Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Sharaab

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Isi Khayaal se
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Isi Khayaal se - 15th February 2003, 01:43 PM

DostoN pesh hai ek sachhaai kuch is tarah se bhi.

Suna tha maikade jaakar
Har insaan sach bol jaata hai,
Paimaane ko hothoN se lagaate hi
Sab dard nikal jaata hai,

Uska jikr meri jubaaN se
KaheeN nikal na jaaye
Mera dard har ek par,
KaheeN khul na jaaye,
Isi khayaal se yaaroN ki koshishoN par bhi
Mai maikaanoN ke kareeb bhi nahi jaata.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
17th February 2003, 07:53 AM

sach ko kyooN chuupaana chahte ho dost?
bahot acha likha hai aapne.. aur bilkul sahii kaha hai ki sharaab peete hi dil ki baat zubaa pe aa jati hai!

jald meiN kuch likha hai -
  • peeyo peeyo, jaao maikhaane
    andhoN ko apna dard dikhaane
    sab haiN do boondoN ke pyaase
    jo baiThe haiN auroN ko pii'laane

maafi chahta huuN chaand saahab.. phir se aapke lafzoN ki khoobiyat ki tareef karta huuN!

likhte rahiye,
aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Shukriya DostoN
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Shukriya DostoN - 18th February 2003, 11:36 AM

Shukriya Ansh, ye sab aap logoN ki zar.ra nawazi or hausla afzaai hai, jiske chalte hi mai kuchh likhne ki him.mat juta paata hooN.

Sharaabi ji, Kabhi kabhi apna sach jab oroN ke dard ka sabab ban.ne lage to use parde me rakhna hi behtar hota hai.

Aaapka sher pasand aaya.

Aap donoN ka shukriya.

Regards

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
3rd January 2007, 04:50 PM

Quote:
Originally Posted by Chaand View Post
DostoN pesh hai ek sachhaai kuch is tarah se bhi.

Suna tha maikade jaakar
Har insaan sach bol jaata hai,
Paimaane ko hothoN se lagaate hi
Sab dard nikal jaata hai,

Uska jikr meri jubaaN se
KaheeN nikal na jaaye
Mera dard har ek par,
KaheeN khul na jaaye,
Isi khayaal se yaaroN ki koshishoN par bhi
Mai maikaanoN ke kareeb bhi nahi jaata.
good one........!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is Off
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ghazal ...Sochta hooN aapka Khayaal, kamaal ye kartaa khayaal amrit_sharad Shayri-e-Dard 11 26th September 2012 02:11 AM
Khayaal* Bleeding Heart Shayri-e-Ishq 0 4th December 2003 12:59 AM
khayaal mango Shayri-e-Ishq 1 4th November 2003 02:17 AM
Ek khayaal... Afshan Shayri-e-Ishq 19 21st October 2003 03:06 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com