View Single Post
Old
  (#89)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
13th July 2015, 12:16 PM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
Sarika jee, Aapka sawaal thoda mushkil hai kyonki is sansaar me har jeev ki prakrati alag hai isliye ek se niyam sabke liye nahi chal sakte. Fir bhi kuchh samany baaton par charcha kar lete hain. Safal dampaty jeevan ka sabse bada jo pahlu hai vo hai Vishwaas ka hona aur jimmedarion ko samajhna. Jab ham shaadi ke bandhan me bandhte hain to ek doosre ko kuchh vachan dete hain lekin aksar ham un vachno ko naa yaad rakhte hain aur naa hi use poori tarah nibhaate hai aur hamesha doosre se yeh apeksha karte hain ki vo un ko nibhaaye vo hame samjhe vo hamaare kahe bagair hamaari baat samajh jaaye chaahe ham use na samajh paaye ho naa hi uske antarman ko jaan paaye par apeksha jaroor rakhenge. Meri nazar me yeh bilkul baraabri ka rishta hai isme na koi chhoota hai na ko bada isliye isko english me life partner kahte hain. Jab dono apne apne kartavyon ko ek doosre ke adhikaaron ki raksha ke liye karte hain tabhi dampaty jeevan suchaaroo rup se chalta hai. Apne aham ka poshan na hone den ek doosre ki bhavnaon ka dhyaan rakhe ek doosre ke vichaaron ka aadar kare baat ko kaate nahi varan baat ko dhyaan se sune ghar ke sabhi faisle ek doosre se mashavra karke karen. or agar fir bhi koi manmutaav ho hi jaaye to roothe nahi agar doosra rooth jaaye to manaaye jaroor baat cheet ka silsila naa thode teesre paksh ko apne beech jagah naa banaane den vo teesra paksh kitna bhi aziz ho agar kabhi bahut jyada man mutaav badh hi jaaye to sirf aur sirf ek doosre ke parents se salaah len. jhukana seekhen jhukaana nahi. yahi thode se sutr hain jinpar chalkar mera parivaarik jeevan sukhad raha hai.

radhe radhe
apne vichaar hamare sath vyaqt karne ka bahut shukriya rajinder ji..aapne jo sutra batayein hain wakai..vo safal dampatya kee neev hain......aur ye bhi sach hai ki inhi chhoti chhoti magar mahatvpoorn baton ko ham ahmiyat nahi dete aur pachtate hain....
mujhe khushi hai ki aapse bahut kuch seekhne ko mil raha hai...aur sarika ji ka bhi bahut shukriya jo itne achhe prashn lekar aati hain aapke samne..jinke uttar se ham sab labhanvit hote hain...

apna khyaal rakhein..
radhe radhe..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote