Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Zidd na kar
Old
  (#1)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
Zidd na kar - 27th April 2013, 03:58 PM

Arbaab-e-Zauq Ko Aadaab…!Bethay Bithaaye Kal Kuch Zehan Aur Dil Ke Darmiyaan Takraar Si Hui.. Jisay Shayri Me Dhaalnay Ki Haqeer Si Koshish Ki Hai….Ahbaab Ki Qeemti Aaraa Ka Intizaar Rahay Ga….

ZIDD NA KAR

Mujhko Nahiin Hai Us Se Sarokaar Zidd Na Kar
Ay Dil Kaha Na Tujh Se Mere Yaar Zidd Na Kar

Mujh Se Uthay Ga Na Kabhi Ye Baar-e-Ishq Sun
Kehta Huun Main Jo Maan Ja,Bekaar Zidd Na Kar

Maana Ke Husn Se Hai Raghbat Tujhay Magar
Meri Talab Hai Seerat-o-Kirdaar, Zidd Na Kar

Ye Bhool Jaa Ke Maan Bhi Jaaun Ga Main Teri
Har Baar Hee Karun Ga Main Inkaar Zidd Na Kar

Kaanton Bhari Hain Ishq Ki Raahen Ye Jaan Le
Aur Paaon Hain Abhi Mere Afgaar Zidd Na Kar

Ab Tak Haray Hain Dekh Le Maazi Ke Saray Zakhm
Phir Se Main Kar Na Paaun Ga Ye Piyaar Zidd Na Kar

AHMAD ALI SHAKIL




Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL

Last edited by AHMAD SHAKIL; 27th April 2013 at 04:01 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
aslam noor
Registered User
aslam noor is a jewel in the roughaslam noor is a jewel in the roughaslam noor is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 101
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 14
28th April 2013, 03:01 AM

Ahmad ali shakil sahab ek behtreen ghazal ke liyN daad aapki khidmt mai hazir hai qubool farmaiye Allah kare zor e qalam aur ziyadaH


aslam


zindagi ke haseen lamhe ka
Khoobsurat sa intekhaab ho tum
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com