Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
*Terii Talaash~Hafeez Hoshiarpuri Jee**
Old
  (#1)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Post *Terii Talaash~Hafeez Hoshiarpuri Jee** - 13th January 2006, 04:25 PM

Terii Talaash Mein Ham Jab Kabhii Nikalate Hain
Ik Ajanabii Kii Tarah Raaste Badalate Hain

*Daraaz Ho Gham-e-Hijraan Ki *Haasil-e-HijraaN*
Woh Hausalein Hain Jo *Aagosh-e-Gham Mein Palate Hain
*Long**
*Result of separation**
*Embrace**


*Ravaa Nahiin Hai Gham-e-Ishq Iss Qadar Bhii Gurour
Tere Bagair Bhii Duniyaa Ke Kaam Chalate Hain
*Proper**


Kabhii Jo Haad Se BaDhii Un Kii Yaad To samjhe
Ki Un Ke Dil Mein Bhii Kuchh Val-Vale Machalate Hain


*Shab-e-Firaaq* Kuchh Aisii Bhii *Tiiragii To Nahiin
Kabhii Kabhii *Sar-e-Mizgaan* Charaag Jalate Hain
*Night of separation**
*Darkness**
*On the eyelashes**


Ab Un Ke Gham Se Bhii *Mahroum Ho Na Jaaye Kabhii
Wo Jaante Hain Ki Iss Gham Se Dil Bahlate Hain...
*Deprived**


*Daanish-(Hyd)-Jee Ko Parha Aur Baas Younhi Yaad Aaya Isski...**
*Writer: Hafeez Hoshiarpuri Jee**


*Keep Smilling.......**


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
13th January 2006, 07:41 PM

shukria shimul is rachna se parichit karwane k liye.......
   
Reply With Quote
Wah Hafeez!
Old
  (#3)
Daanish_ Hyd
Registered User
Daanish_ Hyd will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Jan 2006
Location: Hyderabad, India
Rep Power: 19
Wah Hafeez! - 13th January 2006, 08:00 PM

Shimulji
Hafeez Hoshiarpuri, ravayati Urdu ghazal ke azeem shayar thhe, aur unki yeh khoobsurat ghazal is bazm meiN pesh karne ka kaam aap ne kiya...shukriya
maiN chaahta huN ke ehbaab-e-bazm yeh dekheN ke hamare asaatzaa ghazal ke technical pehluoN ka kitna khayal rakhte thhe...behar aur wazn ki baat chhodiye--they never go wrong...rabt jise kahte haiN dekhiye--how 2 lines of each shayr are perfectly connected through a continuity of thought--


Terii Talaash Mein Ham Jab Kabhii Nikalate Hain
Ik Ajanabii Kii Tarah Raaste Badalate Hain
dekhiye matla ke doosre misre (misra-e-saani) meiN vazahat, ya clarification pesh karte hain, pehle misre (misra-e-uula) ka
Daraaz Ho Gham-e-Hijraan, ke Haasil-e-HijraaN
Woh Hausalein Hain Jo Aagosh-e-Gham Mein Palate Hain
(yahaN bhi doosre misre meiN batate haiN ke haasil-e-hijraaN kya hai)

Ravaa Nahiin Hai Gham-e-Ishq Iss Qadar Bhii Gurour
Tere Bagair Bhii Duniyaa Ke Kaam Chalate Hain
(pehle misre meiN daava kiya hai, kahte haiN ke ghuroor theek nahiN, misra-e-saani meiN uski daleel dete haiN)


Kabhii Jo Had Se BaDhii Un Kii Yaad To samjhe
Ki Un Ke Dil Mein Bhii Kuchh Val-Vale Machalate Hain

(kya ravaaN shayr hai)

Shab-e-Firaaq Kuchh Aisii Bhii Tiiragii To Nahiin
Kabhii Kabhii Sar-e-Mizgaan Charaag Jalate Hain
(tarz-e-bayaaN, alfaaz ka intekhab (selection) aur khayal ki nazakat--andhere meiN sar-e-mizgaaN chiraagh jalna, kya kahne )


Ab Un Ke Gham Se Bhii Mahroum Ho Na Jaaye Kabhii
Wo Jaante Hain Ki Iss Gham Se Dil Bahlate Hain...


thanks for sharing this exquisite ghazal with us.......
khair andesh


daanish hyderabadi
  Send a message via Yahoo to Daanish_ Hyd  
Reply With Quote
hello shimul
Old
  (#4)
faiq
stars around me........
faiq has a spectacular aura aboutfaiq has a spectacular aura aboutfaiq has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Jun 2005
Location: HYDERABAD/BANGLORE
Rep Power: 21
hello shimul - 14th January 2006, 11:52 AM

ITS REALLY BEAUTIFUL GHAZAL THANKS FOR SHARING WITH US ....


DO POST MORE LOVE TOREAD UR COLLECTION......

FAIQ WALJEE


faiq waljee
  Send a message via Yahoo to faiq  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*Aaj Unhein...Hafeez Hoshiarpuri Jee** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 24th January 2006 05:51 PM
*Deepak Raag...Hafeez Hoshiarpuri Jee** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 19th January 2006 04:16 AM
Hafeez Hoshiarpuri's ghazal Daanish_ Hyd Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 4th January 2006 06:32 PM
terii talaash me.n ham pappu Shayri-e-Dard 4 6th December 2004 11:37 PM
MOHABBAT KARNEY WAALEY KAM NA HOnGEY - by Hafeez Hoshiyarpuri Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 19th December 2003 02:40 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com