Quote:
Originally Posted by manas621
gum ko kalam par likhne ki bhi
na ab himmath meri
kya mein karon
aesi hai zindagi meri
cheerti hai dil ko yaadein teri
num hai aankhien
intazaar mein teri
dard aesa de kar tu chali gayi
ki hasni bhi hasti hai mujh par meri
duniya mein reh kar
bhi hoon mein tanha
tere bin duniya hai suni meri
kya mein karon
aesi hai zindagi meri
bas kuch pal mein batt gayi hai
ab yeh duniya meri
kab chod donga jina
yeh mujhe pata nahi
bas zinda hoon tere intazaar mein
rakh kar yeh umeed
ki aayegi kushi wapas meri
waqt ka dosh tha
par saja mujhe mili
aesi hai zindagi meri
hason ya rooun
aesi zindagi par
yeh mujhe pata nahi
teri yaad mein
jagoon ya sooun
yeh mujhe pata nahi
hai bas itna pata
ki ji raha hoon
us dua mein
jo na hogi kabool kabhi meri
kudh ko dard dene mein jane kya maza hai
shaya yahi meri saza hai
gum ko kalam par likne ki bhi
na ab himmath meri
kya mein karon
aesi hai zindagi meri
|
Hello Manas Ji, ....aapke kalaam par ab mai kya kahoon ...aapne apane dard aur gum ko kuchh aese alfaaz mai bayaan kiya hai ki .... bas wo dil se nikal ke sidha dil ko chhu gaye .... hum bas dil se yahi duaa karte hai ki bhagwaan ji aapko bas har khushi de aur hammesha khush rakhe ....yunhi likhate rahiye
Bhagwaan ji aapko hammesha khush rakhe,
Aapki Dost: Gudia
Jay Ambe.