Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 16 votes, 5.00 average. Display Modes
Ek sainik ki zubaan-Kasmir se
Old
  (#1)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post Ek sainik ki zubaan-Kasmir se - 5th May 2003, 01:59 PM

------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------
Doston,
Yeh koi Kalaam, Nazm, Ghazal, Kavita ya Rachna nahin hai. Yeh hamare hee mulk ke ek Sainik ka dard hai, jise main theek tarah se aapke saamne nahin laa paraha hoon kyonki ise aasaan shabdon(lafzon) mein likhna hee mujhe theek laga...phir bhi kosish hai ki aap doston ko ek sainik ka yeh dard mehsoos ho.
------------------------------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------

[ EK SAINIK KI ZUBAAN ]

Main Bharat ka sainik hoon
Kashmir mein jeeta-marta hoon.
Mere ghar Ma-biwi aur bacche
Hain sab aap jitne hee sacche.

Weh mere jeevan ki kaamna karte hain
roz ek anchahe dard ka saamna karte hain.
Mujh per hathgole barsaye jaate hain
aantakwadi bheer mein kho jaate hain.

Meri hatya insaani adhikaar nahin hoti
meri maut per koi aankh nahin roti.
Meri maut patrakaaron ka masala nahin
shayad isliye koi kalam hum per nahin roti.

Shaitani haath gar naagrik tak pahunch jaate
tow hum apne-aap ko shurkhiyon mein paate.
Kyon unka jeevan anmol...hamara be-mol hai
insaaniyat ke naam per yeh kaisa tol hai.

-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------
::Mujhe khudd per sharm aarahi hai ki main ek Patrakaar(Journalist) hoon, kyonki yahan sirf - Prime Minister-Defence Minister-Foreign Minister jaise safedposh netaon ka hee zikr hota aaya hai, chahe woh George W. Bush, Atal Bihari Vajapai ya Parvez Mussarf hon::..........Agar kisi dost ko mera kaha theek na laga ho tow mujhe muaaf kardijiyega.
----------------------------------------------
----------------------------------------------


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
5th May 2003, 02:15 PM

Vipin ji, aap ne aisi koi baat nahi kahi jo kisi ko buri lage.. yeh kahani to har desh ke sipahi ki hai.. har desh me wahi rajneeti chalti,... akhir zakhm to aam aadmi ko hi sehne padte hai... aam aadmi ke naam par neta sainikon ki bali chadate hain.. kar jungo me sainiko ke bajay neta ladte, to duniya shayad jung hi na hoti.. jung karna aasaan hota jab usme marne wala aapka apna na ho.. Jung honi chahiye..magar insaaniyat ke liya, jung honi chahiye bhook, lachaari aur bebasi se.. zameen ke kuchh tukde insaani jaan ke laayak nahin.. magar yeh har kisi ki soch nahi hoti..

Apka kalaam bohat hi sachcha hai.. iski qadr hum sab ko hogi!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post 5th May 2003, 10:59 PM

Afshan ji,
Mujhe bahut khusi hui ki aap bhi ek sipahi ke khaufnaak jeevan ko mehsoos karte ho. Kaash aapka yeh likha koi sipahi parhta tow usse apne aap per fakr mehsoos hota...chahe woh kisi bhi mulk ka sipahi ho.
-----------------------------------------------------------------------
Main apna sar jhukaakar aapka dhanyavaad karta hoon
-----------------------------------------------------------------------
Vipin


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
6th May 2003, 06:12 AM

Vipin bhai,
bahot hi behtareen lafzoN ke zariye aapne sachaaii pesh ki hai!
siipaaiiyoN ka dard aise ehsaas ho raha hai ki jaise maiN bhi ek siipaaii huuN. waise, hum sab hi jang laD rahe haiN.. koii aatankwaad se, aur koii zindagi se.

khair, behad khushii hui yeh jaan kar ki aap apne watan, aur insaanoN ki bahot kadar karte haiN.

ummeed hai ki aap isi taraH mehfil ko apne jazbaatoN se sajaate raheN ge..

