Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > Inspiring Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 3.00 average. Display Modes
Isi ko takdeer kehte hai............
Old
  (#1)
manisha
Registered User
manisha is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 33
Join Date: May 2003
Location: dubai
Rep Power: 0
Smile Isi ko takdeer kehte hai............ - 24th October 2003, 06:50 PM

Hi friends,
Aaj mein aapko ek sachhi kahani batane jaa rahi hoon..jo meri ek friend ki hai..aur wo aap sabhi ki bhi friend hai..
is shayri.com ki bahut purani member hai..jise aap sabhi jaante hai..magar kuch private reasons hai jiski wajah se uska naam nahi likh sakti...
Khair wo ladki bahut hi sundar ,achhe sanskaaron wali thi..aur padhai ka to usmein junoon sa tha..wo doctor banna chahti thi.
ghar mein sabki laadli thi..padhai mein hamesha no.1 aati thi isliye mata pita bhi uspe bahut garv karte the...magar kuch kaarano se doctor nahi ban paayi..use aisa laga jaise uske life ka aim khatam ho gaya hai..per phir usne himmat jutai aur college mein bhi top karne lagi...bahut ladke uske deewane the magar wo kisi ki taraf aankh utha kar bhi nahi dekhti thi..use apne mata pitaa ki izzat ka khyaal tha..kair wo aage bahut padhna chahti thi magar isi beech uske mata pita ne uski sagai pakki kar di..jab usne ladke ka photo dekha to use wo pasand nahi aaya....bahut lamba aur kaala tha..usne mata pita se kaha ki use wo pasand nahi hai..phir bhi mata pita ne kaha ki looks ka kya karna hai ..sanskaar hone chahiye..padhai honi chahiye..ladka engineer hai..ladki ko ye dekh kar bahut bura laga ki usne itne saal mata pita ke liye bahut kuch kiya magar aaj unhone uski pasand bhi nahi poochi..khair usne phir haa keh di,..uske pass koi option bhi nahi tha...
Sagai ho gayi..phir wo ladke se mili...use wo ladka ab bhi pasand nahi tha kyuki wo hamesha padhai ki ya job ki baatein haesha taal deta ..aur bas fijuul ki baatein karta rehta....khair ab ladki ne use apna liya ya kaho to samjhota kar liya..jab bhi ghar mein shaadi ki baat hoti to wo aur uske ghar wale baat taal dete ki abhi to aur padhega..shaadi baad mein karenge..lekin jab ladki ke ghar wale jor dene lage to ladka us ladki ko aa ke ulta seedha kehta ki tumhare ghar walo ka dimaag kharab hai kya ..
kair kuch din baad jab unke gale tak aa gayi to ladka ek baar ladki ko bahar le jaa ke bola ki maine abhi tak apni engeineering bhi poori nahi ki hai..mein to abhi 2nd yer bhi clear nahi kar paaya.
lekin jaldi hi kar loonga..lekin tum apne ghar walo se mat kehna..
maine tumhe pehle kahi dekh liya tha aur tumhara deewana ho gaya ..isliye jhooth bol diya
ladki to ye sun kar shock ho gayi..ki itna bada dhokha...usne ghar jaa ke apne ghar walo ko bataya uske mata pitaa ke neeche se to jamin khisak gayi..phadhai ke naam pe itna bada jhooth bol gaye us ladke ke ghar wale...kuch dino baad ye sagai tod di ladki ke maa baap ne..ladki ke kehne per...phir us ladke ke ghar waalon ne us ladki pe bahut aur uske ghar walo pe bahut kichad uchaala.....aur upar se wo ladka ..ladki ko phone karke rota rehta ki mujhe maaf kar do..magar ladki ne ek nahi suni..
Iske baad samaj ke logo ne ladki pe bahut taane kase ki aajkal ke jamane mein ladkiya khud hi sagai tod deti hai..kya ho jaata kuch saal mein ladka padhai poori kar hi leta..etc etc..magar ladki ke liye baat padhai ki nahi sachhai ki thi ki jis insaan ne use aur uske maa baap ko itna bada jhooth bol diya aisa aadmi aage kya karega..ab ladki ka phir se rishta karna mushkil ho gaya..jo log pehle rishte ke liye line lagate the ab wo hi taane dene lage ki kaun karega aisi ladki se sagai..kal ko humse bhi rista tod denge...ladki sab sunti rahi aur roti rahi...uske maa baap bhi bahut dukhi rehne lage..apne aap ko kosne lage ki jabardasti hi is ladki ki sagai ki thi..iske mana karne per bhi..aur ab ye sab dekhna pada ise humari wajah se..
khair ek saal baad ..us ladki ki behan ke pados mein ek ladkaa aaya..bahut hi sundar ..NRI tha..usne waha us ladki ko dekha aur pasand kar liya ..aur uske ghar walo ne aa kar propose kar diya.
ladki ke maata pita ne sab situation batayi to ladke aur uske ghar walo ne kaha ki humein is baat se koi matlab nahi hai..aur waise bhi galti to us ladke ki thi ismein is ladki ka kya dosh....phir bas unki sagai ho gayi ..aur kuch time baad shaadi bhi..phie us ladki ne doosri country mein phir se padhai shuru ki ..aur aaj bahut reputed post pe hai..aur ye sab uske pati ki wajah se...
aaj jab bhi wo ladki apne sehar mein jaati hai to wahi log uski taarif karte hai ..jinhone kabhi use thukraya tha aur us pe taane kase the....aur wo ladka jis se pehle sagai hui thi wo aaj tak bhi job shuru nahi kar paaya....usne phir kisi ladki se shaadi kar li thi.
Kyuki shaadi karna hi uska aim tha...lekin kabhi wo us ladki ko dil se nikal nahi paaya..

Yahin hoti hai is kahani ki happy ending..lekin sawal ye hai ke ..agar us ladki ne sahi time per sagai todne ka kadam nahi uthaya hota..samaj ki parwah kiye bina..to aaj wo kaha hoti??
Aur uske jaisi kai ladkiyan hai jo maa baap ke faisle se aise hi zindgi bhar ghut ghut ke jeeti hai.....to kya aap nahi samajhte ki ladkiyon ko bhi ladka pasand karne ka haqu hona chahiye????

manisha..........

Achha sila diya tune mere pyar ka yaar ne hi loot liya ghar yaar ka
   
Reply With Quote
hi manishaji
Old
  (#2)
krenil
ZINDAGI NE SAB CHHIN LIYA
krenil is a name known to allkrenil is a name known to allkrenil is a name known to allkrenil is a name known to allkrenil is a name known to allkrenil is a name known to all
 
krenil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,970
Join Date: Oct 2007
Location: U.S.A
Rep Power: 24
Love hi manishaji - 20th November 2007, 02:31 AM

hi manishaji bahut achhi kahani hai aur dukh bhari bhi sun ke dil bhar aaya aapne sach baat kahi hai ye hamara samaj hai na vo bahut bura hai agar inki sunenge to sari zindagi pachhatana padega mujhe lagta hai ki ladki ko pura haq milna chahiye ki use bhi ladka pasand ho sabse pahela haq to uska hai aur vaise bhi ladki us ladke ke liye apna sab kuch chhod ke uske ghar jati hai to ladke ko bhi samajna chahiye ki vo mere liye sab kuch chhod ke aai hai to main apni sari khushiya us ladki ko de du i am agree

aur mujhe bahut khushi hui ki us ladki ko apna mann chaha husband mil gaya aur vo aaj jaha bhi hai khush hai bas vo sada aisi hi khush rahe aisi bhagwan se prarthna karta hu
  Send a message via Yahoo to krenil Send a message via Skype™ to krenil 
Reply With Quote
dard
Old
  (#3)
aansoon_tears
Registered User
aansoon_tears is on a distinguished road
 
aansoon_tears's Avatar
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Apr 2008
Location: uae
Rep Power: 0
dard - 26th April 2008, 10:33 PM

tum sahi ho manishaaaaaaaa,

par tumhari frnd ki kismat acchi thi ke kuch hone se pehle woh sagai tut gayi,
par maine ek aisi ladki ko jaanta hon jo aaj bhi har din ghot rahi hain,
aane wale kuch dino me uski shaadi ho jayegi, woh ek padi likhi ladki hain aur ladka ek anpad hain, us bichaai ko kabhi uske ghar walo ne koi azaadi nahi di, har waqt ko ek daayre me hi rehti isliye jab usse us ladke se shaadi karne ke baare mein pocha gay to woh kya kehti, usne ek sidhi ladki ki tarah haan keh diya, aur woh khush bhi thi.. par kuch dino pehle uski zindagi me ek toofan aaya, unhi ka ek rishtedaar unke ghar aane jaane laga, pehle to unme baar chit bhi nahi thi par aahista aahista unke dooriyan kam hoti gayi, woh ladka jaanta tha ke woh dono galat raah pe jaa rahe hain par woh bhi apne aap ko rok nahi paaya, woh ladka usske ghar me itna ghul gaya tha ke ghar ki koi baat usse chupaayi nahi jaati, aur woh har waqt unke madad ke liye khada rehta uski ek choti bahen bhi hain, usse to woh itna laad karta ke koi bhai apni behan ko karega uski har khwaahish pori karta, uske aakhone me ek aanson nahi bardasht kar sakta tha woh, haan par yeh bataana bhi zarori hain ke woh ladka koi bada kaam nahi kar raha tha kyunke us ghar ke ehsaan uspe itna the ke bas woh unhe chukaana chahta tha. aur uski yahi aadat us ladki ko bhagayi aur woh usse pasand karne lagi, dheere dheere yeh pasand pyaar me badal gayi aur ek din woh toofani ghadi aa gayi jis din un dono ke beech ikrar ho gaya,
par woh dono yeh acche se jaante the ke iska koi ant nahi hain aur un dono me itni himmat nahi thi ke woh kisi se yeh keh sake bas un dino ko woh apni zindagi ke yaadgar din bananachahte the....... par achanak unki mohabbat ka raaz na chup saka aur usse jaanne wala aur koi nahi balki us ladki ki chotti behen hi thi, woh raat kuch aisi beeteke jiska har lamhasadiyon ke barabar tha na woh ladkaapne pyaar se nazar mila saka aur naahi apni (ladki ki chotti bahen) bahen se ek hi pal me saare rishte chakna chur ho gaye
ab bas un teene ke beech ek khamoshi hain jiske woh jataa bhi nahi sakte aur kisse bata bhi nahi sakte. uske ladke ke to yeh haalat hain ke woh apne aap ko khatam karna caahta hain par usse apne ghar ki zimeddariyon ka ehsaas hone ke wajah se woh khud ko khatam bhi nahi kar paa raha hain, har ek din uske liye ke pahad sa jaa raha hain jaane iss ka kya aant hain..........................
please advice some one if possible bcoz woh ladka wahi hain jisne aapko yeh fasaan bayaan kiya hain
   
Reply With Quote
dard
Old
  (#4)
aansoon_tears
Registered User
aansoon_tears is on a distinguished road
 
aansoon_tears's Avatar
 
Offline
Posts: 2
Join Date: Apr 2008
Location: uae
Rep Power: 0
dard - 26th April 2008, 10:34 PM

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
' Judaa Ho Gayi Woh Alvida Hum Ko Kehte Kehte...! ' Amanush... Shayri-e-Dard 16 7th October 2006 10:42 PM
takdeer ahsan Shayri-e-Dard 7 21st September 2006 02:56 AM
takdeer aneesh Shayri-e-Dard 2 27th March 2006 12:09 PM
Takdeer joe_arg261986 Shayri-e-Ishq 0 18th September 2003 01:00 PM
takdeer ummehani Shayri-e-Dard 1 30th January 2003 03:36 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com