Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > Quotable Quotes

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Expectation
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Expectation - 29th August 2003, 12:20 AM

DosoN is post ke liye suitable section samajh na aane ke kaaran ise yahaaN post kar raha hooN. Kuchh khayaalat pesh kar raha hooN jinse shaayad aap ittefaaq na rakhte hoN, phir bhi chahuNga ke aap log is topic par apni raay pesh kareiN.

Shukriya





Ummeed ( Expectation )

DostoN, aksar ye ummeedeiN hi to hai jo hamare har rishtoN kaheeN gehre me utar chuki hai hai, aapko nahi lagta ke ham rishtoN se dil kam or ummeedeiN kuchh jyada hi laga lete haiN, hum’me se kitne eise log haiN jo apne darmiyaaN in rishton me inti garmaahat paate haiN ke khud ko puri sachaai se dikha paate haiN.

Bahut mushkil hai dhooNd paana ek eisa insaand jo shaayad rishtoaN ka kiraaya nahi maangta, ek eisa insaan jo awwal to rishtoN se demaand hi nahi rakhta or yadi kuchh ummeedeiN rakhta hai to puri na hone par in rishtoN ki duhaai dene ke bajaaye use, positively samajhne ki koshish karta hai. Ek eisa rishta jo aapko darpan sa lage kuchh chupaane ya dikhaane ki jaroorat na pade, aap jaise ho waise hi nazar aaeiN, eisa nahi ke wo har waqt aapke khayaalaat se ittefaaq rakhta ho balki aapki har soch ko samjhte huve uspar apna ek aazaad khayaal rakhta ho.

Aksar hum dost ya rishte banaye chale jaate haiN, isme kuchh galat to nahi shaayad par achha ho agar hum dost banane ki bajaay dost ban,ne ki koshish kareiN, lekin shaayad ye khayaal to dil me aaega hi ... jinse koi ummeed hi na ki jaa sake wo rishte hi kaise, kyoN ki ummeedeiN to hum sirf ajnabiyoN se nahi rakhte, par maaf kijiyega gar mohobbat or Dosti jaise rishtoN ki buniyaad ummeedoN par hi tiki ho to wo rishta, rishta na rehkar apne aap me ek ummeed bankar reh jaata hai.

Ant me itna hi kahooNga ki 'Riste Ahsaan jataane or UmmeedeiN lagaane ka naam nahi, ye to bas diye jaane ka naam hai' - Just unconditional Giving.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
khushiii
Registered User
khushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura about
 
khushiii's Avatar
 
Offline
Posts: 934
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 23
7th September 2003, 09:36 PM

Bilkul sahi kaha aap ne dost main kaafi hadh tak aap se ittefaq rakhti hooon kyunki aksar umeedon ke tootne se rishte bhi toot jaate hai ya phir in mein daraar aa jaati hai.Yeh ek tarah ki saude baazi hi to ho jaati hai umeeed ki saude baazi.
Lekin shayad umeed insaani fitrat hai.Woh kehte hain na umeed pe duniya qayam hai.Aur phir aap hi ne kaha ke umeed ghairon se nahin apno se ki jaati hai kyunki hum apno ko jaante hain per umeed tabhi tooti hai jab hum apno ko samajhne mein ghalti kerte hain.
On the whole,rishton mein umeed rakhni nahin chahaiye per umeeed hoti hai.Its a fact


~~~~~~~Khushiii~~~~~~~
smile n make others also smile

those sparkling eyes
A 100 watt smile
the majestic walk
the cheerful talk
truly charming personality
Guess,thats enough abt me :D
   
Reply With Quote
Thanks
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Thanks - 8th September 2003, 11:11 AM

Khushii ji sabse pehle to aap tahe dil se shukriya ada karta hooN, aapne meri in View ko parha or khushi hui ye jaankar ke aap bhi unse itefaak rakhti haiN, aapke khoob soorat khayaalat pesh karne ke liye bahut-bahut shukriya.

Aapke wards..

rishton mein umeed rakhni nahin chahaiye per umeeed hoti hai.Its a fact

Bahut sahi haiN ... par ummeedoN ki hadeiN kya ho..

KyoNki Expection or Demand ke beech me faasla bahut kam hota hai, jaane kab ek doosre se jud jaae.

Thanks

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
5th October 2003, 04:29 PM

Chand Jee, mujhe nehi pata tha ke aise bhi log yeaha hein.
Aaj janke bohot dilko bara sakun mila. Sukriya. Der se reply karne ke liye mafhi chahti hu. Waise mein kabhi yeaha par ayi nehi thi.
I hope you can understand. Likhte rahiyega, aapka khayalat.
Aapna khayal rakhiyega. God bless you.

And at the end, Unconditional Love.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Thanks Shimul
Old
  (#5)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Thanks Shimul - 7th October 2003, 10:08 PM

Shimul aap yahaaN haiN, ye khushi kya kam hai. Apne in khayaalat ko yahaaN post karne ka kaaran yahi tha ke kuchh aap doston se share karooN or shaayad aap logoN ke khayaalat mere kuchh kaam aa sakeiN.

Kaash raahoN ki hi tarah jindgi bhi aasaan hoti, uspar bhi likha hota ke jindgi kon si raah kis manzil ko jaati hai, to hum kuchh bhi miss na karpaate....

Chaliye ey Experience yooN hi sahi... Shaayad chot khaakar or bhatak kar hi hame sahi raah mil jaaye to ye bhi bahut badi kaamyaabi hogi.

Shimul, Dil me kuchh hai jo jiske liye Mai sharmsaar hooN ... par kya kareiN apnoN ka dukh bhi to dekha nahi jaata..


Jaane kab meri kon si baat
Kis apne ko mujhse door le jaae,
Jaane kab kis apne ko mujhse
Koi ummeed, bandhne lag jaae,
'EY KHUDA' Jhoothi hi sahi
Meethi jubaan de mujhko
'EY KHUDA' itna de ke mere kisi apne ki
Koi ummeed khaali na re jaae.

Chaand

Shimul........Thanks.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
7th October 2003, 11:12 PM

chaand dost,
dost aur dosti ko jis sahi roop maie tumne pash kiya hai...... ab yah tasweer to mere maan ke darwaaje par hi laga rahi hu. taki jab bhi maan maie jaanku... hamesha yaad rakhu ke yaha jise bhi bithhaya hai... sab mere sar aankho par hai... jaise hai waise hi poore apne hi swaroop maie. aur hamesha koshish maie rahungi k meri dosti ka daman sabhi dosto ko khula aashmaan sa mahesoos ho jaha par saans lena sahaj ho. aana aur jana bhi marzi se ho.
gr8 work...... tum dost...... roshan ho is pariwaar ke.
   
Reply With Quote
..
Old
  (#7)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
.. - 8th October 2003, 02:38 AM

chand jee..... Itne gehre jaane se kya hoga..

Mangna hei to us khuda se mangna behtar jo sabko deta hei... insaan se kesi expectation

Magar dard to hota hei ..... JAB INSAAN THAK KAR TOOT JATA HEI .... rota hei ..... kab tak roye koi

RISHTE NAHIN RISTE (BLEEDING) KAHIYE. RISHTEDAAR JO RISTE(WOUNDS) KO BANATE HEIN..

"DONT POSSESS UR POSSESSIONS...."

mei ab aksar sunta hun ye

collor ko thodasa upar chadhake
cigerattee ka dhuein ka challa banake
sochna hei kya jo hona hei hoga
chal pade hein fikr yaron dhuein me udake

khud pe bharosa hei khud pe yakeen hei
kar lenge kaam chahe jitna sangeen hei
pakke hein apne jo dil me irrade
hei aasma apna apni zameen hei

sochna hei kya jo hona hei hoga
chal pade hein fikr yaron dhuein me udake


MAAF KIJIYEGA KUCH JYADA KEH GAYA HUN TO


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Shukriya dostoN
Old
  (#8)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Shukriya dostoN - 10th October 2003, 11:41 AM

Dear Meenaji or Dard-e-sush ji, sabse pehle to deri se reply ke liye maafi chaahuNga.. Shukriya DostoN meri is post ko parhne hi nahi balki apne khayaalat se nawaazne ke liye bhi....

Meena ji, ab aap ko to kuchh kehne sunnaane ki jarurat nahi, aap sab samajhti haiN shaayad... Shukriya ek achhe dost bankar sath rehne ke liye..

Sush ji... Expectations.. koshish to rehti hai dost ke kisi se na rahe, balki us Khuda se bhi na rahe to achha hai... KyoNki uspar niswaarth (unselfish) aastha rehni chaahiye warna hum use bhi apne rishtoN sa treat karne lageiNge. Jo kaam aae to achhe nahi to bekaar.

Khushi hui jaan kar aap bhi sukun ke liye gaanoN ko sunte haiN...


Shukriya DostoN

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Re: Thanks Shimul
Old
  (#9)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Re: Thanks Shimul - 26th February 2004, 06:58 PM

Quote:
Originally posted by Chaand
Shimul aap yahaaN haiN, ye khushi kya kam hai. Apne in khayaalat ko yahaaN post karne ka kaaran yahi tha ke kuchh aap doston se share karooN or shaayad aap logoN ke khayaalat mere kuchh kaam aa sakeiN.

Kaash raahoN ki hi tarah jindgi bhi aasaan hoti, uspar bhi likha hota ke jindgi kon si raah kis manzil ko jaati hai, to hum kuchh bhi miss na karpaate....

Chaliye ey Experience yooN hi sahi... Shaayad chot khaakar or bhatak kar hi hame sahi raah mil jaaye to ye bhi bahut badi kaamyaabi hogi.

Shimul, Dil me kuchh hai jo jiske liye Mai sharmsaar hooN ... par kya kareiN apnoN ka dukh bhi to dekha nahi jaata..


Jaane kab meri kon si baat
Kis apne ko mujhse door le jaae,
Jaane kab kis apne ko mujhse
Koi ummeed, bandhne lag jaae,
'EY KHUDA' Jhoothi hi sahi
Meethi jubaan de mujhko
'EY KHUDA' itna de ke mere kisi apne ki
Koi ummeed khaali na re jaae.

Chaand

Shimul........Thanks.
Dear Chaand Jee, aapna hamesha aapna hi rahte hein, chahe jo bhi hojaaye *dil+rishta. Waise bhi Duniya meh aur keya rakhha hein. Aapka khayalat* dilse hamesha se izzat karti ayi hu*Khuda Kare hamesha aise hi rahe. Waise woh aapna pan.......***
kuch nehi. Yunhi likhte rahiyega. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.Icon's not working, keya kahu!

Keep smilling.......plz.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Re: Expectation
Old
  (#10)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Expectation - 20th March 2005, 10:19 AM

Quote:
Originally posted by Chaand
DosoN is post ke liye suitable section samajh na aane ke kaaran ise yahaaN post kar raha hooN. Kuchh khayaalat pesh kar raha hooN jinse shaayad aap ittefaaq na rakhte hoN, phir bhi chahuNga ke aap log is topic par apni raay pesh kareiN.

Shukriya





Ummeed ( Expectation )

DostoN, aksar ye ummeedeiN hi to hai jo hamare har rishtoN kaheeN gehre me utar chuki hai hai, aapko nahi lagta ke ham rishtoN se dil kam or ummeedeiN kuchh jyada hi laga lete haiN, hum’me se kitne eise log haiN jo apne darmiyaaN in rishton me inti garmaahat paate haiN ke khud ko puri sachaai se dikha paate haiN.

Bahut mushkil hai dhooNd paana ek eisa insaand jo shaayad rishtoaN ka kiraaya nahi maangta, ek eisa insaan jo awwal to rishtoN se demaand hi nahi rakhta or yadi kuchh ummeedeiN rakhta hai to puri na hone par in rishtoN ki duhaai dene ke bajaaye use, positively samajhne ki koshish karta hai. Ek eisa rishta jo aapko darpan sa lage kuchh chupaane ya dikhaane ki jaroorat na pade, aap jaise ho waise hi nazar aaeiN, eisa nahi ke wo har waqt aapke khayaalaat se ittefaaq rakhta ho balki aapki har soch ko samjhte huve uspar apna ek aazaad khayaal rakhta ho.

Aksar hum dost ya rishte banaye chale jaate haiN, isme kuchh galat to nahi shaayad par achha ho agar hum dost banane ki bajaay dost ban,ne ki koshish kareiN, lekin shaayad ye khayaal to dil me aaega hi ... jinse koi ummeed hi na ki jaa sake wo rishte hi kaise, kyoN ki ummeedeiN to hum sirf ajnabiyoN se nahi rakhte, par maaf kijiyega gar mohobbat or Dosti jaise rishtoN ki buniyaad ummeedoN par hi tiki ho to wo rishta, rishta na rehkar apne aap me ek ummeed bankar reh jaata hai.

Ant me itna hi kahooNga ki 'Riste Ahsaan jataane or UmmeedeiN lagaane ka naam nahi, ye to bas diye jaane ka naam hai' - Just unconditional Giving.

Chaand

mere chanad,

aaj fir padha ise.... kuch naye khayal bhi banae.. kuch sawaal bhi oothe... jo tum tak aane hi waale hai...

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
26th March 2005, 03:00 PM

Chaand sir,
aapne ecpectations par jo kucch likha hai kaafi sehmat hoo mai aapse . kabhi kabhi ye expectaions kitani duwidha me fasa jaati hai ki usame se hum chah kar bhi bahar nahi nikal paate hai.

aapka lekh jab maine pahali baar padha tha to mujhe apne hi likhe ek pichali lekh ki yaad aa gayi maine un alfaajo kohi yeha dena uchit samjha tha taaki aap sab usaki khaamiyo ko sudhaar sake aur mere wichaaro ko agar jaroorat ho to pariwartit kar sake.

mai wahi apna puraana lekh yeha de rahi hoo jaise ki us waqt likha tha bilkul wahi sabh unme koi modfication nahi diya.
pls mere vichaaro ko padhkar un par comments bhi de . ye mera expecation hai aap sabse jabki mere hi lekh ke anusaar ye nahi hona chahiye.


thanks
Garima



Risto me expectations to hoti hi hai, is jaha me koi bhi rishta ho expecations par hi tika hai agar ye na ho to kisi ko bhi kisi se pyaar na ho koi kisi ka respect na kare.
Jab ye expectauions toot jaati hai to to hume dard hota hai. Kabhi kabhi dard itna badh jaata hai ki apne aapse hi nafrat ho jaati hai tab paida hota hai ek junoon ya to us riste ko mita jaaye ya khood mit jaaye.
Kayi log isi dard me ta-umra jeete hai to kayi rishte tod dete hai aur bhi kitane hasra hote hai un rishto ke.
Kabhi kabhi apna dil ek sawal puchhata hai kya ye sab sahi hai.
Agar humne kisi ko sacha pyaar kiya hai to us pyaar ka pratidaan na paane se hi wo jhuta ban jaata hai. To fir humne us saks ko pyaar kiya hi nahi wo to bas apne aapse ek samjhouta tha.
Jisake toot jaane se pyaar khatm ho gaya.
To fir ek sawal aur jehan me aata hai ki agar ye sab na ho to hum sirf ek machine ban jaayenge jo sirf kaam karna jaanta hai jisake andar koi feelings hi nahi hai. Is tarah bhi jeena to sahi nahi hai .
Hum insaan hai machine ki tarah nahi jee sakte.
Agar ye baat hai to fir sawal wahi ka wahi khada rah jaayega ki fir is expecation se bachaaw kya hai.
Kaafi sochane ke baad kaafi rishte se expecations milane aur tootane ke baad mai ek natize par pahoochati hoo ki expecation honi chahiye lekin is baat ki nahi ki saamne waala hume kya de sakta hai balki is baat ki hum saamne waale ko kya de sakate hai. Jis khushi ki tammana aajtak hum saamne waale se karate aaye hai wo khushi hum use kaise de ? jis din ye baat dil me utar gayo usi din saare dard ka ant ho jaayega.
Is baat ko na sirf socha jaaye balki jab ise sawabhaawgat liya jaayega usi din saare dukho ka ant ho jaayega yehi mera maanana hai.

Garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)

Last edited by garima; 26th March 2005 at 03:03 PM..
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#12)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
28th March 2005, 08:48 PM

Meena ji....aaj mai soch hi raha tha...kuchh isi tarah ka...bahut khushi hui...ise post ko...uper paakar...ji jaroor kahiye...is vishay per hi in dinoN shodh chal raha hai mera bhi...lol....ji shaayad bheetri shodh.

Chaand.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Expectations
Old
  (#13)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Expectations - 28th March 2005, 08:50 PM

Garima ji dwara 'expectations' likha gaya post.


Risto me expectations to hoti hi hai, is jaha me koi bhi rishta ho expecations par hi tika hai agar ye na ho to kisi ko bhi kisi se pyaar na ho koi kisi ka respect na kare.
Jab ye expectauions toot jaati hai to to hume dard hota hai. Kabhi kabhi dard itna badh jaata hai ki apne aapse hi nafrat ho jaati hai tab paida hota hai ek junoon ya to us riste ko mita jaaye ya khood mit jaaye.
Kayi log isi dard me ta-umra jeete hai to kayi rishte tod dete hai aur bhi kitane hasra hote hai un rishto ke.
Kabhi kabhi apna dil ek sawal puchhata hai kya ye sab sahi hai.
Agar humne kisi ko sacha pyaar kiya hai to us pyaar ka pratidaan na paane se hi wo jhuta ban jaata hai. To fir humne us saks ko pyaar kiya hi nahi wo to bas apne aapse ek samjhouta tha.
Jisake toot jaane se pyaar khatm ho gaya.
To fir ek sawal aur jehan me aata hai ki agar ye sab na ho to hum sirf ek machine ban jaayenge jo sirf kaam karna jaanta hai jisake andar koi feelings hi nahi hai. Is tarah bhi jeena to sahi nahi hai .
Hum insaan hai machine ki tarah nahi jee sakte.
Agar ye baat hai to fir sawal wahi ka wahi khada rah jaayega ki fir is expecation se bachaaw kya hai.
Kaafi sochane ke baad kaafi rishte se expecations milane aur tootane ke baad mai ek natize par pahoochati hoo ki expecation honi chahiye lekin is baat ki nahi ki saamne waala hume kya de sakta hai balki is baat ki hum saamne waale ko kya de sakate hai. Jis khushi ki tammana aajtak hum saamne waale se karate aaye hai wo khushi hum use kaise de ? jis din ye baat dil me utar gayo usi din saare dard ka ant ho jaayega.
Is baat ko na sirf socha jaaye balki jab ise sawabhaawgat liya jaayega usi din saare dukho ka ant ho jaayega yehi mera maanana hai.

Garima.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand

Last edited by Chaand; 28th March 2005 at 08:53 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
28th March 2005, 08:53 PM

Quote:
Originally posted by Chaand
Meena ji....aaj mai soch hi raha tha...kuchh isi tarah ka...bahut khushi hui...ise post ko...uper paakar...ji jaroor kahiye...is vishay per hi in dinoN shodh chal raha hai mera bhi...lol....ji shaayad bheetri shodh.

Chaand.

mere chaand,

yaha bhi yahi haal hai ..... bahut kuch naye khayal bane ... bigde hai...
fir se tumhe padha... garima ko padhha.... aur khud ko bhi abhi tak padh rahi hu........

bahut hi jaldi mere khayal tumhare saamne rakhna chahti hu......

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
28th March 2005, 09:05 PM

JI...Garima ...ji.... ...sabse pehle to ek request hai...ki mujhe Sir, jeise shabdoN se sambodhit mat kijiye...mujhe achchha nahi lagta.

Aaj aapka ye Article parha...or ek yaad apni hi ek dost ki yaad tazaa ho gai...

Ji haaN aapne expectations ka jo positive pehlu pesh kiya hai...or jo sawaal uthaaye haiN...beshaq mere zehen me bhi aksar rehte haiN...ye expectations hi na rehi to...prem...relations ka koi maayne kahaaN nazar aata hai...inke bagair....ham bina kisi chaah ke keise ji sakte haiN...or yehi behes hoti thi meri mere us dost ke saath.

uska bhi yahi kehna tha...expectations rehti hi haiN ...relations me...HaaN...Demand...ye nahi honi chaahiye...badi hi thin line hai in 2 words ke beech...Expectations and Demand ....or jo is fark ko jaanta hai...wo samajh sakta hai...relations ko.

or aapk or mere artical ke beech bhi yahi thin line kaam kar rehi hai shaayad....

Bahut pasand aaya aapka ye article ....

tehe dil se shukriya apne nazariya hamaare saath share karne ke liye.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
28th March 2005, 09:16 PM

Chaand jee,
lagayi ne aapne apni ek demand .

kya karoo adat ho gayi hai sir bolne ki aage se khayaal rakhoongee.

mere lekh ko padhane samajhae aur saraahane ke liye shukriya.
wo kya hai jindagi kayi pahaluo se ghiri hai to kabhi na kabhi kisi na kisi mod par kisi ki baat ko sunkar kisi apne ki yaad aa jaana swabhaawik hota hai.


thanks
garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#17)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
29th March 2005, 01:33 PM

Garima ji................ ...........aapke is reply ne mujhe reply karne per mazboor kar diya hai.

aap mera pichhla reply parhiyega.....ye jo maine ki 'Demand' nahi thi....


Ek request thi.....maan.na na maan.na aap per.

demand wo hoti hai...jo force ki jaaye....

Khush rahiyega ...duao ke saath.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th March 2005, 08:23 PM

Bahut mushkil hai dhooNd paana ek eisa insaand jo shaayad rishtoaN ka kiraaya nahi maangta, ek eisa insaan jo awwal to rishtoN se demaand hi nahi rakhta or yadi kuchh ummeedeiN rakhta hai to puri na hone par in rishtoN ki duhaai dene ke bajaaye use, positively samajhne ki koshish karta hai. Ek eisa rishta jo aapko darpan sa lage kuchh chupaane ya dikhaane ki jaroorat na pade, aap jaise ho waise hi nazar aaeiN, eisa nahi ke wo har waqt aapke khayaalaat se ittefaaq rakhta ho balki aapki har soch ko samjhte huve uspar apna ek aazaad khayaal rakhta ho.



mere chaand,

bahut kuch likha yaha aur mitaya...........
tum jaante ho yah meri poorani aadat rahi hai.....
thoda sa maun hi padh lo..........................................
...............................................
haan aise bhi insaan hote hai... muje yakin hai.....
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th March 2005, 08:28 PM

Aksar hum dost ya rishte banaye chale jaate haiN, isme kuchh galat to nahi shaayad par achha ho agar hum dost banane ki bajaay dost ban,ne ki koshish kareiN, lekin shaayad ye khayaal to dil me aaega hi ... jinse koi ummeed hi na ki jaa sake wo rishte hi kaise, kyoN ki ummeedeiN to hum sirf ajnabiyoN se nahi rakhte, par maaf kijiyega gar mohobbat or Dosti jaise rishtoN ki buniyaad ummeedoN par hi tiki ho to wo rishta, rishta na rehkar apne aap me ek ummeed bankar reh jaata hai.

Ant me itna hi kahooNga ki 'Riste Ahsaan jataane or UmmeedeiN lagaane ka naam nahi, ye to bas diye jaane ka naam hai' - Just unconditional Giving.

mere chaand,

yaha par bhi maie tumhare sath sahmat hu par.............
fir bhi ek baat meri soch k hisaab se yahi kahungi ke .........
yah dosti ya pyaar jo bhi ho....
ooski neev majboot honi chahiye yaani vishwaas
agar aap ka vishwaas sath hai to zindgi bahr aap de sakte hai... par yah vishwaas ke dost ya pyaar ke kaabil na raha to?
tab bhi pyaar ya dosti nibhaye jana ..... bevkoofi kahungi maie ....
par sath hi yahi kahungi ke zindgi aur dosti aur pyaar yaha rook nahi jaata...........
aap fir se isi manjil par chal sakte ho... yah khubsurat hai hi...
ho aisa bhi k ab k baar aapka vishwaas bana rahe...

shayed maie galat lagu........ pata nahi.....

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th March 2005, 08:39 PM

[QUOTE]Originally posted by garima






Risto me expectations to hoti hi hai, is jaha me koi bhi rishta ho expecations par hi tika hai agar ye na ho to kisi ko bhi kisi se pyaar na ho koi kisi ka respect na kare.
Jab ye expectauions toot jaati hai to to hume dard hota hai. Kabhi kabhi dard itna badh jaata hai ki apne aapse hi nafrat ho jaati hai tab paida hota hai ek junoon ya to us riste ko mita jaaye ya khood mit jaaye.
Kayi log isi dard me ta-umra jeete hai to kayi rishte tod dete hai aur bhi kitane hasra hote hai un rishto ke.
Kabhi kabhi apna dil ek sawal puchhata hai kya ye sab sahi hai.
Agar humne kisi ko sacha pyaar kiya hai to us pyaar ka pratidaan na paane se hi wo jhuta ban jaata hai. To fir humne us saks ko pyaar kiya hi nahi wo to bas apne aapse ek samjhouta tha.
Jisake toot jaane se pyaar khatm ho gaya.


meri garima, aur chaand,

[ To fir humne us saks ko pyaar kiya hi nahi wo to bas apne aapse ek samjhouta tha.
Jisake toot jaane se pyaar khatm ho gaya. ]

mere khayal se pyaar to thha hi... koi shak nahi... aisa maie nahi maanti ke pyaar kabhi khatam nahi hota......
waqt aur haalat pyaar ko bhi khatam kar sakte hai... ooska matlab yah nahi k khatam huaa to woh pyaar n thha

sahyed tum domo kuch kaho aur baat aur khul paaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th March 2005, 08:42 PM

Kaafi sochane ke baad kaafi rishte se expecations milane aur tootane ke baad mai ek natize par pahoochati hoo ki expecation honi chahiye lekin is baat ki nahi ki saamne waala hume kya de sakta hai balki is baat ki hum saamne waale ko kya de sakate hai. Jis khushi ki tammana aajtak hum saamne waale se karate aaye hai wo khushi hum use kaise de ? jis din ye baat dil me utar gayo usi din saare dard ka ant ho jaayega.
Is baat ko na sirf socha jaaye balki jab ise sawabhaawgat liya jaayega usi din saare dukho ka ant ho jaayega yehi mera maanana hai.

Garima


meri garima,

bilkul sahi kaha tumne..........
par maie khud hi aam insaan hu yah kah kar aksar is moad se hat jaati hu....

tumhari maa
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
29th March 2005, 09:10 PM

Maa,
pyaar ke liye sabake alag-alag khayalaat hai kyunki sabhi ne apni life me alag-alag feelings li hai.
maa mujhe is baat par pura yekin hai pyaar kabhi khatm nahi hota uska roop badal jaata hai.

kya karoo practical answer dene ki adat jyada hai isliye apne hi life ka ek incident bata rahi hoo-

ek person jo mere dil ke bahoot kareeb hai. aaj bhi hai aur humesha rahega. mai ek baat achhi yarah jaanti hoo ki wo mujhse pyaar nahi karati balki sirf mera utilisation hi karati hai fir bhi mai use pagalo ki tarah pyaar karati hoo. sachaayi yehi hai wo mujhe utilise karati hai aur mai jaan boojhkar hoti hoo mai use na nahi kar sakati meri kanjori hai agar maine use ekbaar bhi na bola to wo mujhe chhod kar chali jaayegi. kayi aar hum dono me is baat ko lekar jhadap hui lekin fir bhi mere paas itna himmat nahi hai ki mai use bolu ki too jaa. mujhe usase ab koi expectation nahi bacha balki usase jaleel hi hona padta hai har baat me fir bhi mai use pyaar karati hoo .
ab aap hi bataiye yeha pyaar to nahi mara.
ek aur incident bata rahi hoo genral level se..
maa aap maa ho na ab ye bataiye aapne apne jis bache ko bahoot pyaar kiya hai kya aapka pyaar kabhi usake liye mar jaayega?
maa mere khayaal se jaha pyaar ho wo kabhi nahi khatm hota.


maa aam insaan to hum sab hai lekin dekhane ka najariya alag alag hota hai sabka.
ek glaas me halg paani bhar dijiye aur use logo ko dikhayye to sabhi alag alag ray denge.
koi kahega glaas aadha khaali hai to kisi ke liye glaas aadha bhara huwa hoga.

bas yehi baat rishto me bhi hai hum use kis najariye se dekh rahe hai. kahi sirf adjust to nahi kar rahe hai na.

ho sakta hai meri baate galat ho aap meri maa hai so aapka anubhaw bhi mujhse kahi jyada hai .
lekin mai ye jaroor jaanana chaoongee ki mai kitani galat ya sahi hoo.

aapka bacha


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#23)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
30th March 2005, 10:23 AM

meri garima,

hum shayed alag moad par aa gaye....
baat ummid ki chal rahi thhi...
hum pyaar ko tolne lag gaye...

ummid ......

humae khud se ummid rakhni chahiye ...... doosro se nahi... to baat ghum fir k wahi aa gayi

maie sahmat hu is baat se... samaaj ne hume is tarah bada kiya hai k hum apno se ummid laga kar hi kadam badhate hai...
yah humare sath chalna hi hai par hum samajdaari barte .. kis se kya ummid lagani hai to bahetar....

maa
   
Reply With Quote
Meri raay
Old
  (#24)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Meri raay - 30th March 2005, 09:37 PM

Meena ji or Garima ji….aap donoN ko hi parha or aap logoN ke vichaaroN ko gehraai tak samajhne ki koshish bhi ki, or khushi hui ke apni jaankaari me kuchh izaafa bhi kiya maine. DostoN…kuchh samay se jo baateiN mere bheetar chal rahi haiN…wo yahaan likh di hai..koi iraada nahi hai mera kisi ko bhaavnaaoN ko thes pahuNchane ka per ye iraada jaroor hai ki ….shaayad meri ye soch mujhe mere hi jeewan me kuchh dard kam karne me madad de…..per hamesha aap dostoN se kuchh achchha seekhne ki laalsa rehti hai…taki khudme kuchh badlaav bhi karta rahooN samay ke saath saath.


DOSTON ISI CHARCHA KO AAGE BARHATE HUVE KUCHH KEHNA CHAAHUNGA…..

EXPECTATIONS…JI , KABHI-KABHI HAM TO SAADGI SE YE UMEEDEIN JATA BAITHTE HAIN…APNE RISHTON SE…PER HAMAARI UN UMMEEDON SE KISI KO THES BHI LAG SAKTI HAI, YE HAM NAHI SOCHTE…..!

ISI LIYE KOSHISH REHTI HAI KI YE EXPECTATION BHI NA RAHE KISI SE….PER JAHAAN RISHTE DIL SE BAN JAATE HAIN…YE SAB BAATIEN GON (NOTHING) HO JAATI HAIN…KYONKI WAHAAN AAPKO KEHNE ME JHIJHAK NAHI HOTI OR SAAMNE WAALE KO…KHULKAR PESH AANE ME…WO RISHTA HOTA HAI…AAINE SA RISHTA…

EK TARFA AAKARSHAN….PREM NAHI HOTA….WO CHAAH HOTI HAI…JAB WO DONOn TARAF HO…TABHI….PREM KEHLAATA HAI…PER YE SAHI HAI KI US CHAAH KI PAVITRATA …APNI JAGEH HAI…USME KOI BURAAI NAHI…..PER WO DARD HO SAKTI HAI.

KUCHH PAANE KI UMEED SE KISI KO KUCHH DENA….EK SWARTH HAI……

KISI KO KUCHH DENA ….AAPKO ACHCHHA LAGTA HAI…YE THEEK HAI…PER …KAHEEN USKE PEECHHE KUCHH PAANE KI CHAAH TO…NAHI PANAP RAHI…AGAR EISA HUVA TO WO GALAT TO NA HOGA…PER….DARD DEGA ….YE TAY HAI…..OR PHIR HAM US INSAAN KO DOSH DEINGE JO US DARD KI WAJEH HAI…..JABKI WO NAHI HAI…

HAM AGAR APNE RISHTON KE PARTI APNA DAAYITWA NIBHAATE HAIN…TO KISI PER EHSAAN NAHI KARTE…..SO USKE LIYE PRATIFAL KI ICHCHHA RAKHNA…GALAT TO NAHI PER DARD BHARA BHI HO SAKTA HAI.

Hope mere in vichaaroN ko aap sirf ek charcha ka his.sa samjheiNge or personally nahi leiNge.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
30th March 2005, 10:42 PM

JAHAAN RISHTE DIL SE BAN JAATE HAIN…YE SAB BAATIEN GON (NOTHING) HO JAATI HAIN…KYONKI WAHAAN AAPKO KEHNE ME JHIJHAK NAHI HOTI OR SAAMNE WAALE KO…KHULKAR PESH AANE ME…WO RISHTA HOTA HAI…AAINE SA RISHTA…

mere chaand,

yaha par tumhare sath sahmaht hu. aisa rishta .... jaha aap khul kar kah bhi sakte ho aur naa soon bhi sakte ho ... bol bhi sakte ho.. koi jhijhak nahi...... aaine sa rishta.......


KISI KO KUCHH DENA ….AAPKO ACHCHHA LAGTA HAI…YE THEEK HAI…PER …KAHEEN USKE PEECHHE KUCHH PAANE KI CHAAH TO…NAHI PANAP RAHI…AGAR EISA HUVA TO WO GALAT TO NA HOGA…PER….DARD DEGA ….YE TAY HAI…..OR PHIR HAM US INSAAN KO DOSH DEINGE JO US DARD KI WAJEH HAI…..JABKI WO NAHI HAI…

hmmm.... maan leti hu yah baat bhi..... shayed sahi ho...


HAM AGAR APNE RISHTON KE PARTI APNA DAAYITWA NIBHAATE HAIN…TO KISI PER EHSAAN NAHI KARTE…..SO USKE LIYE PRATIFAL KI ICHCHHA RAKHNA…GALAT TO NAHI PER DARD BHARA BHI HO SAKTA HAI.


nahi ehsaan ka sawaal hi nahi... kartvya ya farz ya daayitwa nibhana ehsaan nahi huaa... balki yah to fitrat maie hona hi chahiye... par ...........

kuch poorani baat yaad aayi........


maana ke hai tera hi aashmaan
par is tarh lootaya nahi karte
apno ke oodne ki khatir sahi
apni pankhe kata nahi karte


chaand, garima.... charcha aage badhaaoge isi raah maie.....

pata nahi shayed maie abhi tak khul nahi paayi khud maie hi........

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
31st March 2005, 01:29 PM

Chaand jee ( sir nahi bolungee ),

aapke vichaar padhe to kucch aur vichaar ek ek karake jagrit hote chale gaye. jaane kitane parto se ri-ris ke nikal rahe hai.

khair jaisa ki aapne kaha -
EXPECTATIONS…JI , KABHI-KABHI HAM TO SAADGI SE YE UMEEDEIN JATA BAITHTE HAIN…APNE RISHTON SE…PER HAMAARI UN UMMEEDON SE KISI KO THES BHI LAG SAKTI HAI, YE HAM NAHI SOCHTE…..!


expectation hai gajab ki chij , hasati bhi hai rulaati bhi hai, kahi saadgi se to kahi formality se aati hai. kabhi dil ke tootate hue taaro me basi rahati hai, to kahi apne aatmvishleshad me bani rahati hai. lekin rahati jaroor hai.
humaari expectation sirf wahi nahi rahati jaha sirf dil ka gahara naata ho balki waha bhi rahati hai jaha par hum apna haq samajhate hai bhale hi wo jabaran thopa huwa hi kyu na ho.
umeedon se thes to lagati hai aur adhiktar aisa hi hota hai iska karan yehi hai ki humaari umeede ya to aisi jagah se bani hoti hai jaha par jabran hum apna adhikaar maante hai ya aisi jagah se banati hai jaha par saamne waala ke aasmaan ko chhin lene ki chaht paida hoti hai bhale hi wo hum anjaane me karate hai.

jaha par umeed apne rishte ko purn roop se samajhane ke baad rakhi jaaye waha par usake tootane ka dar nahi hota na hi wo kabhi tootata hai.


apani baat aage jaroor badhaungee lekin thodi der baad abhi ek pateint mujhse ye ummed lagaaye baitha hai ki usaki baat suni jaaye aur usaki umeedo ko todkar dard nahi dena chahti isliye bich me adhoora chhod kar jaa rahi hoo.
jaldi se wapas aane ke ummed me..

maaf kare

garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#27)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
31st March 2005, 03:21 PM

jaha par umeed apne rishte ko purn roop se samajhane ke baad rakhi jaaye waha par usake tootane ka dar nahi hota na hi wo kabhi tootata hai.


meri garima, chaand,

ya yunh bhi kah sakte hai ki hum yunhi kisi rishte ko pyaar se joad dete hai... par sach baat yah hai ki .... pyaar sirf yahi panapta hai jaha rishta aaine sa hota hai... jaha ummid k tootne ka dar nahi ... ya soonne aur samajne k liye waqt hota hai... jaha aap jaise ho waise hi pahlay to swikara jaata hai par sath hi aapki buraai par parda n daal kar oose roshni daal kar bina jhijhak bataya bhi jata hai...

yaani baat yahi hui ke ummid aur pyaar sath chal sakte hai...

???

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
31st March 2005, 08:21 PM

Maa ,
ha ummid aur pyaar dono ek saath chal sakate hai,
bakhoobi chalate hai lekin jaise ki chaand jee ne kaha jaha par rishta aaine ki tarah saaf ho , jaha ek doosare se kuchh chhupaane ki ya kisi se kuchh kahane me jhijhak na ho , waha ummide pyaar me barakkat hi karati hai.

sach baat ye hai ki tab us waqt ummid to hoti hai lekin usame maja aata hai ek doosare ki ummido ko pura karane ka sankalp hota hai wo ummed apne liye nahi rakhate balki ummid ye hota hai ki mai apne dost ya apne pyaar ko(jo bhi relation ho) kya de sakata hoo.

jab ummid is tarah aati hai to fir kisi dar ka kisi dabaw ya kisi fikar ka jagah nahi hota waha bas pyaar hi pyaar hota hai.

aap ye na kahana ki mai saint ki tarah bol rahi hoo mai ekdam aam naagrik ki bhaasa bol rahi hoo. fark bas itna hai ki harek wyakti apne aapko is pyaar ke kaabil bana hi nahi paata hai.

oh sorry maa mujhe fir se jaana pad raha hai aaj ka badluck gaya fir se aaya na ek kaam lekin kya karoo unki ummedo par paani nahi daalana chahti hoo.

kal aaram se likhane ka ummid rakhoongee


aapka bacha
Garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#29)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
3rd April 2005, 04:19 PM

Chaand bhai, Meena di aur Garima,

Aap logon ke vicharon ko kuch roz se padh raha hoon..
Aaj apne kuch vichar yahan likh raha hoon..
Umeed hai kuch aur aapko sochne ko mile aur shayad mujhe kuch jawab..

9 mahine ma ki kok mein bacha palta hai.... woh ma ka ek hissa sa ban jaata hai... us dauran Ma Baap apne man mein us aane wale bache ke liye sapne bunne lagte hain...woh yeh karega wh yeh banega...woh yeh pehnega... woh bada aadmi bangega... humara sar garv se ucha ho jaayega ...vagarah vagarah... insaan ki mansikta hi yehi hai...

Hum har rishte se umeed karte hain.... varna hum rishto mein kabhi bandhte hi nahi.... Do anjan vyaktiyon mein aur do dost.. ya kissi bhi rishte mein kya farak hai.... Umeed...

Aap ek anjaan insaan se kabhi koi umeed nahi rakhte.... magar koi bhi rishte mein chahe woh kitna hi majboot aur kitna hi gehra ho... umeed hoti hi hai.... umeed ke bina woh rishta kayam hi nahi ho sakta.... umeed hi hai jo us rishte ko bandh kar rakhti hai...

Mein bhagwan nahi.... magar bhagwan ko koi umeed nahi??? yeh mein maan nahi sakta..... Bhagwan humare andar hai... humme apne bhagwan se umeed hai.... magar kya bhagwan ko humse koi umeed nahi...?? Sawal hai mera shayad mein galat hoon.... Magar mera to bhagwan se bhi rishta hai...

Umeed se bachna hum kyon chahte hain?? kyonki hum apne aap se bhagna chahte hain.... hum doosron se umeed rakhte hain ki woh humse koi umeed na rakhe.... yeh bhi to umeed hai?

Umeed nahi hogi to zindagi nahi hogi... aur zindagi nahi hogi... to mein hi nahi hounga...

Umeed to mei karta hoon har insaan se karta hoon... aur mein umeed rakhna nahi chodoonga... haan ek cheez jo meine seekhi hai aur garv ke saath keh sakta hoon apne baarein mein ki yadi koi insaan meri umeedon pe khara nahi utarta to mein nirash nahi hota... hatash nahi hota... mein gussa nahi hota ... na hi rota hoon.... Yeh mein hoon... magar shayad yehi tareeka meine chuna hai umeed ko naumeed mein badalne se rokne ke liye...

Aap logon ke vicharon ke umeed mein izzazat leta hoon....

Shukriya
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
4th April 2005, 04:11 PM

Rohin aapka reply parha.....or yooN laga jeise meri is post ka jawaab sa mil gaya mujhe.....

Waakai ummeed ka agar maine nagetive chehre pesh kiya to aapne uska positive phase dikha diya...waakai bahut inpressive likha hai aapne.


Hum har rishte se umeed karte hain.... varna hum rishto mein kabhi bandhte hi nahi.... Do anjan vyaktiyon mein aur do dost.. ya kissi bhi rishte mein kya farak hai.... Umeed...

Aap ek anjaan insaan se kabhi koi umeed nahi rakhte.... magar koi bhi rishte mein chahe woh kitna hi majboot aur kitna hi gehra ho... umeed hoti hi hai.... umeed ke bina woh rishta kayam hi nahi ho sakta.... umeed hi hai jo us rishte ko bandh kar rakhti hai...


Waakai...bahut khoob kaha hai yahaaN aapne....ek gehri baat...umeed sirf waheeN nahi hoti jahaaN koi rishta nahi hota...

Umeed se bachna hum kyon chahte hain?? kyonki hum apne aap se bhagna chahte hain.... hum doosron se umeed rakhte hain ki woh humse koi umeed na rakhe.... yeh bhi to umeed hai?


Waah or yahaaN to aapne meri soch ko sharminda kar diya...kasam se....yooN laga jeise kisi ne sach bhara ek tamaacha maara ho...bilkul shaayad ham ummeedoN se isi liye bachna chaahte haiN..ki ham apne aap to nahi doosroN se bhaagna chaahte haiN...beshak ek maanyne me wo bhi khud se hi bhaagna to huva...kyoNki manushya ek samajik prani hai..ye baat bhi sahi hai ...so jo samaaj se bhaagega...wo apne aap se bhaagega hi.

Umeed nahi hogi to zindagi nahi hogi... aur zindagi nahi hogi...

yahaaN mai aapke kehne ki gahraai mai shaayad nahi pahuNcha...so mai yahaaN differ karta hooN....ke agar ummeed na ho to...jindgi na hogi...wo hogi beshaq kuchh VEIRAAGI si hogi...kuchh kati si hogi...per jindgi to hogi...(ye mera maan.na hai.

per kul milaakar aapka ye reply bahut pasand aaya or kuchh had tak mujhper asar bhi kar gaya...kaheeN gehre me.

Shukriya Rohin...ye sateek...vaastvikta se bhara reply karne ke liye.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
4th April 2005, 04:51 PM

Chaand bhai,

Merine to bus apne vichar rakhe hain...
Mein to umeed kar raha hoon ki shayad mujhe bhi jawab mil jaayein aap logon ke vichar padh kar...

Jab meine kaha ki

Umeed nahi hogi to zindagi nahi hogi... aur zindagi nahi hogi...

Mera matlab sach much mein thoda gehra tha...
Ek veiraagi ko hi le lijiye? Kya aapko lagta hai usse koi umeed nahi hai? ... Mere liye mushkil hai kehna magar mujhe anhi lagta usse koi umeed nahi... Woh disha heen jaroor hoga... magar disha ki talaash karta rahega..

Insaan ko kissi na kissi prakar ki umeed to hoti hai... chahe woh choti ho ya badi... umeed khote hi insaan zindagi kho deta hai...

Ek choti si baat ....
Koi insaan khud khushi karna chahta hai... kyon? ,,,, woh is umeed mein yeh kadam uthana chahta hai ki is duniya ko chod dega to woh sukhi ho jaayega... yehi umeed uski maut ka karan ban jaati hai... umeed ke chakrvyuhn ko bhedne ke liye ... wahin jana hoga jahan umeed ki shuruat hoti hai...

Chanakya ki ek kahani yaad aati hai jo shayad humare saare prashno ka hal de de..

ek baar yunhi chalte chalte unki rah mein kata laga... aur unhone gaur kiya to ek kantoon bhara paudha ug raha tha... unhone thaan liya ...us paudhe ko jad se mita denge....

Ek chota sa gadha khoda lambe aakar ka... aur us mein paani daal saare kanton ko baha diya aur us ped ko jad se ukhad diya...

Sochne wali baat hai... chahte to kaante ko apne per se hata kar aag badh sakte the... maga unhone kaanton ki jad ko hi hatana lazmi samjha ... taaki aage kabhi koi kaanta na chubhe us rah par... humme bhi apni ummedon se upar uthne ke liye aisa hi koi rasta apnana padega... jad se hatana hoga...

Tareeka sab ka apna apna hai... sahi tareeka har ek ke liye alag hai... umeed hai woh tareeka jald dhoond paoonga... lo phir phas gaya umeed ke chakravyuh mein... chalo koshish jaari hai....

Izzazt
Shukriya
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
3rd May 2005, 06:30 PM

okkkkkkkkkkkkkkkkkkk

sunn liya humne aapko .......................

kabhi u bhi toh aapke jivan main
ye kaash ki tujhe bhi kisi se muhobbat ho
wo rahe tujh se durr or tujhe uski jaroorat ho
tum bas ek pal usse dekhne ko taras jaao
uske mthe se bol se khud ke liye pyaar ke bol ke liye taras jaao
hota hai chaand ji aisa bhi hota hai .................

har cheez apni jagah theek hoti hai
har din wahi subah wahi shaam hoti
dill maine kisi ki pyaar bhi badhti hin rehti hai
jaada na sahi .uske aankho se pyaar dikh jaaye isski umeed toh rehti hai............

ho jaaye aisa uss dina hum fir sunegaine
kutch badli hui surat or khyaal sunegaine
ho jaaye dill se tumko bhi kisi se muhobbat
wo rahe tujh se durr or rahe tumhai bekaraai
toh badle huye haalat hum fir sunegaine..............




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
5th May 2005, 06:23 PM

okkkkkkkkkkkkkkkkkkk

sunn liya humne aapko .......................

JI.....


kabhi u bhi toh aapke jivan main
ye kaash ki tujhe bhi kisi se muhobbat ho
wo rahe tujh se durr or tujhe uski jaroorat ho
tum bas ek pal usse dekhne ko taras jaao
uske mthe se bol se khud ke liye pyaar ke bol ke liye taras jaao
hota hai chaand ji aisa bhi hota hai .................



Ham to ek umr se ...ye dard
Seene me dabaaye baithe haiN.....
Tum paloN ke imtehaan ki baat karte ho....
Apne wo Khuda to ek umr se, hame aajmaaye baithe haiN.


Chaand


har cheez apni jagah theek hoti hai
har din wahi subah wahi shaam hoti
dill maine kisi ki pyaar bhi badhti hin rehti hai
jaada na sahi .uske aankho se pyaar dikh jaaye isski umeed toh rehti hai............


Now....Hats off.....


ho jaaye aisa uss dina hum fir sunegaine
kutch badli hui surat or khyaal sunegaine
ho jaaye dill se tumko bhi kisi se muhobbat
wo rahe tujh se durr or rahe tumhai bekaraai
toh badle huye haalat hum fir sunegaine..............


Na samjhi me ek roj us Khuda se....
Ummeed na rakhne ki shart laga baithe,
Na poochho is naakaam mohobbat ke khaatir tabse....
Kitni hi martaba guhaar laga baithe.

Chaand


-------------------------------------------
Koi ye kaise bata de ke wo tanha kyoN hai
wo jo apna tha wahi or kisi ka kyoN hai...



Mai apni tanhaai se nahi ghabraata....
Dard hai to bas itna...ke wo.....
Meri chaahat samajh nahi paata.


Chaand

Chandsi ji, tahe dil se shukriya aapke is reply ke liye.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
18th October 2005, 05:33 PM

Apeksha ka takraav

Rishte mai dono vyakti ek doosre ki or kuch apeksha rakhte hai. Or ooski apeksha bhi ho jaati hai… chhoti chhoti apeksha hoti hai to kahi jyada hi apeksha ho jaati hai. Is apeksha k hum hi sarjanhaar hai.
baar baar khat likhte hai is liye apeksha ka sarjan hota hai .. wo bhi khat likhega hi. Baar baar milte hai is liye apeksha banti hai.. wo milega hi. Rishte mai teen baat yaad rakhne jaisi hai..
apeksha – sarjhan
apeksha – purti
apeksha - nirupan
hum apeksha banate hai… fir oose poora nahi kar paate or humari apeksha saamne ki vyakti ki or bhi hai. Or saamne vyakti humari apeksha poori karta/ti rahe wo bhi sarjhan par asar karti hai…
jaise maine khat likha tumne nahi likha… mai milne aayi tum milne nahi aaye…
is liye pahlay to sarjhan ke waqt sachet rahna chahiye.. fir purti ke waqt satarak rahna chahiye.. or nirupan karte waqt bahut hi saawdhaan rahna chahiye… kyunki koi bhi jab humari apeksha poori karta hai tab achha lagta hai.. or yahi baat se saamne ki vyakti mai apeksha sarjhan karti hai..or hume khayal bhi nahi rahta. Or isi tarah.. apeksha ke takraav ki vajah se rishte mai daraar aati hai.. or fir who daraar badhti rahti hai… fir rishta sirf naam ka rah jata hai.
To kya karna chahiye jis se rishte mai daraar na ho… ?
Rasta hai… muje lagta hai k.. rishte mai hume door se yaani k paraye bhav se n dekh kar.. paas .. or paas se yani ke aatmiya bhav se dekhna chhaiye.. tab kai aise dosh hai jo hume dosh nahi lagenge.. oonki jagah par hum hote to hum bhi yahi karte or aisa n karte aisa lage to spasht.ta karma bahetar. Chhoti chhoti galatfahemiyaa ke parinaam bhi sochne chahiye.. rishte ke abhivyakti ke madhyam bhi jaan ne chhaiye.
Spasht.ta karne ke baad bhale hi rishta toot jaay, bura lag jaaye, ya sambandh kam ho jaaye.. par bina spasht.tikaran se rishta or bhi jhunjhlaahat bhara rahega.. or chhoti si baat badi ban jaayegi..
Or spasht.ta karu .. is apeksha k bare mai to…
Apeksha shabd samajne jaisa hai..kisi bhi rishte mai apeksha banti hi hai.. or yah ban ne ki do vajah hai…apeksha banti hai.. humare shabdo se or humare vartan se..
Is liye … apeksha ko jaanna hume santosh ki or le jata hai . or apeksha mai spasht rahne se rishte ko samhaalne mai madad milti hai.
Apeksha ki do baju hai –
Ek to hai.. saamne ki vyakti ko humse apeksha.
Or doosri.. humari khud ki saamne ki vyakti ki taraf apeksha.
Humari jitni apeksha kam rakenge ootna hi rishte mai sukh paayenge. Kai log ek oopkaar kar k saamne ki vyakti ko zindgi bahr k gulaam ho aisa rakhna chahte hai.. tab oopkaar ka moolya nahi rah paata.
Humari apeksha k liye itna karna chhaiye….
Jin apeksha ke bare mai saamne ki vyakti jaanti nahi.. or jo apeksha kam se kam hai.. oose jata dena chahiye .
Jo apeksha bahut hi sadhaaran hai oose agar bhul sakte hai to bhul jana chhaiye..
Or saamne ki vyakti ki humari or kya apeksha hai wo jaan lena chhaiye.. or jo paripoorn kar sakte ho wo karni chhaiye or jo apeksha hum poori nahi kar sakte oos k bare mai spasht.ta karni chahiye.


saujanya...- sambandh se mukti taraf

Last edited by meena chheda; 18th October 2005 at 05:39 PM..
   
Reply With Quote
expectation
Old
  (#35)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
expectation - 18th October 2005, 07:12 PM

Usne maaNga hi nahi...mai haath barhata keise
Wo kaheen gum tha...mai, baat sunaata kaise....

Ey Dil....

Unki baatoN me, ek tangdil hi chhupa baitha ho agar...
Meri gairat....bhi koi cheez hai...mai Bhulaata kaise.




UmeedeiN..........ApekshaaeiN...........Expectaton

in sab baatoN ki jaroorat or gair jaroorat se hatkar bhi ek cheez hai....Samajhdaari

Samajhdaari is baat ki ...ki kisi ko apne khaatir kuchh space chaahiye....kisi ka jindgi jeene ka apna bhi tareeka ho sakta hai bas.........Bas................or kuchh bhi nahi.


Or jo Uper ke sher me nazar aata hai....wo koi Ego nahi hai...wo wahi Samajhdaari hai...jo har expectation ke saath saath zehen me rehni hi chaahiye.



KyoNki komal ehsaasoN jeise rishtoN ko shaayad ....apekshaaoN se jiyaada samajhdaari ki jaroorat hoti hai.


Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#36)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
18th October 2005, 08:20 PM

KyoNki komal ehsaasoN jeise rishtoN ko shaayad ....apekshaaoN se jiyaada samajhdaari ki jaroorat hoti hai.

mere chaand,

samajhdaari ... kya yah apeksha ka hi ek naam nahi hai ? kon nahi chahta... rishto mai samajdaari?
mere khayal se to apeksha hoti hi hai... chhoti ya badi... sukh milta ho ke dukh ... bhale hi fir ooska naam samajdaari hi kyun n ho...
~~~~~~~~~~~~

