View Single Post
Old
  (#15)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
3rd September 2014, 03:16 PM

2.Shayri ka shauq aapko kabse hai...??
[/QUOTE



Mujhe chhoti umr se hi, takreeban 7-8 saal se, kavita ka shauq tha. to maaaoom bachpane mein kuchh bhi ajeeb-o-gareeb likhta aur khud ko duniya ka sab se bada sukhanwar samajhta Phir school ke daur mein mujhe kaafee protsaahan mila apni teachers se aur main English aur Hindi mein kavitaayein likhne laga. School ka koyee bhi function hota to main us mauke ke liye khaas taur se ek kavita likh deta aur school assembly mein suna deta. kayee inter school competitions mein part lekar prizes bhi mile jin se bhi hausla afzaayee huwee. School magazines mein contribute karta raha. meri 1-2 kavitaaon ko hamaari music ma'am ne tune di aur school ke choir ne use gaaya bhi par ye sab Hindi ya English mein, kyunki Hindi ghar ki bhaasha thi aur English school ki.

phir waqt aaya college ka. ab ek to wo daur hi aisa that ki dil shaayaraanaa sa hone lagta hai par urdu shaayari se meri kareeb se shanaasaayee huwee music ke zariye. college ke kuchh dost ghazal sunne ka shauq rakhte the, as a music form, aur un ke saath main ne ghulam ali sahab, jagjit singh sahab, mehdi hassan sahab nusrat sahab ke gaaye huwe qalaam sunne laga. mere dost mujh se aksar qalaam ke maayne poochhte the ... haalaanki mujhe urdu naheen aatee thi, pur un ko to bilkul bhi naheen aatee thi. mujhe un se zyaada aatee thi to mujhe zimmedaaree di gayee qalaam ka tarjuma karne ki aur un ko samjhaane ki. to doston ko samjhaane ke liye pehle khud samajhne parhe aashaar ke alfaaz, ehsaas aur maani bahaut struggle kiya. koyee rehnumaayee karne waala naheen tha. urdu script naheen aatee thi ki kisi kitaab se dekhoon (script abhi bhi naheen aatee). internet bhi tab tak aam naheen hua tha. par jaise jaise shaayari ki tootee phootee samajh qaayam karta gaya, jaise jaise us ke andar ghusta gaya, sher-o-sukhan ka jaadoo mere oopar chhaataa raha. main pooree tarah se fusoon-e-shayari ki giraft mein aa gaya. mashhoor shora ke qalaam pardhne laga aur shayari likhna shuru kar diya. doosre kisi bhi tarah ke poetry form se rishta toot gaya aur main bas shayari ka hi ho kar reh gaya. ab us baat ko bahaut saal beet chuke hain, par koshish abhi bhi jaaree hai jaise taise girte parhte galtiyaan karte shayari ki raah par ye aabla-pa zarraa langrhaate langrhaate chalta chala ja raha hai [/B][/COLOR][/QUOTE]



Zarra ji aapke bare meiN jaan kar bahut accha lga aur yeh highlighted line padkar, bahut hasi aaye

Zarra ji, aap us shayrana daur ki koi poetry share kareN, hame accha lgega padkar


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote