View Single Post
Old
  (#95)
Harash Mahajan
MaiN Our Meri Tanhaayii
Harash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud ofHarash Mahajan has much to be proud of
 
Harash Mahajan's Avatar
 
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 31
21st June 2014, 10:52 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Harash Ji,

Pehle to reply mein der hone ki wajah se aapse maaufi chahta hoon..pichle do chaar din thode busy guzre..aur us par aapke dilchasp sawaalon ke jawaab itemenaan se dena chahtaa tha


(1) Aapne shayrii jab shuru kii,....kya aisa koii haadsa ya Ghatna ..iski koii wazah thi?...

Beshak ek insaan ko likhne ka shauk waajib hai par aah ka agaaz dard se hi hota hai..mera qissa bhi kuch aisa hi hai..yun keh sakte ki judaai ke gham ne dil ki rudaad alfaazon mein utaar di


(2) Koii aisa haadsa...jo aapko mazboor kar gayaa ek poori Ghazal kahne ko.

Yun to mera maanna hai ki joh aap likhte hai woh aapka aks hota hai..apne aap ko apne ehsaason se judaa karke mein shayad ab tak nahi likh paaya hoon..ghazal to nahi kahungaa par kuch ise khayaalat the jo kaagaz par khud bakhud utar gaye..aapko link post kar raha hoon umeed hai aap inpar gaur farmayenge..

इमारतों के इस शहर में
muh pher kar har shaqs guzar jaata hai

(3) wo koun sa zikra tha /jis lamha aap hamrooh hue......Kya wo din aapko yaad hai ?

mein is sawaal ko sahi se samajh nahi payaa aap yaha shayri ke mutaalliq baat kar rahe hai?

(4)Ek aakhiri our ahem sawaal------Koii Aisa fann.....jo aap maiN mouzood hai ____our aap ka hamsafar uskii our khichaa chalaa aataa hai.

janaab bas thoda bahut jo likh letaa hoon usi ko khuda ki rehmat ke roop mein qubool farmaaya hai iske ilaawa to nacheez mein aur koi aisa fann nahiN..



(5)Apna koi aisa sher ya muktak...jise kah kar aapko khud par hairrat hui ho ?...

yeh sawaal behad peechidaa hai aapke saamne do links rakh raha hoon aur umeed hai aap is sawaal ka khud jawaab de paayenge...

आज मैं तिरेसठ वर्ष का हो चला हूँ
kheer
Thanks Anu ji aapne apna qeemti waqt nikaal kar apne nizi ahsaasoN ke baare meiN hameiN avgat karwaya our aapke bade saleeqe se apne answers ki adaaygii pesh ki hai ek achhe kalamkaar ki yahi pehchaan bhi hai....halaaNke in sawaaloN meiN abhi kayii pech the ..aapne unhe bahut hi sunder dhang se adaa kiye.....aapne jo link diye haiN......jald hi un par roushni lekar ham dubara se aapi post par hi haazir hoNge....

shaayad aapko sabse ziyada isi question ne pareshaan kiya ...halaaNke seedha sa swaal tha...

(3) wo koun sa zikra tha /jis lamha aap hamrooh hue......Kya wo din aapko yaad hai ?

Matlab yahi....ke aisi koun sii tehreer thi ...jo wazeh bani jiski wazeh se aap hamrooh hue.....

Phir milte haiN aapki unhiN do links par....

ShukriyaaH !!!

Harash Mahajan
  Send a message via Yahoo to Harash Mahajan Send a message via MSN to Harash Mahajan  
Reply With Quote