taareef ke saath,
aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#5)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
6th May 2003, 08:59 AM

hello Vipinji,
pehle to ye khusi hui ye jankar ki aap ek patrakar hai.Aur aapko apne aap ko dhikkar ne ki koi wajah nahi hai ki aap patrakar ho Qki kisi bhi jagah ka patrakar utna hi importance rakhta hai jitna ki ek neta...qki wo hi esa madhyam hai jisse praja aur sachchai ke bich ek link banti hai. Aur jo duniya ko "aaj" se wakef karta hai. Sochiye agar ek patrakar galat baat le kar logo ke bich jayega to desh ka kya hal hoga...
khair, ham yaha sainiko ki baat kar rahe hai. aapki kavita me unka dard pata chala magar kaun kehta hai un par aansu nahi bahte. Desh ki 100 crore janta unki shukra gujar hai. Aur duniya me sabse utcha hodda unhi ka hai. Aapne sayad dekha hoga ki jab 15th august aur 26th jan ko tiranga lehraya jata hai tab lal kile par sabse jiyada upar hamare sainik hote hai. Ye sayad bahot mamuli baat lage magar ye hi sachchai hai. Aur aaj bhi kisi bhi bharti ke dil me ek neta se jiyada bada sthan ek sainik hai, jo apni puri jindagi desh ko dedicate karke apna maut bhi unke naam kar jate hai...hats off to those soldiers.
aapki kavita bahot hi achchhi lagi jisme sachchai jalak rahi hai, jise padhkar hoth dua ke liye khulte hai aur hath ya to salami ke liye uthte hai.
aise hi likhte rahiyega
sanam
(ek hundustani)


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
anju1212
Registered User
anju1212 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 10
Join Date: Mar 2003
Rep Power: 0
6th May 2003, 01:32 PM

Vipin sir,

Namaskaar,

Aapki ye Rachna parkar hamari aankhon mein har ek sipaahi ke baare mein soch kar aansoo aa gaye..Aapne ik sipaahi ki zindagi par likhkar usko uske haque ki izzat dee hai..

Bahu bahut dhanyawaad
Anju
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post 7th May 2003, 12:48 AM

AMAN bhai,
Aapne iss rachna ko mehsoos kiya hai...yeh desh ke sipahi ke liye aapki pyar bhari dua hai. Mujhe aap-pe garv hai Sir.
-----

SANAM ji,(ek hindustani)
Dil khush kar diya hai aapne. Meri baat ka bura matt maan-na per hum kya ek sainik ko sirf 15 August aur 26 january ko hee yaad karenge? Phir bhi aapne sipahi ko salaam kiya hai aur main aapko salaam karta hoon.
-----

ANJU ji,
Meri rachna parhkar aapke aasoon nikal aaye tow ismein aapka ek sipahi ke liye pyar chupa hai. Aapki aankhon ne baya'n kiya hai ki aapko apne watan se kitna pyar hai.
Dua karta hoon aap sada mushkuraate rahen!!
-----
Aap sab ka ek baar phir se yeh shoonya dhanyavaad karta hai.

Vipin
...ek shoonya


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#8)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
7th May 2003, 02:38 PM

Namskaar Vipin Bhai..

Bas ik aapse hi umeed rakh sakta tha..itni Gehri soch rakhne ki..

SAap mein sabse achhi baat mujhe yeh lagti hai ke aap apne se zyaada doosron ke baare mein sochte hai aur yehi aapki mahaanta ka saboot hai..

Is Rachna mein jo aapne ik sipaahi ki zindagi ki Archano ko ujjagar kiya hai..us sachaai ko shayad sabhi jaante hain magar nazar andaaz kar dete hain..Aur ik formalityu ki tarah saal mein do dafa unhe salaam kar diya jaata hai..Magar hum yeh bhi jaante hain ke agar aise mauke par kuchh Gadbad ho jaaye to ye ik Sipaahi hi hoga jo apni jaan ki parwaah kiye begar un 'safed posh' netaon ko bachaane aayega..Aur saath hi swipaahi hi aam janta ka rakshak banega..

Agar har ek ke mann mein sanam ji jaise desh ke sainiko ke liye itna dard ho.to shayad unke khaatir hi do desho mein jang na ho..

Aapka shukriya ada karta hua chalta huun
Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
7th May 2003, 02:46 PM

The essense of a hero is sacrifice.

A sacrifice of self, a sacrifice of life.

A sacrifice for an unknown another.

A sacrifice often gone unnoticed.

A sacrifice ultimately tragic.

A sacrifice ultimately heroic.


Pata nahi kyon ye khayal dil me aaye.. I hope I made sense..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post 7th May 2003, 04:12 PM

VARINDER ji,
Bahut accha laga jab maine jawab parha...aapki baaton mein aapke farz khusboo aati hai.
Dhanyavaad Sir

--------

AFSAN ji,
Aapke dil mein yeh khayal isliye aaya coz u luv yr nation.you've done excellent job!.....I salute you and all the unsung heroes.

Take care

Vipin
...ek shoonya


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#11)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
1st August 2003, 10:19 AM

Namskaar Vipin ji…

muaaf kariyega late lateefii ke liye…

bhai aapki ye rachna behad pasand aayii…
qki isme zikr hai un stambhoN ka jinper desh khada hua hai…
zikr hai un SainikoN ka jinkii jaane jungoN se zyada ‘Safed posh’ netaoN ki 'kaalii kartootoN' ki wazah se jaati hai…
bhai asliyat to ye hai ki aaj Sainik kewal kaashimir ke aataNkwadiyoN ya border per mauzood ghutakhoN se nahi lad rahe hai… balki unki asal ladaaii hai un ‘Matlab parast Safed poshoN’ se jinhe desh ke SipahsalaaroN aur aam naagrikoN ki zindgi se koi vaasta hi nahi rehta kabhi…

bhai aap patrkaar haiN…
patrkaar… wo jo janta ko sachchai se ru-b-ru karwaata hai…
wo jo desh ka aaina dikhata hai…
aur phir jab patrkaar Vipin ji jaisa ho to usper garv hona laazmi hai…
bhai hame garv hai aap-per aapki us soch per jis tak pohach paana shayad mumkin nahiiN…
sach to ye hai ki aapki soch ki koi had hi nahiiN…

ek Sainik ki zubaan ko aapne jis tarah samjha aur pesh kiya uske liye aapka bohat bohat dhanyvaad…

Meri maut patrakaaron ka masala nahin
shayad isliye koi kalam hum per nahin roti.


Per bhai agar koi Sainik aapko jaane to yakiinan uski soch aisi nahi rahegii…
Kyokii wo aap hi haiN jiski kalam sadaa auroN ke liye chalti hai…

Hame garv hai aapke Hindustaani hone par…

Jai Hind…

Likhte rahiye aur muskuraate rahiye…


mai 'bedil'
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
2nd August 2003, 03:19 AM

bahut acha likha.

Keep writing


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Re: Ek sainik ki zubaan-Kasmir se
Old
  (#13)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Ek sainik ki zubaan-Kasmir se - 2nd August 2003, 11:44 AM

namashkar vipin bhai
pyar-mohabbat-dil aur mehbooba jaise zazbaaton se upar uth kar aap ne desh ki asmita ke liye bali vedi par haste haste shaheed ho jane wale ek bhartiya sainike ki jo chavi apni kalam se ukeri hai uske liye main aap ko hardik dhanyawaad aur shubhkamnaye deta hoon.
ek sainik ka dard aap ne samjha aur us par likha ..yeh apne aap mein desh sewa hai.aap ki rachna ek jariya hai jiske sahare hum yeh keh sakte hai ki hum sab Kashmir mein tainaat apne jawanon ke saath hai.

Jai Hind


-Manoj Kureel
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post 2nd August 2003, 02:56 PM

Bedil ji, Dard-e-sush aur Manoj ji,

Main khushqismat hoon jo aapne meri rachna ko sarah. Main aap sab ka aabhaari rahunga.

Dhanyavaad
Vipin


विपिन


   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Aankhon Ki Zubaan sweet riya Shayri-e-Dard 1 26th July 2006 09:24 PM
dil ki zubaan nazneen Ghazal Section 2 14th December 2003 08:30 PM
Dil ki zubaan Hafeez Shayri-e-Ishq 6 9th September 2003 06:49 PM
Dil Ki Zubaan hansraj_bose Shayri-e-Dard 0 27th May 2003 02:01 AM
zubaan pyaasa Shayri-e-Ishq 5 12th March 2003 02:29 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com