View Single Post
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
30th December 2015, 11:38 PM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Facebook par ek group mein Qafiya aur Radeef par sher kehne thhe. Sher to huve hi ye ghazal mukammal ho gayi.

Aaap hazraat aapni aara se nawaazeiN.


GHAZAL
मोड़ ये भी हैं दास्तान में क्या?
संग सब बन गए जहान में क्या?

सांस लेती नहीं हैं दीवारें
घर बदलने लगे मकान में क्या?

क्या उम्मीदों से उसको तकते हो
कोई सुनता है आसमान में क्या?

चल हक़ी़क़त से दोस्ती कर लें
यूँ भी रक्खा है अब गुमान में क्या?

दाम लगने लगे उसूलों के
रक्खे जाएंगे वो दुकान में क्या?

कैसी दरियादिली तुम्हारी है
ज़ख़्म देते रहोगे दान में क्या?

हौसला तो बहुत है सीने में
देखें आता है इम्तेहान में क्या?

दोस्तों के उतर गए चेहरे
है हक़ीक़त मेरे बयान में क्या?

कहते हैं देखता है वो सबको
कोई खिड़की है आसमान में क्या?
- प्रवीण सक्सेना


GHAZAL

Modh ye bhi haiN dastaan meiN kya?
Sang sab ban gaye jahaan meiN kya?

SaaNs leti nahiiN haiN deewareiN
Ghar badalne lage makaan meiN kya?

Kya ummeedoN se usko takte ho
Koi suntaa hai aasmaan meiN kya?

Chal haqeeqat se dosti kar leiN
YuN bhi rakkha hai ab gumaan meiN kya?

Daam lagne lagey usooloN ke
Rakkhe jaayeNge wo dukaan meiN kya?

Kaisi dryadilii tumhaari hai
Zakhm detey rahoge daan meiN kya?

Hosla to bohat hai seeney meiN
DekheiN aata hai imtehaan meiN kya?

DostoN ke utar gaye chehrey
Hai haqeeqat mere bayaan meiN kya?
¬
Kehte haiN dekhta hai wo sabko
Koi khidki hai aasmaan meiN kya?

- Praveen Saxena
Waah!!!..kya khoob ghazal huyi hai praveen ji..
Tamaam ashaar dil chhoo gaye....

Aapki kalam se aise hee nagme padhne ko milte rahein ..yahi dua hai....

Regards
Madhu



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote