham sab enke bare meiN wo sab kuch jaan.na chaheNge jo hame maloom nahi hai, hamne to bas enki shayri padi hai, par yeh asal zindgi meiN kaise haiN ense hi jaanege, thode gusse wale haiN par suna hai dil ke bahut acche hai

Kunaal ji, aapka SDC ke es guftagu wale silsiley meiN dil se suwagat hai…umeed hai ki aap es gufatagu ko khoob enjoy karogey…aur ham sab bhi aapse baate karke khoob lutf uthaNge.





Kunaal ji…es silsiley ko aage badate hue ham chahte hai ki sabse pehle aap apne bare meiN kuch batayeN:

1. Aap kahan ke rehne wale hai ?
2. kya kaam karte hai ?
3. aapki family meiN kaun kaun hai…family se bhi thoda introduce karwa dijiye ?
4. SDC se kaise judey aap ?
5. kya aapke pariwaar ka koi aur member bhi SDC pariwaar meiN shamil hai ?

filhaal etna hi...aapke intejaar aur suwagat meiN SDC team

SDC team ki taraf se Aik baar phir dil ki gehraiyoN se suwagat hai.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...



Last edited by sunita thakur; 1st October 2015 at 10:31 AM..
   
Reply With Quote