View Single Post
Old
  (#90)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
13th July 2015, 02:10 PM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
Sanjay bhai aap is mehfil me aaye aapka swagat hai.

Aapke prashn bahut hui suljhe hue aur jigyaasa poorna hai koshish karta hoon mai aapko apni baat samjha paun.

1. Zindagi me detachement aur attachment ka mahatv to hai lekin yeh dikhne ki cheej ya baat nahi hai yeh ek bhav hai ek vairaagi bhi attached ho sakta hai aur ek grahsth me detached ho sakta hai. Maine kai vairaagi sadhuaon ko dekha hai jo baithe to brij me hai lekin fikr hai ghar par hone waale krityon ki soch ghar par baithi hai aur kai aise grasth bhi dekhen hai jo ghar me apne kartavyon ko karte hue bhi poorntah bhajan me lage hain ek trustee ka jeevan hai unka. Attached yaani moh detachment yaani vairaagy dono hi man ke bhav hai naa ki bahari kriya. ek ghar me rahkar bhi deatach ho sakta hai aur ek videsh me rahkar bhi attach rah sakta hai. depend karta hai aap kis bhav me rahna chahte hai dono hi life kathin bhi hain aur saral bhi agar dikhaava karenge to kathin aur sach me bhav hai to fir bilkul saral hai koi mushkil nahi hai. Apne bhav ke anoorup apne jeevan bitaaye to saral hoga uske vipreet jaayenge to kathin hoga.

2 Yeh prashan aapka bahut sateek hai vakayee hame jeevan mila hai lekin hame apne jeevan ko jeene ki roop rekha bhi mili hai uske anusaar hi hame jeena hai jo role hame mila hai use nibhaana hai lekin kaise yahi baat ko samajhna hai hamaare paas do cheeje hain ek kartavy aur ek adhikaar ab hamaare upar hai ham kiski jyada mahatv dete hain kartavy ko ya adhikaar ko agar adhikaar to mahtav denge to hamesha pareshaan udvign rahenge aur kartvyon ko mahatv denge to jeevan saral lagega. kyonki ek ka kartavy doosre ke adhikaar ki raksha karta hai yeh baat agar samajh aa jaaye to jeevan bahut saral aur sundar hai.

3. Yeh sach hai ki hamara kuch nahi hai yahan tak ki yeh shareer bhi apna nahi hai par maya ke vashebhoot ham competion ek doosre se aage niklne ki hod me lage hain iska ek kaaran yeh hai ki hamme se kisi ko bhi apne na to prarabdh ka gyaan hai na hi apne bhavishy ka aur na hi apne lakshy ka isliye ek andhi daudh me lage hain jo tabhi chhootti hai jab sansaar chhoot jaata hai is sansaar se jaate samay haath uske khaali hote hain vo reeta hi rah jaata hai. Jis par prabhu kripa hoti vo prarbdh ko bhogta hai bhavishy ki chinta nahi karta kyonki uska dhyaan to lakshy ki taraf hota hai. Jisko lakshy samajh aa gaya vahi safal jeevan jee paata hai. Aur lakshy kaise samajh aayega iske liye jaroori hai ki ham apne bujurgon se uske experience se faayada uthaaye unse jaane ki unhone jeevan me kya paaya aur kya paana chahiye tha.

4. eat drink and be marry yeh aaj ka sidhaant nahi hai yeh Charvaak rishi ne kaha tha lekin ham uspar bhi poori tarah kahan chalte hain. Hame to suvidha chahiye jab man hai to eat drink and be marry jab koi samasya aayee to lage bhaagne kahin koi diya jala raha hai koi gaaye ko roti khila raha shraddha nahi hai sirf apne kasht ko kaatne hetu. Tab yeh bhav khatam ho jaata hai tab koi pandit koi salahkaar bataaye kaise is dukh se peechha chhoote sweekaar karna to aata hai nahi ki khao peo mauj karo ka siddhaant me dukh ki koi jagah hai hi nahi agar usi bhav me rahna hai to jaise sukh me khush the dukh me bhi raho. Zindagi kisi bhi siddhaant me poorn nahi hai sabhi ki thodi thodi jaroorat hai jaise ek car chalaate hue driver ko aage hi ke sheeshe me nahi dekhna hota uske saath back mirror hota hai side mirror do hote hain uska dhyaan jyaada saamne par aur saath saath un teeno mirrors par rahta hai isliye sukhi jeevan ke liye jahan enjoyment jaroori hai vahi apne kartavy bhi jaroori hai jo isko samajh gaya vo safal hai

Sanjay bhai shayad mai apni baat samjha paaya hoonga aisi aasha hai

radhe radhe

rajinder ji.............kuch nahi hai mere paas kehne ko...bas etna khuNgi ki shat shat naman aapki soch ko.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote