bahut waqt baad bazm me ik ghazal pedh kar raha hun...
bhuli bisri kisi sadaa ki tarah,
kal mili mujhse vo hawa ki tarah...
zindagi maut se mili kaise,
namuqammal kisi dua ki tarah...
khoob mehboob hai mila mujhko,
aadateN jiski haiN qazaa ki tarah...
kya gawahi deN zakhm mere ab,
mera qaatil tha humnawa ki tarah...
sab wafa ishq me luta kar ab,
dikh raha hooN maiN bewafa ki tarah...
julf rukhsaar pe gire unke,
dhaaNke sooraj ko haiN ghata ki tarah...