akelepan ki aawaz !!! -
15th January 2006, 10:50 AM
kya tumne kabhi chhipkali ke daanton ki
kitkitahat suni hein
kya kabhi suna hein chhachhundar ka purana kagaz kutarta
mehsoos kiya hein nistabdh raat mein samay ke kanton ka shor
suna hein raat ko din mein badalte huey
yadi haan to tumne suni hein
AKELEPAN KI AAWAZ !!!!!
- Abhay Nema
kitne muflis ho gaye, kitne tavangar ho gaye
khaak mein jab mil gaye, dono barabar ho gaye !!!