Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 4 votes, 5.00 average. Display Modes
Meri Pariyon ke Naam.....
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow Meri Pariyon ke Naam..... - 30th October 2004, 01:13 PM

Aadaab dosto…

Lijiey phir haazir huye hain aapke saamne…

ek chota sa paigaam apni betiyon ke naam kiya hai…meri betiyaan…meri zindagi mein bahaar banke aayin aur mera sab kuch ho gayin…ek aziz dost ne unko dekh kar meri "Pariyaan" pukara...tabse wo meri "Guardian angels" ho gayi hain...bus mere larazte bepanaah pyaar kee yeh koshish…shayad pasand aaye aapko…



[color=dark red]Meri Pariyon ke naam…..[/color]

Mera dil ho tum, Meri jaan ho tum
Mere athaah pyaar se anjaan ho tum
Jo khwaab bune ta umr maine
Mehkata wo gulistaan ho tum

Zindagi ke banjar sehra mein
Barasti *abr-e-baharaan ho tum
Us paak dar pe kiye sajde maine
Mujhpar us khuda ka ehsaan ho tum

[color=dark red]Clouds of spring[/color]

Aage badho badhti hee raho
Meri khwahish, mere armaan ho tum
Mujhe kismat haraane pe hai amaada
dekhein sab meri jeet Aalishaan ho tum

jaisi bhi hoon, hoon tumhari “Maa”
maanti hoon, meri *charah-jaan ho tum
gareebon se *shafaqat, be-bas kee ho taqat
haan *muflison kee *jaanissaraan ho tum

[color=dark red]doctor
kindness
wretched
who sacrifice life for others[/color]

mile na dard, aansoon, yaa *khaar raahon mein
gar mil jaayein bhi tau, na *nataawaan ho tum
Seena taan, *sar bulandi se jiyo tum
‘Paras’ kee daulat-e-*farozaan ho tum

[color=dark red]thorns
weak
keep one’s head high
shinning, luminous[/color]

dhal gayi khizaan, manzil hai kareeb, magar
saaye si rahoongi saath, na pareshaan ho tum


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 30th October 2004 at 01:17 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
30th October 2004, 01:29 PM

Ye Sab...................ek Maa hi keh sakti hai ................apni aulaad ke liye.

Paras....bahut achchha laga aapka ye Apni bachchiyoN (I'mean PariyoN) ...ke prati prem parhkar.

Dua karta hooN wo uparwala unhe...wo sab deiN jo aap unke liye chaahti haiN.

Rachna to aapki hamesha ki tareh khoobsoorat hai hi.

Khus raho hamesha.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
30th October 2004, 02:53 PM


Mera dil ho tum, Meri jaan ho tum
Mere athaah pyaar se anjaan ho tum
Jo khwaab bune ta umr maine
Mehkata wo gulistaan ho tum

Zindagi ke banjar sehra mein
Barasti *abr-e-baharaan ho tum
Us paak dar pe kiye sajde maine
Mujhpar us khuda ka ehsaan ho tum

Clouds of spring

Aage badho badhti hee raho
Meri khwahish, mere armaan ho tum
Mujhe kismat haraane pe hai amaada
dekhein sab meri jeet Aalishaan ho tum

jaisi bhi hoon, hoon tumhari “Maa”
maanti hoon, meri *charah-jaan ho tum
gareebon se *shafaqat, be-bas kee ho taqat
haan *muflison kee *jaanissaraan ho tum

doctor
kindness
wretched
who sacrifice life for others

mile na dard, aansoon, yaa *khaar raahon mein
gar mil jaayein bhi tau, na *nataawaan ho tum
Seena taan, *sar bulandi se jiyo tum
‘Paras’ kee daulat-e-*farozaan ho tum

dhal gayi khizaan, manzil hai kareeb, magar
saaye si rahoongi saath, na pareshaan ho tum


Paras!!

Well....What a beautiful expression... Kucch kucch suna thha pehle.. aur jo kucch reh gaya tha woh padh liya .... Reallly good words... Now u will say.. I repeat my words.... but what to do, U repeat ur performance.... Always back with a masterpiece

Well... Dua rhaegi ki Tumahari pariyan humesha khush rahein.... Have a wonderful time... TC

These lines r still my favourite...

