View Single Post
Old
  (#38)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
20th January 2016, 09:29 PM

sarikaa swagat hai tumharaa

shayari aur kavitaa men ya ye kahene urdu aur hindi kavitaa men pahalaa antar to ye hai ki shayari jise bolee jaatee hai us tarah likhee jaatee hai aur hindi kavitaa jaise likhee jatee hai waise padhee ya bolee jatee hai

par atmaa dono kee ek hee hai par ye sach hai shayari prem kee taraf zyadaa rahatee hai aur kavita ke vishay vividh hote hain par dono vidhaaye itna ghul mil gayeen hain ki ek saa hee roop ho chala hai dono kaa meree pasand kee 3 rachnayen main bataoongaa zaldee hee kuch badee nazmen hain to post kar ke bataoongaa

rachanao kee choree kaa ilaaz nahee maine bhee bahut baar sahaa hai ye sab is ke liye koyee sakht kanoon bananaa chahiye bahut asaanee se pataa kiyaa jaa sakataa hai kavitaa sab se pahale kis ne post kee aur kahan bakee koyee badaa ilaaz is kaa hai nahee

shukriyaa ke sath shubh ratri


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote