Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
khoo-e-mohabbat...................ek nazm
Old
  (#1)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
khoo-e-mohabbat...................ek nazm - 20th April 2005, 10:53 AM

Ek baar phir saare dostoN ko Safiya ka pyaar bhara salaam,
umeed haiy ki humaari ghazaloN ki tarah humaari ye adna si nazm bhi aapke dil me jagah paayegi, aapki aaraa ka intezaar rahega....................

"tumhaari aankhon me vo halka sa paani

tumhaare hotoN ki vo thartharaahat

vo maathe pe thande paseene ki boonde

kapkapaati huvi rooh ki garm aanhe

aur hoton pe halqi si ek muskurahat

ey humdard mere, ey mere maseeha

ye mera weham hai ya khoo-e-mohabbat

yun mujhko tasalli ke alfaaz na do

yun awaaz na do, koi raaz na do

beekhre huve mere in soorO ko

toota huva koi saaz na do

ke anjaam tak jisko laana ho mushkil

naye ek fasaane ko aaghaaz na do

bohot ghum chupe hai in khamoshiyon me

ajab lutf hai gehree tanhaiyon me

sannaatoN me mere gunjti hai jo aahat

ye mera weham hai ya khoo-e-mohabbat"


Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
20th April 2005, 11:10 AM

Salaam Safiya Ji,

Absolutely beautiful. Pyar ka iqraar karne se pehle shayad har bande ka yahi haal hua karta hai (ya phir har miya ka apni biwi se darna bhi shayad aisey hi kuch hota hai )

Kaafi pyaari lagi aapki yeh nazm. Humesha ki tarha ek bohot hi umda kalaam jo behud pasand aaya. Itne umda kalaam ke liye humari daad qabool kare aur bas uhi likhte rahe.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
20th April 2005, 11:35 AM

Quote:
Originally posted by candyboy
Salaam Safiya Ji,

Absolutely beautiful. Pyar ka iqraar karne se pehle shayad har bande ka yahi haal hua karta hai (ya phir har miya ka apni biwi se darna bhi shayad aisey hi kuch hota hai )

Kaafi pyaari lagi aapki yeh nazm. Humesha ki tarha ek bohot hi umda kalaam jo behud pasand aaya. Itne umda kalaam ke liye humari daad qabool kare aur bas uhi likhte rahe.
Aadaab Salim sahab

Aapki taareef sun kar khushi bhi huvi aur hansee bhi aayee, ji haan shuroo ke kuch misre vakai is raay ke mustahik hain.

taareef ki liya tah-e-dil se shukriya, aap yunhi paDte rahen taareefen karten rahen , hum yunhi likhte rahenge..........

aapki mamnoon
SAFIYA...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
kush001
Registered User
kush001 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: Jan 2005
Rep Power: 20
20th April 2005, 07:01 PM

hi safia
aap muje ek bbat btoge aap itni acchi ghazale kha se leker aate ho aap to bilkul ek mahfil banadete ho shayri.com aapke aane se ab mafhil ki trah lagti hai jhaan aapke sare dost baithe hai aur aap ghazal pesh ker rahe ho................


bye kush
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
21st April 2005, 09:54 AM

Quote:
Originally posted by kush001
hi safia
aap muje ek bbat btoge aap itni acchi ghazale kha se leker aate ho aap to bilkul ek mahfil banadete ho shayri.com aapke aane se ab mafhil ki trah lagti hai jhaan aapke sare dost baithe hai aur aap ghazal pesh ker rahe ho................


bye kush
Waah kush sahab

aapne to dil khush kar diya, waah,........... jeyse ghazal , nazm aur shayri ke liye har shayer ka ek andaaz hota haiy, veyse hi taareef karne waalon ka bhi sabka apna alagh andaaz hota haiy. jis mehfil me aap jeyse qadardaan maojood hoN shayer bhi vahin apna kalaam pesh karne me khushi mehsoos karten hain.

hum to ek adna se shayer thehre, mehfil sunne waalon se sajti haiy. ye nazm aur isse pehle jo ghazalen humne yahaan pesh kee, vo sabhi humaari hi kalam aur humaare hi dil ka afsaana haiy.

Aap sab ki zarra nawaazi ke aap hume itni izzat baqshteN hain.....

aapki mamnoon
SAFIYA...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
asgher
Registered User
asgher is on a distinguished road
 
asgher's Avatar
 
Offline
Posts: 248
Join Date: Mar 2005
Location: dil se dil tak
Rep Power: 20
21st April 2005, 10:26 AM

ADAAB SAFIYA JI :

ManZiloN Ke NiShaN TuJhe YuN Na DiKhaYi DenGe

PaaoN Ke ChaaLe Hi ManZiL Ki GaWaahi DenGe

Hai TuJhe AaDat-E- WaFa To WaFa KaR Ke BhooL Ja

DuNiYa WaLe To TuJhe RuSwaaYi DenGe

Roz Roz MilNe Se KuCh QaDaR - O- QeeMat Nahi Rehti

KaR YaQeeN WaRNa EhBaaB TeRe DiKha Hi DenGe

DuShMaNi Ki MeRe MuQaBil Koi JaGah Hi Nahi

KuCh SaZa DeiN Na DeiN NaZRoN Se GiRa Hi DenGe

AnDaaZ Un Ka AjaB Hai TanHaYi MaiN " AsGheR "

NaaM Likh KaR HaTheLi Se TeRa MiTa Hi DenGe........................


Where we live is home, Home that our feet may

leave, But not our hearts.
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mohabbat ka din--------Valentines day-------Ek nazm by Shaayar Kavi Deepak Sharma kavyadharateam Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 14th February 2009 09:03 PM
Khoo-e-mohabbat................ek nazm Safiya Ghazal Section 2 20th April 2005 06:24 PM
dil aise mat khoo jaana tu karan q Shayri-e-Dard 0 3rd June 2004 06:11 PM
maqaam.e.ishq meiN yeh dil rahaa aashuftah.Khoo barsoN! Sarwar A. Raz Aapki Shayri 7 4th March 2004 01:10 PM
nazm Neha Haroon Shayri-e-Ishq 0 7th March 2003 09:47 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com