Aage badho badhti hee raho
Meri khwahish, mere armaan ho tum
Mujhe kismat haraane pe hai amaada
dekhein sab meri jeet Aalishaan ho tum



Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
hi
Old
  (#4)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 30th October 2004, 03:17 PM

parasstaar sahiba
kasi ho?
rishte ...sab kuch hote hain...hmare liye rishte banana to asaan
hota hay...magar shayad ham kabhi un k ahmiyat samjh nahi sake
kyun k rishton k ahmiyat samjhna or us ahmiyat ko samjh kar byan karna us se bhi mushkil hota hay....
koi mane yah nahi magar MAA ka rishta aisa hay jis per logon ne bohat kuch likha magar bohat kuch kam...or us se kahin ziada mushkil AIK MAA ka apni olaad k liye likhna....
MERI PARIYON K NAAM
kya baat hay yar...tumhare lafzon k zariye ham ne ache tareeqe se is rishte ko or tumhare tumhari pariyon se laad pyaar ko samjhne ki koshish ki hay....jahan in lafzon main pyaar or shararat jhlakti hay wahan jo baat mujhay sab se achi lagi woh hosla or nasihat ka andaz...

Mujhe kismat haraane pe hai amaada
dekhein sab meri jeet Aalishaan ho tum

bohat khoob hay yar...bohat acha likha hay....bohat sari tareef tumhare lafzon k liye...or bohat sara pyar or duain tumhari un pariyon k naam....
apna khiyal rakhna...
KHAN...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
31st October 2004, 02:06 PM

wakai ...

chand bhai ne ek dum sahi kaha ... ki ye sab ek maa hi keh sakti hai ... aapka apni betiyon se jo pyar hai ,.... aur har maa ka jo pyar baccho se hota hai koi uska bayan nahi kar sakta ... kyunki mamta udelna ek maaa ke hi bas main hota hai .. paras ji aapke is kalam ko ek nagina hi samjhe ... aur apni betiyon ko jaroor sunaye ...

maa ki mamta ka mol hota koi na
uske sneh ke bina jeeta bhi koi na
bayan karne ko dhunde kitne shabdakosh*,
par alfaz kahin bhi milta koi na...

paras ji dua hai aapki pariya sada pariyon ki tarah pyar paye ,..

aapka apna

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#6)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
1st November 2004, 12:20 PM

Hi Parastaar Ji,

WAkayi mein, The ultimate ode to u're daughters. Itna pyaara ke bas dil machal utha hai isse parh ke. Sahi mein khushnaseeb hai aap ki pariya aap jaisi chahne wali maa paa kar aur aap unhe.

Bohot khoob, har ek alfaz dil ko chhuu gaya. Dua karte hai aap logo ka pyaar sada u hi bana rahe.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Namaskar Paras ji
Old
  (#7)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
Namaskar Paras ji - 1st November 2004, 09:10 PM

Namaskar Paras Ji

aaj aapki likhe ghazal padee bahut achi lagi yeh masuum si Rachna..............Shayad meray lafz kum pad jayein tareef kay liye................bahut pyara likha hay aapne...............Kuch panktiyaan were so sweet would like to appreciate

Aage badho badhti hee raho
Meri khwahish, mere armaan ho tum
Mujhe kismat haraane pe hai amaada
dekhein sab meri jeet Aalishaan ho tum

jaisi bhi hoon, hoon tumhari “Maa”
maanti hoon, meri *charah-jaan ho tum
gareebon se *shafaqat, be-bas kee ho taqat
haan *muflison kee *jaanissaraan ho tum

Jaise bhi hoon,hoon tumhari "Maa" bahut pyari pankti hay.Aap ko sukanya ka slaam ..........
bahut sundar rachna.............Too good.

Take Care
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
2nd November 2004, 11:44 AM

Chaand Sahib, namaskaar...

Shukriya bahut bahut aapki shubhkaamnaaon ke liye, aapke sarahane ke liye...maa ke liye yeh sab kehna aasaan hai...koyi mushqil nahin...hai na...maine kuch ajooba nahin kiya...

-----------------

Pulkit my sweet friend...

always there to cheer me up...bless you...yeah those liines are my favorite too...meri haar nahin jeet hain woh...

take care

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
2nd November 2004, 11:51 AM

Khan Bhayyia...

aap aaye...bahut achha laga...aur aapne jo sher chunaa...i m really proud of it...pata nahin kaise likha gaya...lol...kabhi kabhi tau mujhe apni hee qaabliyat par naaz hone lagta hai...sar ka diameter thoda failtaa bhi jaata hai...lol

--------------------

maa ki mamta ka mol hota koi na
uske sneh ke bina jeeta bhi koi na
bayan karne ko dhunde kitne shabdakosh*,
par alfaz kahin bhi milta koi na...

waah kunal!

kitne sundar andaaz mein tumne daad dee...meri or se in lafzon ke liye daad kabuul karo...aur apne haath ko thoda aaraam bhi diya karo...taaki jaldi se jaldi theek ho jaao...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
3rd November 2004, 12:25 PM

paras meri behan

Mamta ki mohabbat aur aulaad se us ki unsiyet aur aqeedat ka itna bharpoor izhaar kiya hai tum ne ke mera dil apni behan ki mohabbat se labrez aur ankhein pur-nam ho gayee hain.
Mujhe pata hai ke jo behan itni achchi ho to “maan” to yaqeenan azeem ho gi hi tum.
Aur meri dua hai ke tumhari yeh masoom titliyaan aur meri bhanjiyaan bhi apni maan se yaqeenan itna hi pyaar karein gi jitna voh un se kerti hai.

Meri sab duayein aur shubh kaamnayein apni behan paras ke liye aur us ke parivaar ke liye.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 21
3rd November 2004, 12:41 PM

Mere man ka sakoon...mere dil ka chain..
mere khawaabo ki seema...mere jakhmo ka marham
mere seene ki thandak..mere ashko ka kinara..
mere armaan,meri jaan, meri khushboo,mera vazood
sab tum ho...sab tum ho...sub tum ho..

meri parchhayi, mere aangan ki mehek..
meri chandni, mere jeene ki aarzoo...
meri soch ka kinara..mere aanchal ka pyaar..
mere pyar ki paribhaasha..mera moh-jaal...
bas tum ho..bas tum ho..bas tum ho..

paras aapka ye kalaam par kar mujhe bhi bas yahi khyaal aaye..hope u will like it....aur ha..n main aapke kalaam ki kya tareef karu...sab kuchh to aap ne keh hi diya...aur iske liye tahe dil se daad kabool kare...

udas


DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETI HOO
ASHK AANKHO ME CHHUPA KER GAM PE MUSKURA LETI HOO
********
"Haale dil to dil me hi rakhte hai, in ankho ka kya karai.n
Jinse yaad main tumhari hardam aansu behte hai"
~~~~~
**
   
Reply With Quote
Re: Meri Pariyon ke Naam.....
Old
  (#12)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Meri Pariyon ke Naam..... - 3rd November 2004, 12:55 PM

mere ghar aayi ek nanhi pari..
chandi ke haseen rath pe sawar....

uske aane se mere aangan mein
khil uthe phool gungunai bahaar..
dekh kar usko dil nahin bharta
chahe dekhun use hazaron baar.


HI PAARS
bahooot bahoot acha laga tumhe yahan dekh kar.....yeh geet yaad aa gaya aapko padh kar....bas itna hi kahunga ki is jhoothe jahan mein agar kuch sacha hai to wo hai maa ki mamta.aapne bahoot pyar se apne pyar ko gazal mein buna hai...bahoot khoob...


Zindagi ke banjar sehra mein
Barasti *abr-e-baharaan ho tum
Us paak dar pe kiye sajde maine
Mujhpar us khuda ka ehsaan ho tum

bahoot khoob....mein bejubaan ho gaya hoon...ab wo alfaaz kahan se laun jinhe aapki tareefon mein saja sakun....bahoot bahoot khoob !!!

Aage badho badhti hee raho
Meri khwahish, mere armaan ho tum
Mujhe kismat haraane pe hai amaada
dekhein sab meri jeet Aalishaan ho tum

wah !!!


mile na dard, aansoon, yaa *khaar raahon mein
gar mil jaayein bhi tau, na *nataawaan ho tum
Seena taan, *sar bulandi se jiyo tum
‘Paras’ kee daulat-e-*farozaan ho tum

bahoot khoob!!
wo pariyan jaroor safalta ki bulandiyon ko chuyengi,,jinki "maa" ho tum.



dhal gayi khizaan, manzil hai kareeb, magar
saaye si rahoongi saath, na pareshaan ho tum

sach paars...is sher ne to jaise mujhe butt bana diya hai...!! bahoot bahoot gehra sher hai...bahoot hi gehra..aur aisi gehrai sirf aur sirf maa hi ke pyar mein milti hai....sach kahun to mere dil mein yeh baat aa rahii hai ki kitne khushkismat hote hai wo log jinke sar pa maa ka saya rehta hai,,,tum bahoot achi ho...na sirf ek insaan,,ek shayra,,balki ek "maa" bhi....tumhari is gazal ne mujhe bhaavuk kar diya....im proud of u...
MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd November 2004, 01:27 PM

WAkayi mein, The ultimate ode to u're daughters. Itna pyaara ke bas dil machal utha hai isse parh ke. Sahi mein khushnaseeb hai aap ki pariya aap jaisi chahne wali maa paa kar aur aap unhe.

Bohot khoob, har ek alfaz dil ko chhuu gaya. Dua karte hai aap logo ka pyaar sada u hi bana rahe.


Thanks Candyboy...

aap yahaan aaye aur meri rachna ko yoon padhaa...aur uspe aapki shubhkaamnaayein...yaqeen maaniye bahut baar aisaa lagta hai ki mujhmein shayad kami reh gayi...achi maa ban ne kee...aap logon kee hausla afzaayi...meri himmat badhaayeigi ki har koshish tau kar sakti hoon na...

apna khayal rakhieyga....paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd November 2004, 01:35 PM

Sukanya...

Jaise bhi hoon,hoon tumhari "Maa"

Yeh thoda shararat mein kaha...kyonki meri betiyaan...mujhe kayi baar kehti hain..."other mothers are not like you"...lol..."they allow their kids to do whatever" asal mein sach tau yeh hai...ki maa tau saari umr bachon se hee seekhti hai maa ban na bhi...aur mujh jaisee davaandol see maa tau bahut kuch seekhti hai...

yahan aane ka shukriyaa...sukanya

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
3rd November 2004, 01:46 PM

Mamta ki mohabbat aur aulaad se us ki unsiyet aur aqeedat ka itna bharpoor izhaar kiya hai tum ne ke mera dil apni behan ki mohabbat se labrez aur ankhein pur-nam ho gayee hain.
Mujhe pata hai ke jo behan itni achchi ho to “maan” to yaqeenan azeem ho gi hi tum.
Aur meri dua hai ke tumhari yeh masoom titliyaan aur meri bhanjiyaan bhi apni maan se yaqeenan itna hi pyaar karein gi jitna voh un se kerti hai.

Meri sab duayein aur shubh kaamnayein apni behan paras ke liye aur us ke parivaar ke liye.


Aankhein tau hamesha meri purnam ho jaati hain Mushi Bhayyia...aapka jawaab jab bhi padhti hoon...itna apnapan aur pyaar dete hain na aap mujhe...halanki main hamesha tang karti hoon apko...ulta aap raub bhi seh lete hain apni pagli see behan ka...bus...main aur titliyaan...itne pyaare 'bhai' aur 'mama' ko paa kitni khushkismet ho gayin hain...aapka haath hamesha hamare sar par rahe...aur kya chahiye...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
4th November 2004, 02:16 PM

Quote:
Originally posted by UDAS
Mere man ka sakoon...mere dil ka chain..
mere khawaabo ki seema...mere jakhmo ka marham
mere seene ki thandak..mere ashko ka kinara..
mere armaan,meri jaan, meri khushboo,mera vazood
sab tum ho...sab tum ho...sub tum ho..

meri parchhayi, mere aangan ki mehek..
meri chandni, mere jeene ki aarzoo...
meri soch ka kinara..mere aanchal ka pyaar..
mere pyar ki paribhaasha..mera moh-jaal...
bas tum ho..bas tum ho..bas tum ho..

udas
Sunita...

Bahut hee pyaara dil ka haal likha hai...is mein maa ka pyaar bus umadh umadh ke aa raha hai...jaise ek maa sab kuch nyochawar kar rahi ho apne bachon pe...bahut achha laga padh kar...tumhari bhavukta dekh kar main muskura rahi hoon...kyonki khud ka aks jo dikh raha hai mujhe...lol...khayal rakhna apna...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
4th November 2004, 02:32 PM

mere ghar aayi ek nanhi pari..
chandi ke haseen rath pe sawar....

uske aane se mere aangan mein
khil uthe phool gungunai bahaar..
dekh kar usko dil nahin bharta
chahe dekhun use hazaron baar.

kitna sundar hai na yeh gaana...manoj

aur

chanda hai tu mera suraj hai tu
o meri aankhon ka tara hai tu

yeh bhi mujhe bahut pasand hai...tumne kaha

wo pariyan jaroor safalta ki bulandiyon ko chuyengi,,jinki "maa" ho tum.

meri aankhein bhar aayin...shukriyaa us bhagwaan ka jisne mujhe tum jaise doston se navaazzaa...

paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
4th November 2004, 08:34 PM

ab bhi aakhir dikhaa hii diya karishmaat-e-tasavuur = )

milte hain



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#19)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
8th November 2004, 07:35 PM

Punjabi mein ek baat kahi hai ki

maa warga ganchava buta
mainu nazar kithe na aaya
le ke jisto chaah udhari
rab ne swarg banaye....

paras...farz kitne bhi kyon na ho maa ka farz ko upar waale ne bhi sabse bada darjaa diya hai aur bakhoob hi diya hai...kyon maa ki hi kismat mein usne pariyan likhi hai aur pariyon ka pyaar bhi..sach aaj lagta hai kush kismat hai woh maa jise khuda ne ek nahi do do pariyon se nawaaza hai.....

kwaiish likhi thi ek bahut pehle aaj share karta hoon

dil ke do tukre kar dena
dono par hi mar jaaun
ek ko garv se kahun mein beta
ek beti par jaan lutaaon

mere do pankhon se udkar
jaanat ki bhi sair lagaaun
mere do anmol ratan
dono ko mein dil de jaaun

choti si kwaaish hai meri
ek janam mein kam na paaun
jab jaaun is duniya se mein
jag ko do parchaai de jaaun

paras...kush raho abaad raho...aur tumhari pariyon se sar par tumhara pyaar aur ashirwaad sada bana rahe!!

-tumhara apna



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#20)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
19th October 2005, 10:09 PM

Dearest Pras ji....................


Bahut bahut bahut achha likha hai... tumhe parh ke bahut achha laga... very nice.... and nice of you... dil se nikli duaa aur daad kubul karna... aur yun hi likhte rehna aur hamensha khush rehna.

take care and have a nice day.

be happy!



@};-
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
17th July 2006, 12:51 PM

Namaskaar Paras Ji
Aaj fir ek 'Maa' ko bacchon per pyaar samarpit kartey hue parha. Is sansaar mein 'Maa' ki koi doosri misaal nahin hai.
Shabdon ko aapne bahaut hee khoobi se dhaala hai. Marm ehsaas karaaya hai.

v i p i n


विपिन


   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Pariyon Ki Raani Alokmourya Shayri-e-Ishq 0 16th August 2009 02:48 PM
Naam Un Ka Shaan Hai Meri silent-tears Shayri-e-Ishq 2 26th December 2008 10:03 PM
pariyoN ke des vaali kahaani bhii khuub thii balvinder Shayri-e-Mashahoor Shayar 3 18th June 2008 07:06 PM
aao le chaloon tumhein pariyon ke ek desh mein............ shonaparra Inspiring Stories 0 23rd June 2006 01:01 PM
khushiyan hain pariyon jaisi.... san04 Shayri-e-Dard 6 26th May 2004 12:31 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com