Quote:
Originally Posted by shakuntala vyas
hansh jub bhi uda akela uda
na raja raha na rani rahi
na budhapa raha na jawani rahi
har vastu yaha aani jani rahi
kahane sunane ko bas yah kahani rahi
char din ke liye yah jhamela juda
hansh jub bhi uda akela uda
raj raja dhare kai dhare rah gaye
kothi bangale khade ke khade rah gaye
sab nagine jade ke jade rah gaye
heere moty pade ke pade rah gaye
ant mai lakhpaty kai na dhela juda
hansh jub bhi uda akela uda
tera tan nahi hai ye kuch kaam ka
sara sansar hai pyare subh kaam ka
soch le pyare tu apane anzaam ka
naam rat le madhur mere ghan shyam ka
ram ka naam duniya mai hai sabse bada
hansh jub bhi uda akela uda
kavi madhu
|
shakuntala ji ko prem ka pranam........
bahut sunder kavita hai yeh...
ik sunder kavita ke liye daad hazir hai....
anjana prem
sab meri muskurahat se jalte hai,
mai sabko hasata chala gaya.
pasand thi jamane ko meri barbadi,
mai unpe dil-o-jaan lutata chala gaya.