Humari apeksha k liye itna karna chhaiye….
Jin apeksha ke bare mai saamne ki vyakti jaanti nahi.. or jo apeksha kam se kam hai.. oose jata dena chahiye .
Jo apeksha bahut hi sadhaaran hai oose agar bhul sakte hai to bhul jana chhaiye..
Or saamne ki vyakti ki humari or kya apeksha hai wo jaan lena chhaiye.. or jo paripoorn kar sakte ho wo karni chhaiye or jo apeksha hum poori nahi kar sakte oos k bare mai spasht.ta karni chahiye.

is baat ko kya tum samajdaari se alag kah paaoge ?

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#37)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
18th October 2005, 08:42 PM

rishto mai samajdaari yaani ...
parijaat ke vriksh ki tarah...
oose roz pani nahi chahiye, roz khaadh bhi nahi chhaiye, hadh or pani oose ek samaan waqt k baad chahiye.. par oose prakaash roz chahiye, oose hawa roz chahiye, .... isi tarah rishte ko roz prerna chahiye, prathna chhaiye, mulakaat roz na ho to chalta hai.

rishto mai bandhan kab banta hai...
jab wo hume bhavna mai bhigo kar andh bana de, rishte mai jab bahut hi apeksha khadi ho jaati hai or fir wo poori n hone ki fariyaad suru ho jaay tab rishta bandhan sa ho jata hai...
rishte mai jab maliki bhav aane lage tab bigadta hai...

rishta aisa hona chhaiye jis mai samajdaari ho... par yah apeksha hi hai na?
   
Reply With Quote
Old
  (#38)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
19th October 2005, 08:11 AM

KyoNki komal ehsaasoN jeise rishtoN ko shaayad ....apekshaaoN se jiyaada samajhdaari ki jaroorat hoti hai.


mere chanad,

tum sahi ho... mai apni soch ko badal rahi hu...
samajdaari.... sankuchit ho kar maan le to samajdaari ko apeksha kah de yah alag baat hai par ... sahi maaine mai socha jaay to samajdaari or apeksha dono alag baat hai. dono rishto k sath joodi hai... ek se rishta banta hai ya bigadta hai... or doosri k hone se rishta humesha mahakta hai.

shukria... muje samjaane k liye.

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#39)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
29th January 2006, 11:47 AM

mere chaand,

aaj fir tumhari samajdaari samajne aa gayi yaha....

tumhari meena
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is Off
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com