Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
tujhe meN bhula nahiN sakta
Old
  (#1)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Post tujhe meN bhula nahiN sakta - 16th June 2002, 11:23 PM

DOST-O-AHBAB ,
ASSALAMU ALIKUM ,

AAPKI KHIDMAT MEn ( ISLAH KI NIYYAT SE ) AIK NAI GHAZAL LEKAR HAZIR HOn ,
MAIKASH JI Se OR BAQIYYA TAMAM DOSTOn Se DARKHAST He Ke IS GHAZAL Ke MANFI PEHLOOWOn Se AAGAH KAREn .. BEHAD MEHRABANI HOGEE , OR YAD RAHe BILA JHAJAK KISI BHI BAT PAR AAP TANQEED KARNe Ke HAQDAR HEn ,

GHAZAL He :

to bhool ja-e tujhe meN ......... bhula nahiN sakta
peyar ka dagh dil se. ................ mita nahiN sakta

muddatoN tak tere dar pe ki .............. jabiN saee
to chor de ..... . mujh pe ye zulm dha nahiN sakta

suna tha daawa ke .......... misl-e falak he dil tera
kia ye zarra bhi osmeN ........... sama nahiN sakta

firaq ki zid tujhe ................ mujh ko wasl ki zid he
jhuke na to .. meN bhi khud ko jhuka nahiN sakta

ae ghamgusaar offf ! .. bahana to dekh SAGAR ka
kahe meN tota howa huN .......... pila nahiN sakta

faqat ,
wassalam
SAGAR KASHMIRI

==============================================
Attached Images
File Type: gif sagar kashmiri.gif (8.6 KB, 1195 views)
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
waah... janab, wah
Old
  (#2)
amin muztar
Registered User
amin muztar is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 14
Join Date: May 2002
Location: Manchester, UK
Rep Power: 0
waah... janab, wah - 17th June 2002, 04:53 AM

salam sagar ji,

kya jaam chhalkaya hai aap ne apni is nayi ghazal mein...

sard hote hue jazbon ko phir chingari de di hai... aur intihai pyare andaaz mein... ab main aur to kya kahun, itna kehne dijiye ke apne pur maghz kalam ke jawhar ko aap ne ab tak chhupaye rakha tha... aur shayad ab bhi poore taur par aashkara nahin kar rahe... rafta rafta bijli girayenge na... theek hai, shayad isi mein hamare liye khair ho...

ham intezaar mein hain...

aapne is andaz se alfaz ko dhala hai ki daad dene ko munasib alfaz nahin mil rahe... masalan, kamal kiya hai is sher mein...

suna tha daawa ke .......... misl-e falak he dil tera
kia ye zarra bhi osmeN ........... sama nahiN sakta

kya is aah-o-fughan se ek aalam ko jalaoge? is nala-e-gham-o-hasrat se kon murda dil na tadpega... bas, kehne dijiye... yeh aapki takhayyul ki me'raj hai...

aur maqta aapka... kya kehne...

ae ghamgusaar offf ! .. bahana to dekh SAGAR ka
kahe meN tota howa huN .......... pila nahiN sakta

kis khubsoorti se takhallus ko bhi ma'ana-e-sher mein dhala hai... ajeeb...

ae ghamgusaar offf ! .. bahana to dekh SAGAR ka
kahe meN tota howa huN .......... pila nahiN sakta

haan... pilaoge nahin to ham muztarron mein izterar kahan se aayega? yeh sab kuchh saagar-o-meena ki hi to dain hai...

meri har daastaan-e-dil teri marhun-e-mannat hai,
mein "muztar" hoon, bina "saghar" ke kuchh bhi paa nahin sakta

theek hai,

fir mulaqat hogi...

duaon mein khaksar ko na bhuliyega...

amin muztar

(mere is tabsare mein aapke kahne ke mutabiq manfi pehluon par koi tanqeed nahin... musbat pehlu hi itne hain ki manfi ki taraf tawajjuh hi na ho saki... ummeed hai ki yunhi qabool farmayenge... aur haan, is tabsare ko yahin tak mahdood rakhiyega... college mein charcha nahin karna... just joking...)


ujaale apni yaadoN ke hamare saath rehne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
   
Reply With Quote
Wah Sagar!!!
Old
  (#3)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up Wah Sagar!!! - 17th June 2002, 06:50 PM

Wah bhai..kya likhte ho..maan gaye tumko!!

to bhool ja-e tujhe meN ......... bhula nahiN sakta
peyar ka dagh dil se. ................ mita nahiN sakta

---Wah Wah WAh..kya bata kahi hai!!!!

muddatoN tak tere dar pe ki .............. jabiN saee
to chor de ..... . mujh pe ye zulm dha nahiN sakta

--Sorry iska doosra misra nahi samajh aaya

suna tha daawa ke .......... misl-e falak he dil tera
kia ye zarra bhi osmeN ........... sama nahiN sakta

--wowwwwwwww...too good!!

firaq ki zid tujhe ................ mujh ko wasl ki zid he
jhuke na to .. meN bhi khud ko jhuka nahiN sakta

--What a confidence..

ae ghamgusaar offf ! .. bahana to dekh SAGAR ka
kahe meN tota howa huN .......... pila nahiN sakta

--Baapre kya gazab ka maqat hai!!Apne takhallus ka kya khoob istimaal kiya hai!!

to sagar....poori ghazal pasand aayi..bahut accha likhte ho tum...KEEP IT UP!!

Regards,
Shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Bhai waah sagar sahab
Old
  (#4)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Bhai waah sagar sahab - 17th June 2002, 07:33 PM

Janab Sagar sahab

bhai waah! kyaa kamal ka fiqr-o-sukhan hai aapka. bahut hi khoob andaaz meiN sher kahe hain aapne. Har sher apne aapmeiN khoob hai.

to bhool ja-e tujhe meN ......... bhula nahiN sakta
peyar ka dagh dil se. ................ mita nahiN sakta
BHAI WAH KYA MTLAA HAI YANE KE JADOO TO SHURUAAT SE HI SHURU HO GAYA HAI

muddatoN tak tere dar pe ki .............. jabiN saee
to chor de ..... . mujh pe ye zulm dha nahiN sakta
AFREEN SGAR SAHAB. KAMAL KA LIKHTE HAIN AAP

suna tha daawa ke .......... misl-e falak he dil tera
kia ye zarra bhi osmeN ........... sama nahiN sakta
LAJAWAAB KAR DIYA YAHAN TO AAPNE JANAB!

firaq ki zid tujhe ................ mujh ko wasl ki zid he
jhuke na to .. meN bhi khud ko jhuka nahiN sakta
WAAH KYA ZID HAI! KHOOB!!

ae ghamgusaar offf ! .. bahana to dekh SAGAR ka
kahe meN tota howa huN .......... pila nahiN sakta
BAHANA BHI BANAYA TO KAYA KHOOB BANAYA. bAHIT ACHCHE BHAI. KHUDA KARE AAPKA ZOR-QALAM BUS BADHTA HI RAHE.


Duaon ke saath
Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
muztar ke leye ma-e ka aik sagar ..
Old
  (#5)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Wink muztar ke leye ma-e ka aik sagar .. - 17th June 2002, 11:42 PM

assalamu alikum muztar ji ..

aapne musbat pehlowoN ke dhama dam sagar bhar deye .. mera aik sagar itne tofanoN ka kese mutahammil ho sakta he ....or wo bhi tota howa sagar

acha bhai aapko ghazal pasand I he .. kia kahoN aapko ab ? .. shukriya to ada karoNga ...lekin sath sath apne dant bhi aapko dikhata huN ........ lol

bhai mera bijli gerane ka koi irada nahiN ... ( MEn IS HASEEn AASHYAn KO KHIZAn Q DIKHAOOn .... OR NA HI MERE MEn BIJLI GERANE KI QOWWAT HE ... MEn TO .....SAGAR HUn OR WO BHI TOT HOWA .....

bijleyaN to aap girate heN apne andaz-e sukhan se .. pata he jab bhi meN koi acha kalam parhuN ... apne andar sard hawaeN chaltiN hoi mahsoos karta huN .... aapka kalam par kar bhi ye hi mahsoos hota he ...... ( masha allah ) .

acha ab ijazat chahta huN ..

allah hafiz

duaaoN ki darkhast he aap se

SaGaR KaShMiRi


azal ke mast heN rakhte heN ham fitrat he mastana

hamiN khum heN hamiN saghar hamiN maikash hamiN saqi

( majzoob )
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
salam ...
Old
  (#6)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
salam ... - 17th June 2002, 11:50 PM

salam baji ..

aapko meri tuk bandi pasan I ..... shukriya aapka ..

koshish hogee k aainda bhi aap dostoN ke husn-e zan par pora utroN .... OK

ALLAH HAFIZ

SAGAR KASHMIRI


azal ke mast heN rakhte heN ham fitrat he mastana

hamiN khum heN hamiN saghar hamiN maikash hamiN saqi

( majzoob )
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
aadab parveen ji ...
Old
  (#7)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
aadab parveen ji ... - 17th June 2002, 11:57 PM

tasleemat ,
ummid he aap kheriyyat se hoNge ..

aapko meri tuk bandi pasan I iske leye meN aapka tah-e dil se mashkoor hun , or haN aapke nay kalam ka intizar he ,

ok allah hafiz

sagar kashmiri


azal ke mast heN rakhte heN ham fitrat he mastana

hamiN khum heN hamiN saghar hamiN maikash hamiN saqi

( majzoob )
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
Old
  (#8)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
22nd June 2002, 01:25 AM

sagar sahab

aadaab

ghazal paDhii......aur sabse pehle aapko ek iNtehaayi zabrdast "maqta" kehne pe mubarakbaad deta huuN....aapne apna taKhallus jis khoobsoorti ke saath do-maani kiya hai woh har lihaaz se daad ke qaabil hai....mubarak....!!

lekin....bah'r meiN kahiiN-kahiiN aur kahiiN-kahiiN khayalaat meiN chaNd khaamiiyaaN nazar aayiN...jinke mutalliq maiN apne haqeer ta'suraat pesh karne ki gustaaKhii kar raha huuN

to bhool ja-e tujhe meN ......... bhula nahiN sakta
peyar ka dagh dil se. ................ mita nahiN sakta

matla achcha kaha hai....doosre misre meiN kuch ghair-haazir maloom hota hai.....yaani

tu bhool jaaye, tujhe maiN bhulaa nahiiN sakta
pyaar ka daaGh "yuuN" dil se mitaa nahiiN sakta

.......................

muddatoN tak tere dar pe ki .............. jabiN saee
to chor de ..... . mujh pe ye zulm dha nahiN sakta

pehla misra phir se dekheN

....sagar sahab....meri aapse tah-e-dil se darkhuvaast hai ke aap apne azeez muztar sahab se urdu ko roman meiN likhnaa seekhiye...koi mushkil nahiiN....ek-do din mehnat kareNgey to inshah allah seekh jaayeNgey.....ye baat maiN maiN aapse isliye keh raha huuN keh mujhe is ghazal ki bah'r pakDne meiN baDii mushkil pesh aa rahi hai....ab is meN mas'alaa yeh hai ki aapki ghazal ko shayad nishaan-dehi ki zaroorat hi na ho lekin urdu lafzoN ko roman meiN sahi tarteeb se na likh paane ki wajah se mujhe ismeiN khaamiiyaaN nazar aa rahiiN ho......isliye behtar yahi hoga ki aap urdu ko roman meN likhne ki pabaaNdiyoN sedo-chaar hoN leN......ummiid hai ye mashviraa aapko nagawaar na guzraa hoga.......

ba-har-haal ......aapki ghazal ka qafiya-o-radeef mere mehboob shayar janaab asrar ul haq "majaaz" ki ek pursoz aur yaad rakhne ke qaabil meri pasaNdeeda ghazal se milta hai...aapki ijaazat ke saath voh ghazal pesh kar raha huuN ,jo ke aur bhi kayi mehfiloN meN maiN paDh chukaa huuN....mulaizaa kijiye.....

maiN aaheN bhar nahiiN sakta ke naGhmeN gaa nahiiN sakta
sukuuN lekin mire dil ko muyasaar aa nahiiN sakta

kabhi-kabhi to dil meiN aata hai ki keh hi daaluuN :-

koii naGhmeN to kya ab mujhse meraa saaz bhi le lo
jo gaana chaahta huuN.. AAH....voh maiN gaa nahiiN sakta

ye baat sau -fee-sadii sach hai :-

mataa-e-soz-o-saaz-e-ziNdagii , paimaanaa-o-barbat
maiN khud ko in khilonoN se bhi ab behlaa nahiiN sakta

vo baadal sar pe cHaayeN haiN ki sar se haT nahiiN sakte
milaa hai dard vo dil ko ki dil se jaa nahiiN sakta

hawas-kaari hai jurm-e-khudkushii merii sharii'at meiN
ye hadd-e-aakhirii hai maiN yahaaN tak jaa nahiiN sakta

na tuufaaN rok sakte haiN na aaNdhii rok sakti hai
magar phir bhi maiN uss kasr-e-hasiiN tak jaa nahiiN sakta

ye she'r mujhe be-hadd azeez hai....mulaizaa farmaayeN :-

vo mujhko chaahtii hai aur mujh tak aa nahiiN sakti
maiN usko poojtaa huuN aur usko paa nahiiN sakta

aur duniyadaari ka zulm dekhiye :-

ye majboori si majboori , ye laachaari si laachaari
ke uske geet bhi jee khol kar maiN gaa nahiiN sakta

vaaye ree majboori :-

zabaaN par be'khudi meiN naam uskaa aa hi jaata hai
agar puucHe koi, ye kaun hai...? ..batlaa nahiiN sakta

iss se ziyada ab aur kuch naa hii puucHeN :-

kahaaN tak qissa-e-aalaam-e-furqat....muKhtsar ye hai
yahaaN vo aa nahiiN sakti ....vahaaN maiN jaa nahiiN sakta

"voh" aayeN to kyoNkar aayeN ? ....aur hum....:-

hadd'eN vo kheN'ch raKhii haiN haram ke paasbaanoN ne
ke bin mujrim bane paiGhaam bhi pahuNchaa nahiiN sakta

kahiye kaisi rahi.....


maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 22nd June 2002 at 01:30 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
shukriya maikash ...
Old
  (#9)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Wink shukriya maikash ... - 22nd June 2002, 09:55 PM

aadab maikash ji

kese ho ? aapke mulaiizat par tah-e dil se mashkoor huN , waqie mujhe sekhne ki zarorat he , insha allah koshish karonga aainda se , or haN aik bat mere samajh se bahir , wo ye ke kese aap urdu rasmul khat nahiN par sakte ?!

sach tajjub ki bat he , isleye ke aapki urdu itni pukhta he ke kia kaheN , magar rasmul khat urdu aap nahiN par sakte ?!!!!!!!! to phir aap shuraa ke jo majmoe hote heN KESE PARTE HO ? .. ..................

apke jawab ka mintazir huN , WAQIE mere leye aik muamma he ye bat ..........!

kher aik martaba phir aapki zarra nawazi ka shukriya .........

ijazat dejeye .....
allah hafiz

sagar kashmiri


azal ke mast heN rakhte heN ham fitrat he mastana

hamiN khum heN hamiN saghar hamiN maikash hamiN saqi

( majzoob )
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
Old
  (#10)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
23rd June 2002, 06:11 PM

sagar sahab.....

aadaab

aapke sawalaat ke jawabaat haazir haiN.....



>>> or haN aik bat mere samajh se bahir , wo ye ke kese aap urdu rasmul khat nahiN par sakte ?! >>>

shayad is raaz ka khulaasaa maiN pehle bhi kar chuka huuN...ba-har-haal.....phir se kiye deta huuN....baat ye hai ki jahaaN meri pai'daayish huii aur jahaaN maine taaleem haasil ki wahaaN school aur college meiN urdu ki taleem nahiiN di jaati thi.......so apni iss mehboob zabaan ko seekhne se maiN mehroom raha.....!!


>>>> sach tajjub ki bat he , isleye ke aapki urdu itni pukhta he ke kia kaheN , magar rasmul khat urdu aap nahiN par sakte ?!!!!!!!! to phir aap shuraa ke jo majmoe hote heN KESE PARTE HO ? .. ..................

apke jawab ka mintazir huN , WAQIE mere leye aik muamma he ye bat ..........! >>>>

kya hai ki hamare buzurgvaar lahore se ta'lluq rakhte haiN to maine pehle bhi zikr kiya tha ki aaj tak bhi hamare ghar meiN urdu ka hi akhbaar aataa hai....aur ghar meiN urdu ke alfaaz aksar istemaal kiye jaate haiN......chyuNke maiN ziyadatar watan se duur hi raha huuN to isliye ye saugaat bhi mere kaam na aa saki.....ab raha sawaal mere urdu puKhta hone ka to... sahab..... ye to lagan ki baat hai.....kisi bhi sha'y se mohabbat honi chaiye......fasiley khud-ba-khud kam hone lagte haiN.....!!

shor'aa ke kalaam maiN urdu meiN nahiiN paDhta huuN.......india meiN taqriiban har shayar ka deewan "hindi" meiN bhi publish ho chuka hai aur hota rehta hai......hindi ki taleem mujhe baqa'iida haasil huii hai isliye koi mushkil pesh nahiiN aati......ummiid hai ki aapka har shubah jaata raha hoga......!!

ek aur baat......aapki jaankaari ke liye bataa duuN ke khaaksaar aaj-kal "urdu" paDhne aur likhne ke qaabil hone ki bhi koshish meiN hai....lekin dushwaari ka baa'is bhi hai....jaise ki "daaGh dehlvi" sahab ne kaha hai :-

nahiiN khel ai daaGh yaaro se keh do
ke aati hai urdu zabaaN aate-aate


k'hafiz
maikasH


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
salam
Old
  (#11)
kashmiri
Registered User
kashmiri is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 59
Join Date: May 2002
Location: saudi arabia / uk
Rep Power: 22
Smile salam - 24th June 2002, 01:38 AM

aadab , maikash ji

acha to bat ye he , chalo meri pareshani dor hoi , sach mujhe samajh meN nahiN aa rahi thee bat , kher . aapka shukriya bhai , ab aap urdu rasmul khat sihne meN koshaN heN , BUHUT KHOOB BHAI , allah kare ke aap jaldi seekh jaeN

ACHA BHAI , IJAZAT ,
ALLAH AHFIZ

SAGAR KASHMIRI


azal ke mast heN rakhte heN ham fitrat he mastana

hamiN khum heN hamiN saghar hamiN maikash hamiN saqi

( majzoob )
  Send a message via Yahoo to kashmiri  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tujhe Bhula Diya...! Dhaval Hindi/Urdu Lyrics 0 23rd October 2010 11:50 PM
*Tujhe Chain Aa Nahee Sakta :)? Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 22nd May 2010 07:55 PM
baghair mere tujhe chain aa nahi Aa Sakta.. anjelz_princess Shayri-e-Dard 0 8th February 2006 12:59 AM
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta maikasH Shayri-e-Dard 9 29th July 2005 05:19 PM
tujhe maiN chaah to sakta huuN lekin paa nahiiN sakta maikasH Aapki Shayri 1 27th July 2005 11:47 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com