Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Anjaani
Old
  (#1)
jyoti grewal
Registered User
jyoti grewal will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 15
Join Date: Dec 2008
Location: London
Rep Power: 0
Anjaani - 13th January 2009, 05:19 PM

Shayri ki duniya mein maine abhi pehle hi kuchh kadam rakhe hain; is mehfil mein kuchh aise fankaar hain jo shayri ko bahut achhe se samajhte hain aur apne lafzon se piro kar ghazalon ke haar pirote hain. Is mehfil mein abde sehme hue main apni pehli koshish rakh rahi huun, guzarish hai aap sab se ke isse zaroor pade aur mujhe bataaye ke main kaise aap sab ki tarah achha likh sakti huun-


kyon na maane hum woh baate jo sab kaha karte hai,
ke rote hi rehte hai log jo mohabbat kiya karte hai..


Maloom tau tha ye hame, pyaar fakat ik dhokha hai
Aapse koi shikayat nahin, khudh hi se gila karte hai..

Pyaar hai wo la-ilaaj sheh, jiski na hai koi dawaa
rog-e- ulfat jab se laga hame, bas yehi kaha karte hai..


Keh daala tha humne use, jee lenge uske bagair hum
aashiq bina dilruba ke sab, mar mar ke jiya karte hai

‘jyoti’ na dhoond is viraane mein koi apna humsafar
rah-e-ulfat mein nikalne waale- akele hi chala karte hai



Aapki raaye ka tahe dil se intzaar rahega..

Jyoti
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
13th January 2009, 05:23 PM

Quote:
Originally Posted by jyoti grewal View Post
Shayri ki duniya mein maine abhi pehle hi kuchh kadam rakhe hain; is mehfil mein kuchh aise fankaar hain jo shayri ko bahut achhe se samajhte hain aur apne lafzon se piro kar ghazalon ke haar pirote hain. Is mehfil mein abde sehme hue main apni pehli koshish rakh rahi huun, guzarish hai aap sab se ke isse zaroor pade aur mujhe bataaye ke main kaise aap sab ki tarah achha likh sakti huun-


kyon na maane hum woh baate jo sab kaha karte hai,
ke rote hi rehte hai log jo mohabbat kiya karte hai..


Maloom tau tha ye hame, pyaar fakat ik dhokha hai
Aapse koi shikayat nahin, khudh hi se gila karte hai..

Pyaar hai wo la-ilaaj sheh, jiski na hai koi dawaa
rog-e- ulfat jab se laga hame, bas yehi kaha karte hai..


Keh daala tha humne use, jee lenge uske bagair hum
aashiq bina dilruba ke sab, mar mar ke jiya karte hai

‘jyoti’ na dhoond is viraane mein koi apna humsafar
rah-e-ulfat mein nikalne waale- akele hi chala karte hai



Aapki raaye ka tahe dil se intzaar rahega..

Jyoti

Jyoti jee ,
isse pehle ke koi aur bole ..mujhe kehne me behad fakhr mehsoos ho raha hai ki is site pe aapka istekbaal hua hai ...lagta hi nahi hai ki ye apki pehli kavish hai ...maqta khoobsoorat hai ....
polishing toh aap apne aap hi kar loge ...yaqeen maaniye ..apko kisi ki salaah ki zarurat nahi hai ...likhte likhte hi aap umda shayaroN ki category me aa jayengi
mashk-e-sukhan jaari rakhiyega ....
dua go,
KasaK


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
Old
  (#3)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
13th January 2009, 06:10 PM

behad khoobsurat ghazal hain jyotijee.........har sher dil ko chu jaaye aisa hain..

Maloom tau tha ye hame, pyaar fakat ik dhokha hai
Aapse koi shikayat nahin, khudh hi se gila karte hai..


yeh sher khub raha.....baki sab bhi bahut hi acche hain yunhi apni kavvish humse sher karti rahe..

repz +++

mausam


Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Keep it up
Old
  (#4)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up Keep it up - 13th January 2009, 09:28 PM

Jyoti jii.....aapne bahut umda likha hai, lagta nahi hai ki yeh aapki pheli poetry hai, aapke likhe sabhi sher acche lage....ahsaas bhi acche haiN, aur lafz bhi acche chune haiN aapne....yoon hi likhti rahiye, kalam apne aap raftaar pakad legi

khoobsurat poetry ke liye reps +++

kush rahiye


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
13th January 2009, 10:36 PM

‘jyoti’ na dhoond is viraane mein koi apna humsafar
rah-e-ulfat mein nikalne waale- akele hi chala karte hai


jyoti ji
poori gazal achi lagi magar ye sher to wakai ek dam fit hai aja kal halat pe..agar sach me apko kuch hashil karna hai to safar akele shuru kari dunia to aayegi hi jab wo kadam majbooti se padne shuru ho jayenge...
acha laga apke khyaal padke...

sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
13th January 2009, 11:49 PM

aadaab muhtarma,

jaisa ki aapka isteqbaal meri ajeej dost kasak ne kar hi diya hai, aur yakeenan, bahut khoob aur umda peshkash rai aapki, polishing waqt ke satah khud ba khud aa jaayegi, bas ghabraayeN nahiN yunhi jazbaaton ko bayaan kate raheN, umeed hai aapse aane vaale waqt me aur v kayi purzor kalaam padhne ko mileNge..!!

Allah Hafeez...!!



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
14th January 2009, 12:18 PM

Jyoti jee:

aap ka shayri.com par swaagat hai.... aap ne jis saadagi se apne aap ko yahaa.n pesh kiya hai, paDh kar khushii huii...


aap ki yeh tehreer behad achchhi lagii... sab se achcha laga rabt jo lagbhag har sher ke dono misro.n me.n hai.. shuruaati daur me.n kuchh mushkil hota hai...... lekin aap ne ek mushkil kaam ko ba-aasaani kar dikhaaya hai....daad! aap ke khayaalo.n ka rang kaafi pukhta nazar aa raha hai aur bayaa.n karne ka Dhang bhi Theek hai, aur likhate likhate dheere dheere yeh andaaz-e-bayaa.n bhi behtar se behtariin hota jaayegaa, yeh ummeed hai...

kyon na maane hum woh baate jo sab kaha karte hai,
ke rote hi rehte hai log jo mohabbat kiya karte hai..


matla bohat achchha hai......rabt bhi baDhiya hai... behad pasand aayaa...

hai> hai.n or haiN
ke> kii

Maloom tau tha ye hame, pyaar fakat ik dhokha hai
Aapse koi shikayat nahin, khudh hi se gila karte hai..


waah!
sher yeh bhi pasand aaya... sab kuchh jaante huye bhi log, phas hi jaate hai.n, is dhoke me.n aakhir Ghalib ne bhi kya khuub kaha hai is par...

ishq par zor nahin hai ye vo aatish ghaalib.
jo laga'e na lage aur bujhaa'e na bane


fakat>faqat

Pyaar hai wo la-ilaaj sheh, jiski na hai koi dawaa
rog-e- ulfat jab se laga hame, bas yehi kaha karte hai..

sher achchha hai....

par, duusre misre ko phir se dekhiye , yahaa.n par aap ne ek lafz likha hai 'rog-e-ulfat', 'rog' lafz hindi ka hai aur ulfat urdu lafz hai.. aap ne dono ko mila kar likha hai.. mere khayaal se is tarah likhane se bachna chahaiye, is ke jagah marz-e-ishq, marz-e-ulfat, likha jaa sakta hai.....

Keh daala tha humne use, jee lenge uske bagair hum
aashiq bina dilruba ke sab, mar mar ke jiya karte hai

yeh sher mujhe kuchh kamzor lagaa.....

‘jyoti’ na dhoond is viraane mein koi apna humsafar
rah-e-ulfat mein nikalne waale- akele hi chala karte hai


bohat khuub! kamaal ka maqta hai........ paDh kar dil khush ho gaya.......

jyoti jee, aap ne pehle kadmo.n pe hii mehfil ko raushan kar diyaa! bahot achchaa likhaa hai aapne..

yuu.n hi likhti rahiye gaa... ham paRhte rahe.nge..

Mayank

  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
14th January 2009, 12:28 PM

Jyoti Ji
bahaut accha raha aapko parhna. Technically to kuch nahin kahunga magar aapki yeh pehli koshish hee bahaut asardaar hai.

aabhaar
vipin


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#9)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
17th January 2009, 09:45 PM

aadaab, namaste aur SSA jyoti saheba


pehle to aapka is mehfil meiN khair-makhdam hai


aapki kohshish yaqeenan achchii hai, Mayank saaheb ne jo tabsira kiya hai us par ga'ur farmaa lijiyega iske ilaawa itna hi kahuuNga ke ho sake to wazn ki jaanib bhi khayaal kijiye jise ki urdu shaii'rii ki backbone maana jaata hai


ummiid hai ke is bazm se aapko jo bhi madadd darkaar hai voh zaroor milegi


rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#10)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
17th January 2009, 10:45 PM

KouN kahega ise ki ye pehla salaam hai kisi kaa.. shayri ki shuruwaat .. yakeenan thoda aur purasar kiya jaa sakta tha .. par is guldaste ko waise hi itna khoobsoorat sajaya hai aapne .. ki kuch kehte nahi banta meri taraf se aapko bohat bohat mubarak ho ye alfaaz .. par pyaar humesha bura nahi hota .. kabhi hum to kabhi khuda iski raahoN ko mushkil ya barbaad kar deta hai ...

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
jis anjaani surat se pyaar hai........... Rajeev Sharma Shayri-e-Ishq 14 2nd June 2010 12:24 PM
Anjaani Mohobbat kwahish General Stories 2 26th November 2009 01:19 PM
*Ladki Badi Anjaani Hai-K. K. Hota Hai** Shimul Hindi/Urdu Lyrics 2 29th August 2006 04:28 PM
Yeh Duniya Anjaani Ishiqka Shayri-e-Dard 10 31st March 2003 07:52 AM
kisi anjaani bastee kai musafir tum bhi ho hum bhi is_that_life Shayri-e-Dard 0 30th December 2002 04:36 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com